بسم الله الرحمن الرحيم

Wednesday 31 October 2012

Rizq ka Ahtraam karna Chahiye

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam ghar tashreef laey to roti ka aik (1) tukra gira hua dekha, Aap SalLalLaho Alaihe Wasallam nay usay uthaya, saaf kar kay kha liya aur farmaya: aay Ayesha..! izzat walay (rizq) ka ahtraam karo, kyun kay ye jis qoum say chala jata hai to dobara un kay pas wapis nahi aata (Sunan ibne Maja, Hadees #3353, Kitab uL At'ema, Baab: Khana Phainknay ki Mumana'at, Ravi: Ayesha Razi Allah Anha)

Tuesday 30 October 2012

Huzoor Sallallaho Alaihe Wasallam ka Mazaq Uranay par Allah ka Farman

پس جو حکم تم کو اللہ کی طرف سے ملا ہے وہ لوگوں کو بے دھڑک سنا دو اور مشرکوں کا ذرا خیال نہ کرو۔ ہم تمہیں ان لوگوں کے شر سے بچانے کے لئے کافی ہیں جو تم سے ہنسی کرتے ہیں۔

Now, proclaim what you are commanded to, and turn away from those who ascribe partners to Allah. Surely, We are sufficient for you against those who deride,


[Mafhom-e-Quran: Pas jo hukum tum ko Allah ki taraf say mila hai wo logon ko bay dharak suna do aur mushrikon ka zara khyal na karo. Hum tumhen in logon kay shar say bachanay kay liye kafi hain jo tum say hansi kartay hain.]

(Surah # 15, Al-Hijr, Ayah # 94-95)

Thursday 25 October 2012

Yom-e-Arfa kay Roza ki Fazeelat

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam say Arfa (9 ZiL-Hajja) kay rozay ka pocha gaya to farmaya: Yeh (roza) pichlay aik (1) saal aur aik saal aagay aanay walay gunahon ka kaffara hai (Muslim, Hadees #2747, Kitab us Siyam, Baab: Har Mahinay main 3 Rozon ki, Yom e Arfa, Aashora, Peer aur Jumarat kay Rozon ki Fazilat, Ravi: Abo Qatada Rz.A)

Wednesday 24 October 2012

Aik (1) say 9 Zil Hajj tak Nafli Rozay Rakhna

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam mah e zil-hajja main (1 se 9 zil-hajja tak) 9 (nafli) rozay rakhtay thay (Nasai, Hadees #2421, Kitab us Siyam, Baab: Har Mah main 3 Rozay kis Tarhan rakhay jain)

Tuesday 23 October 2012

Sab Ki Rozi Aasmaan Walay Kay Hath Main Hai

اور تمہارا رزق اور جس چیز کا تم سے وعدہ کیا جاتا ہے آسمان میں ہے۔ تو آسمان اور زمین کے مالک کی قسم یہ اسی طرح قابل یقین ہے جس طرح تم بات کرتے ہو۔

And in the heavens, there is your sustenance and all that you have been promised. So, by the Lord of the heavens and the earth, it (the Day of Recompense) is a reality, as sure as the fact that you (can) speak.

[Mafhom-e-Quran: Aur tumhara rizq aur jis chiz ka tum say wada kiya jata hai aasmaan main hai. To aasmaan aur zameen kay malik ki qasam ye isi tarhan qabil-e-yaqin hai jis tarhan tum baat kartay ho.]

(Surah # 51, Adh-Dhariyat, Ayah # 22-23)

Monday 22 October 2012

Hajjion ko Maidan e Arafat main 9 ZiL-Hajja kay Din Roza nahi Rakhna Chahiye


Mafhom e Hadees: Ibne Umar Rz.A frmatay hain kay mene Nabi Alaihe Salam, Abo Bakar, Umar aur Usman Razi Allah Anhum kay sath Hajj kia, in main say kisi nay bhi is din ka roza nahi rakha (Tirmizi, Hadees #730, Kitab us Soum, Baab: Maidan e Arafat mai Arfa ka Roza Rakhna Makrooh hay)

Sunday 21 October 2012

ILM KA BAYAN

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: jis shakhs ko is haal main moat aaey kay wo ilm hasil kar raha ho ta kay is kay zariye islam ko zinda karay to us kay aur Ambiya kay darmayan jannat main sirf aik darjah ka farq ho ga (Mishkat, Hadees # 231, Kitab uL Eemaan, Baab: ilm ka bayan, Fasal #3, Ravi: Hasan Basri Rahimahullah)

Friday 19 October 2012

Kis Janwar Ki Qurbani Karna Makrooh Hay

Hadees: ALi Rz.A say riwayat hai Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay humain hukum diya kay hum qurbani kay janwar ki aankh aur kaan achi tarhan dekh lain ta kay us main koi nuqs na ho aur humain mana farmaya kay hum us janwar ki qurbani na karain jis kay kaan agli taraf se ya pichli taraf say katay hue hon ya phatay hue hon ya in main sorakh ho (Tirmizi, Hadees #1538, Kitab uL Azahi, Baab: Kis Janwar ki Qurbani Karna Makrooh hay)

Ayyam-e-Qurbani Kitnay Hain?

