بسم الله الرحمن الرحيم

Tuesday, 31 July 2012

Sach Ko Ikhtiyar Karo Yeh Jannat Main Le Janay Wala Hai

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Sach ko ikhtiyar karo Kion kay Yeh Naiki kay sath hota hai aur Yeh donon (2) Jannat main (Lay janay walay) hain aur Jhoot say Bacho Kion kay Jhoot Gunah kay Sath hota hai aur Yeh donon (2) Dozakh main (Lay Janay Walay) hain
(Sunan Ibne Maja, Hadees # 3849, Darja: Sahi, Abwab ud Dua, Baab: Muafi aur Aafiat ki Dua ka Bayan, Ravi: Hazrat Abo Bakar Razi Allah Unho)

Monday, 30 July 2012

Roza Jism Ki Zakat Hai

Mafhom e Hadees: Har cheez ki Zakat hoti hai Aur Jism ki Zakat Roza hai (Ibne Maja, Hadees # 1745, Kitab us Siyam, Baab: Roza Jism ki Zakat hai, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Sunday, 29 July 2012

Naiki Ka Irada Karna Bhi Aik Naiki Hai

Mafhom e Hadees: Jo Shakhs Naiki ka irada karay aur phir usko na kar sakay to us kay liye aik Naiki hai Aur jo Naiki ka irada karay aur (Naiki) karay to us kay liye 10 se 700 (times) tak Naikiyan likhi jati hain (Muslim, Hadees #337, Kitab uL Eeman, Baab: Dil mai jo Waswasay atay hain jab tak tum un pe Pakkay na ho jao tab tak un par koi Moakhza nahi hoga)

Saturday, 28 July 2012

Roza Dar ki Dua Rad Nahi Hoti

Mafhom e Hadees: Iftar kay Waqt Roza Dar ki Dua Rad nahi hoti (Ibne Maja, Hadees # 1753, Kitab us Siyam, Baab: Roza'Dar ki Dua Rad nahi hoti, Ravi: Abdullah Bin Amr Rz.A)

Friday, 27 July 2012

Ramzan Main Umrah Karnay Ki Fazilat

Mafhom e Hadees : Nabi Alaihe Salam nay Farmaya: jab Ramazan aaye to tum aik UMRAH kar lena kay iska sawab Hajj kay barabar hai (Muslim, Hadees # 3038, Kitab uL Hajj, Baab: Ramazan main Umra karnay ki Fazilat, Ravi: ibne Abbas Razi Allah Anhuma)

Thursday, 26 July 2012

Insaan Qayamat Kay Din Zaror Zinda Kiye Jaen Gay

کیا انسان یہ خیال کرتا ہے کہ ہم اسکی بکھری ہوئی ہڈیاں اکٹھی نہیں کریں گے؟ ضرور کریں گے اور ہم اس بات پر قادر ہیں کہ اسکی پور پور درست کر دیں۔

Does man think that We will never reassemble his bones? Why (can We) not (do so), while We are able to reset (even) his fingertips perfectly?

[Mafhom-e-Quran: Kiya insaan yeh khyal karta hai kay hum uski bikhri hui hadiyan ikhatti nahi karain gay? Zaror karain gay aur hum is baat par qadir hain kay uski por por durust kar dain.]

(Surah # 75, Al-Qiyama, Ayah # 3-4)

Roza Dar Kay Moun Ki Buo Allah Ko Pasandida Hai

Mafhom e Hadees: Rozadar kay Moun ki Khushbo ALLAH kay Nazdeeq Mushk ki Khushbo say bhi ziada Pasandida hai (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1894, Baab: Roza ki Fazilat, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Tuesday, 24 July 2012

Roza Aik Dhaal Hai Dozakh Say Bachnay Kay Liye

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Roza Dozakh say bachnay kay Liye aik Dhaal hai, is Liye Roza'Dar na Fohsh batain karay, Na Jahalat ki Batain karay, Aur Agar koi Shakhs Roza'Dar say larai karay ya usay Gali day to uska jawab sirf yeh hona chahiye kay Main Roza Dar hun (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1894, Baab: Roza ki Fazilat, Ravi: Abo Horaira Razi Allah Anho)

Monday, 23 July 2012

Rozay Daron Kay Liye Jannat Main Dakhlay Kay Liye Aik Khas Darwaza Hai

Mafhom e Hadees: Jannat ka aik Darwaza hai, Jise Rayyan kehtay hain, Qayamat kay Din is Darwazay say sirf Rozay Dar he JANNAT main Dakhil hon gay (Bukhari, Hadees # 1896, Kitab us Soum, Baab: Roza Daron kay liye Rayyan (Darwazay) ka bayan, Ravi: Sahal Bin Saad Razi Allah Anho)

Sunday, 22 July 2012

Roz-e-Aakhirat Sari Dunya De Kar Bhi (Jo Kay Aik Namumkin Kaam Hai) Allah Kay Azab Say Nahi Bacha Jaskta

اس روز گنہگار چاہے گا کہ کسی طرح اس دن کے عذاب کے بدلے میں سب کچھ دیدے یعنی اپنے بیٹے۔ اور اپنی بیوی اور اپنے بھائی۔ اور اپنا خاندان جس میں وہ رہتا تھا۔ اور جتنے آدمی زمین پر ہیں غرض سب کو دے ڈالے پھر اپنے آپکو عذاب سے چھڑا لے۔ لیکن ایسا ہرگز نہیں ہو گا وہ بھڑکتی ہوئی آگ ہے۔

A guilty person will desire that he may be able to ransom himself from the torment of that day even by his sons, and his wife and his brother, and his kindred that sheltered him, and all those on earth, then he may redeem himself. By no means! It is the flaming fire

[Mafhom-e-Quran: us roz gunhegar chahe ga kay kisi tarhan us din kay azab kay badlay main sab kuch de day yani apnay baitay. Aur apni biwi aur apnay bhai. Aur apna khandan jis main wo rehta tha. Aur jitnay aadmi zameen par hain gharz sab ko day dalay phir apnay aapko azab say churralay. Lekin aesa hargiz nahi hoga wo bhrakti hui aag hai.] 

(Surah # 70, Al-MaariJ, Ayah # 11-15)

Aeib Joi Aur Tana Zani

ہر غیبت کرنے والے طعنے دینے والے کی خرابی ہے۔


Woe to every backbiter, derider


[Mafhom-e-Quran: Har gheebat karnay walay taanay denay walay ki khrabi hai.]

(Surah # 104, Al-Humaza, Ayah # 1)

Friday, 20 July 2012

Allah ki Rah main Shahadat ki Fazilat

Mafhom e Hadees: Shaheed ko ALLAH kay haan yeh fazilatain milti hain, iska Khoon nikaltay hi is ki Bakhshih kar di jati hai, isay Jannat main Thikana dikha dia jata hai, Aazab e Qabar se Mehfooz rahay ga, Qayamat kay Din ki bari Ghabrahat say Mehfooz rahay ga (Ibne Maja, Hadees # 2799, Kitab uL Jihad, Baab: "ALLAH ki rah main Shahadat Ki Fazeelat", Ravi: Miqdaam Razi Allah Unho)

Allah Apnay Bandon Kay Haq Main Aasani Chahta Hai

تو جو کوئی تم میں سے اس مہینے میں موجود ہو چاہیے کہ پورے مہینے کے روزے رکھے اور جو بیمار ہو یا سفر میں ہو تو دوسرے دنوں میں روزے رکھ کر ان کا شمار پورا کر لے اللہ تمہارے حق میں آسانی چاہتا ہے اور سختی نہیں چاہتا۔ اور یہ آسانی کا حکم اس لئے دیا گیا ہے کہ تم روزوں کا شمار پورا کر لو اور اس احسان کے بدلے کہ اللہ نے تم کو ہدایت بخشی ہے تم اس کو بزرگی سے یاد کرو اور اس کا شکر کرو۔


So those of you who witness the month must fast in it. But the one who is sick, or is on a journey (should fast) as much from other days (as he missed). Allah intends (to provide) ease for you and does not intend (to create) hardship for you. All this is so that you may complete the number (of fasts as prescribed) and proclaim the Takbīr of Allah for having guided you, and (so) that you may be grateful.