Mafhom e Hadees: Hazrat ibne Umar Rz.A aur Ali Rz.A farmatay hain kay qurbani kay ayyaam do (2) din hain, qurbani kay din kay baad (yani 10 ZiL-Hajja kay baad) (Moutta Imaam Malik, Hadees # 1093, Kitab uL Azahi, Darja: Sahi, Baab: Jo Bacha Pait main ho uski Taraf se Qurbani Karna)

Is Hadees say maloom hua kay ayyaam-e-qurbani teen (3) din hain yani 10, 11 aur 12 ZiL-Hajja tak, issi par pori ummat ka ijma bhi hai.

Thursday 18 October 2012

Aqarba o Masakeen Ka Haq

تو اہل قرابت اور محتاجوں اور مسافروں کو ان کا حق دیتے رہو۔ جو لوگ اللہ کی رضا کے طالب ہیں یہ انکے حق میں بہتر ہے۔ اور یہی لوگ کامیابی حاصل کرنے والے ہیں۔

So give to the kinsman his right, and to the needy and the wayfarer. That is better for those who seek Allah’s pleasure, and it is they who will be successful.

[Mafhom-e-Quran: To ahl-e-qarabat aur mohtajon aur musafiron ko unka haq detay raho. jo log Allah ki raza kay talib hain ye unkay haq main behtar hai. aur yehi log kamiyabi hasil karnay waly hain.]

(Surah # 30, Ar-Room, Ayah # 38)

Wednesday 17 October 2012

ALLAH kay Nazdeeq Mah-e-Zil-Hajj ki IBADAT Pasandeda Hai

Mafhoom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: ALLAH kay nazdeeq mah e Zil-Hajja kay pehlay das (10) dinon ki ibadat tamam dinon ki ibadat say ziada pasandida hai, in dinon main aik (1) din ka roza poray saal kay rozon kay barabar hai aur aik raat ka qiyam shab-e-qadar main qiyam kay barabar hai (Tirmizi, Hadees # 737, Kitab us Soum, Baab: ZiL-Hajja kay Pehlay 10 Dinon main Naik Aamal karnay ki Fazilat,  Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Tuesday 16 October 2012

Gaae aur Oont main Saat (7) Saat Admi Shareek ho Sakte Hain

Mafhom e Hadees: Hazrat Jabir Razi Allah Unho farmatay hain kay hum nay Sulah Hudebia kay moqay per Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam kay sath qurbani ki to gaae (cow) aur oont (camel) in donon (2) main saat, saat (7, 7) admi shareek hue, Imam Tirmizi Rematullah Alaih farmatay hain kay sahaba kiram razi Allah unhum aur deegar ulama ka isi Hadees par amal hai....! (Tirmizi, Hadees # 1544, Darja: Hassan Sahi, Kitab uL Azahi, Baab: Qurbani main Shareek hona)

Sunday 14 October 2012

Huzoor Sallallaho Alaihe Wasallam ko Qital ka Khusosi Hukum

سو اے پیغمبر تم اللہ کی راہ میں لڑو۔ تم اپنے سوا کسی کے ذمے دار نہیں ہو۔ اور مومنوں کو بھی ترغیب دو۔ قریب ہے کہ اللہ کافروں کی لڑائی کو بند کر دے۔ اور اللہ شدید ترین جنگ کرنے والا ہے اور سزا دینے کہ لحاظ سے بھی بہت سخت ہے۔

So, fight in the way of Allah. You are not responsible but for yourself, and persuade the believers (to fight in Allah’s way). It is likely that Allah will prevent the mischief of those who disbelieve. Allah is the strongest in power and the mightiest in punishing.

[Mafhom-e-Quran: So ay peghambar tum Allah ki raah main larho. tum apnay siwa kisi kay zime dar nahi ho. aur momino ko bhi targheeb do. qareeb hai kay Allah kafiron ki larai ko band kar de. aur Allah shaded tareen jang karnay wala hai aur saza denay kay lehaz say bhi bohat sakht hai.]