[Mafhom-e-Quran: to jo koi tum main say is mahinay main mojood ho chahiye kay poray mahinay kay rozay rakhay aur jo bemar ho ya safar main ho to dosray dinon main rozay rakh kar un ka shumaar pora kar lay Allah tumharay haq main aasani chahta hai aur sakhti nahi chahta. aur ye aasani ka hukum is liye diya gaya hai kay tum rozon ka shumaar pora karlo aur is ahsan kay badlay kay Allah nay tum ko hidayat bakhshi hai tum us ko buzurgi say yaad karo aur us ka shukar karo.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 185)

Thursday, 19 July 2012

Surah Kahaf Parhnay ki Fazilat

Mafhom e Hadees: Abbo Saeed Khudri R.A Farmatay hain: Jo Shaks Juma kay Din Surah Kahaf Parhay Ga to Jab Dajjal aaye Ga to Dajjal us (Shaks) ko Nuqsan nahi poncha sakega (Shuab uL Eemaan, Hadees#3038, Baab us Salat)

Wednesday, 18 July 2012

Allah Ki Rehmat Say Kabhi Bhi Mayoos Nahi Hona Chahiye

اور اللہ کی رحمت سے ناامید نہ ہونا کہ اللہ کی رحمت سے تو کافر لوگ ہی ناامید ہوا کرتے ہیں۔

and do not lose hope in the mercy of Allah. In fact, only the infidels lose hope in Allah’s mercy.”

[Mafhom-e-Quran: aur Allah ki rehmat say na umeed na hona kay Allah ki rehmat say to kafir log hi na umeed hua kartay hain.]

(Surah # 12, Yusuf, Ayah # 87)

Tuesday, 17 July 2012

Us Din Doston Ki Dosti Kaam Na Aaey Gi


اور کوئی دوست کسی دوست کو نہ پوچھے گا۔ حالانکہ ایک دوسرے کو سامنے دیکھ رہے ہوں گے

and no friend will ask about any friend, (though) they will be made to see each other.

[Mafhom-e-Quran: Aur koi dost kisi dost ko na pochay ga. Halankay aik dosray ko samnay dekh rahe hon gay]

(Surah # 70, Al-MaariJ, Ayah # 10-11)

Ramazan Nuzul-e-Quran Ka Mahina Hai

روزوں کا مہینہ رمضان کا مہینہ ہے جس میں قرآن اوّل اوّل نازل ہوا جو لوگوں کا راہنما ہے اور جس میں ہدایت کی کھلی نشانیاں ہیں اور جو حق و باطل کو الگ الگ کرنے والا ہے تو جو کوئی تم میں سے اس مہینے میں موجود ہو چاہیے کہ پورے مہینے کے روزے رکھے

The month of Ramadan is the one in which the Qur’ān was revealed as guidance for mankind, and as clear signs that show the right way and distinguish between right and wrong. So those of you who witness the month must fast in it.

[Mafhom-e-Quran: Rozon ka mahina ramazan ka mahina hai jis main quran awal awal nazil hua jo logon ka rahnuma hai aur jis main hidayat ki khuli nishanian hain aur jo haq o batil ko alag alag  karnay wala hai to jo koi tum main say is mahinay main mojood ho chahiye kay poray mahinay kay rozay rakhay]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 185)

Monday, 16 July 2012

Bagair Tehqeeq Kay Koi Bhi Baat Aagay Nahi Phelani Chahiye

Mafhom e Hadees: Kisi Shakhs kay Jhoota honay kay Liye Yehi Baat Kafi Hay kay Wo Har Suni hoi Baat ko (Tehqeeq Kiye Baghair) Aagay Bayan Kar Day (Muslim, Hadees # 8, Baab: Tehqeeq Kiye Baghair Har Sunni hoi Baat Karnay ki Mumana'at, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Rozay Ki Farziat Aur Hikmat

مومنو! تم پر روزے فرض کئے گئے ہیں جس طرح تم سے پہلے لوگوں پر فرض کئے گئے تھے تا کہ تم پرہیز گار بنو۔

O you who believe, the fasts have been enjoined upon you as they were enjoined upon those before you, so that you may be God-fearing,

[Mafhom-e-Quran: Momino! Tum par rozay farz kiye gaey hain jis tarhan tum say pehlay logon par farz kiye gaey thy takay tum parhezgar bano.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 183)

Thursday, 12 July 2012

Qayamat Kay Din Tamam Amaal Ki Jaza Aur Saza Milay Gi

اور اس دن سے ڈرو جبکہ تم اللہ کے حضور میں لوٹ کر جاؤ گے اور ہر شخص اپنے اعمال کا پورا پورا بدلہ پائے گا اور کسی کو کچھ نقصان نہ ہو گا۔

Be fearful of a day when you shall be returned to Allah, then every person shall be paid, in full, what he has earned, and they shall not be wronged.

[Mafhom-e-Quran: Aur us din say darro jabkay tum Allah kay huzoor main lott kar jao gay aur har shaks apnay amaal ka pora pora badla paaey ga aur kisi ko kuch nuqsan (zulm) na hoga.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 281 )

Wednesday, 11 July 2012

Allah Apnay Bandon Say Qareeb Hai Aur Sab Ki Dua Sunta Hai

اور اے پیغمبر جب تم سے میرے بندے میرے بارے میں دریافت کریں انہیں معلوم ہو کہ میں تو تمہارے پاس ہی ہوں۔ جب کوئی پکارنے والا مجھے پکارتا ہے تو میں اس کی دعا قبول کرتا ہوں تو ان کو چاہیے کہ میرے حکموں کو مانیں اور مجھ پر ایمان رکھیں تا کہ نیک رستہ پائیں۔

When My servants ask you about Me, then (tell them that) I am near. I respond to the call of one when he prays to Me; so they should respond to Me, and have faith in Me, so that they may be on the right path.

[Mafhom-e-Quran: Aur aay peghambar jab tum say mairy banday mairy baray main daryaft karain unhain malom ho kay main to tumharay paas hi hun. jab koi pukarnay  wala mujhay pukarta hai to main us ki dua qabool karta hun to unko chahiye kay mairy hukmon ko manain aur mujh par eeman rakhain takay naik rasta paaen.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 186)

Monday, 9 July 2012

Sood Khanay Aur Khilanay Par Waeed

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam nay Sood Khanay Walay, Khilanay Walay, is kay Gawahon aur is kay Likhnay Walay (in sub) Par Lanat Farmai hai (Abo Dawood, Hadees # 3333, Darja: Hasan, Kitab uL Boyou, Baab: Sood Khanay aur Khilanay Par Waeed, Ravi: Abdullah Bin Abbas Rz.A)

Sunday, 8 July 2012

Qayamat Kay Zalzalay Aur Unki Shiddat

لوگو اپنے پروردگار سے ڈرو کہ قیامت کا زلزلہ ایک حادثہ عظیم ہے۔ اے مخاطب جس دن تو اسکو دیکھے گا اس دن یہ حال ہو گا کہ تمام دودھ پلانے والی عورتیں اپنے بچوں کو بھول جائیں گی۔ اور تمام حمل والیوں کے حمل گر پڑیں گے اور لوگ تجھ کو مدہوش نظر آئیں گے حالانکہ وہ مدہوش نہیں ہوں گے بلکہ عذاب دیکھ کر مدہوش ہو رہے ہوں گے بیشک اللہ کا عذاب بڑا سخت ہے۔

O mankind, fear your Lord. Indeed the quake of the (destined) Hour is something terrible. The day you will see it, every suckling female will forget that which she suckles, and every female having pregnancy shall abort her fetus, and you will see people as if they are drunk, while they are not drunk, but Allah’s torment is (so) severe.

[Mafhom-e-Quran: Logon apnay parwardigar say darro kay qayamat ka zalzala aik hadsa azeem hai. Aay mukhatib jis din tu usko dekhay ga us din ye haal hoga kay tamam doodh pilanay wali aurten apnay bachon ko bhol jaen gi. aur tamam hamal walion kay hamal gir parrain gay aur log tujh ko madhosh nazar aayen gay halankay wo madhosh nahi hongay balkay azab dekh kar madhosh ho rahe hongay beshak Allah ka azab barra sakht hai.]

(Surah # 22, Al-Hajj, Ayah # 1 -2)

Friday, 6 July 2012

Sa'ail (Mangnay Walay) Kay Jawab Denay Ka Tareeqa

جس خیرات دینے کے بعد لینے والے کو ایذا دی جائے اس سے تو نرم بات کہہ دینی اور درگذر کرنا بہتر ہے اور اللہ بے نیاز ہے بردبار ہے۔

A graceful word and forgiving is better than charity followed by causing hurt. Allah is All-Independent, Forbearing.

[Mafhom-e-Quran: Jis kheraat denay kay baad lenay walay ko eeza (takleef) di jaey us say to naram baat keh deni aur darguzar karna behtar hai aur Allah bay-niaz hai burdbar hai.]


(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 263)

Thursday, 5 July 2012

Sood Ki Mumaniat

اے ایمان والو! دگنا چوگنا سود نہ کھاؤ اور اللہ سے ڈرو تا کہ کامیاب ہو جاؤ۔

O you who believe, do not eat up the amounts acquired through Ribā (interest), doubled and multiplied. Fear Allah, so that you may be successful,

[Mafhom-e-Quran: Aay emaan walo! dugna chugna sood na khao aur Allah say darro ta kay kamiyab ho jao.]

(Surah # 3, Aal-e-Imran, Ayah # 130)

Wednesday, 4 July 2012

Rasool Sallallahu Alaihe Wasallam ki Zaat Behtareen Namona Hai

مسلمانو تمکو اللہ کے رسول کی پیروی کرنی بہتر ہے یعنی ہر اس شخص کو جسے اللہ سے ملنے اور روز قیامت کے آنے کی امید ہو اور وہ اللہ کا ذکر کثرت سے کرتا ہو۔

There is indeed a good model for you in the Messenger of Allah - for the one who has hope in Allah and the Last Day, and remembers Allah profusely.

[Mafhom-e-Quran: Musalmano tumko Allah kay rasool ki perwi karni behtar hai yani har us shaks ko jisay Allah say milnay aur roz e qayamat kay aanay ki umeed ho aur wo Allah ka zikar kasrat say karta ho.]

(Surah # 33, Al-Ahzab, Ayah # 21)

Tuesday, 3 July 2012

Aap Shaban Kay Aksar Dinon Main Rozay Rakhtay

Mafhom e Hadees: Hazrat Ayesha Razi Allah Unha Farmati hain kay main nay Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam ko Shabaan kay Mahinay say ziyada kisi Mahinay main (Nafli) Rozay rakhtay hue nahi dekha, Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam iss (Shaban) kay aksar Dinon main Rozay rakhtay thay (Tirmazi, Kitab us Soum, Hadees # 716, Darja: Hasan, Baab: Shaban aur Ramazan kay rozay mila kar rakhna)

Allah Ko Hi Hai Ilm-e-kamil

کہدو کہ جو لوگ آسمانوں اور زمین میں ہیں اللہ کے سوا غیب کی باتیں نہیں جانتے اور نہ یہ جانتے ہیں کہ کب زندہ کر کے اٹھائے جائیں گے۔

Say, “No one in the heavens and the earth has the knowledge of the Unseen except Allah.” And they do not know when they will be raised again.


[Mafhom-e-Quran: Keh do kay jo log Aasmaano aur zameen main hain Allah kay siwa ghaib ki batain nahi janty aur na yeh jantay hain kay kab zindah kar kay uthaey jaein gay.]


(Surah # 27, An-Naml, Ayah # 65)

Monday, 2 July 2012

Har Mahinay Teen Rozay Rakhnay Ki Fazeelat

Mafhom e Hadees: Tum jab (nafli) rozay rakhna chaho to har (islami) mahinay ki 13, 14 aur 15 tareekh kay rozay rakho, jo shaks har mahinay teen (3) rozay rakhay wo aesay hai jesay usne pora saal rozay rakhay. (Tirmazi Hadees # 740, Darja: Hasan, Kitab us soum, Baab: Har mahinay main 3 rozay rakhna, Ravi: Abu Zar Rz.A)

Shaban Kay Aakhir Main Rozay Nahi Rakhna Chahiyen

Mafhom e Hadees: Jab shaban ka mahina aadha reh jaye to rozay na rakha karo (Tirmazi, Darja: Hasan Sahi, Hadees#717, Kitab us Soum, Baab: Tazeem e Ramazan kay liye Shaban kay akhri 15 dinon main Rozay rakhna Makrooh hai, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

(ALLAH kay baad Nabi Alaihe Salam say ziada apni ummat par Shafeeq aur koi nahi ho sakta, issi liye Shaban ki fazilat kay sath sath ummat ki kamzori ka khayal kartay hue Aap nay ye bhi Farmaya.)

Most Viewed in 7 Days