(Surah # 4, An-Nisa, Ayah # 84)

Saturday 13 October 2012

ZiL-Hajja kay Pehlay 10 Dinon main Naik Aamal karnay ki Fazilat

Mafhom e Hadees: ALLAH kay Rasool SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: ZiL-Hajja kay pehlay das (10) dinon main kiye gaye aamal e saliha Allah kay nazdeeq tamam dinon main kiye gaye naik aamaal say ziada mehboob hain..! (Tirmazi, Abwab us Soum, Hadees # 736, Baab: ZiL-Hajja kay pehlay 10 dinon main naik aamal karnay ki Fazilat, Ravi: Hazrat ibne Abbas Razi Allah Anhuma)

Friday 12 October 2012

MEHFIL-E-ISHQ


Barra lutf deta hai naam Muhabbat
Main arz karta hun:
Barra lutf deta hai naam Muhammad
Peace be upon him ..... ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Barra chaeen deta hai naam Muhammad
Peace be upon him  .....  ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Barra piyara lagta hai naam Muhammad
Peace be upon him  .....  ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Barri shan rakhta hai naam Muhammad
Peace be upon him  .....  ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Barri aan rakhta hai naam Muhammad
Peace be upon him  .....  ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Barri pohanch rakhta hai naam Muhammad
Peace be upon him  .....  ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Barra roab rakhta hai naam Muhammad
Peace be upon him  .....  ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Barra piyar deta hai naam Muhammad
Peace be upon him  .....  ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Barra kaam karta hai naam Muhammad
Peace be upon him  .....  ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Barra zor rakhta hai naam Muhammad
Peace be upon him  .....  ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ..... صلى الله عليه وسلم

Thursday 11 October 2012

Qurbani Kay Janwar Kay Har Baal Kay Badlay Aik Neki Milti Hai

Mafhom e Hadees: Aik dafa Sahaba Rz.A ne pocha: In qurbanion ki kia haqiqat hai? Nabi Alaihe Salam nay farmaya: Yeh tumharay baap Ibrahim ki sunnat hai, Sahaba Rz.A nay pocha is par humain kia milay ga? Aap nay farmaya: Har baal kay badlay aik neki, Sahaba Rz.A nay pocha oon ka kia hukam hai? Aap nay farmaya: Oon kay har baal kay badlay main bhi aik neki milay gi (Ahmed, Hadees # 19498, Musnad uL Kofiyan, Ravi: Zaid Bin Arqam Rz.A)

Wednesday 10 October 2012

Rozee Main Tangi Aur Wusat Ki Hikmat

کیا انہوں نے نہیں دیکھا کہ اللہ ہی جسکے لئے چاہتا ہے رزق فراخ کرتا ہے اور جسکے لئے چاہتا ہے تنگ کرتا ہے۔ بیشک اس میں ایمان لانے والوں کے لئے نشانیاں ہیں۔

Did they not see that Allah extends provision to whomsoever He wills, and straitens (it for whomsoever He wills)? Surely in this there are signs for a people who believe.

[Mafhom-e-Quran: Kiya inho nay nahi dekha kay Allah hi jiskay liye chahta hai rizq farakh karta hai aur jiskay liye chahta hai tang karta hai. beshak is main eemaan lanay walon kay liye nishanian hain.]

(Surah # 30, Ar-Room, Ayah # 37)

Tuesday 9 October 2012

Jab Tak Kazzab Na Niklain Gay Qayamat Qaim Na Hogi

Mafhom e Hadees: Hazrat Mohammad SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: Meri ummat main tees (30) jhotay paida hon gay, in main se har aik yeh dawa karay ga kay wo nabi hay halan kay Main akhri Nabi hon, Mere baad koi Nabi nahi (Tirmizi, Hadees # 2307, Darja: Sahi, Kitab uL Fitan, Baab: Jab tak Kazzab na niklain gay Qiyamat Qaim na hogi, Ravi: Sobaan Razi Allah Anho)

Sunday 7 October 2012

BAITULLAH KAY HAJJ KA HUKUM

اور لوگوں پر اللہ کا حق یعنی فرض ہے کہ جو اس گھر تک جانے کا مقدور رکھے وہ اس کا حج کرے۔ اور جو اس حکم کی تعمیل نہ کرے گا تو اللہ بھی اہل عالم سے بے نیاز ہے۔

As a right of Allah, it is obligatory on the people to perform Hajj of the House - on everyone who has the ability to manage (his) way to it. If one disbelieves, then Allah is independant of all the worlds.

[Mafhom-e-Quran: Aur logon par Allah ka Haq yani farz hai kay jo us ghar tak janay ka maqdor rakhay wo us ka hajj kare. aur jo is hukum ki tameel na kare ga to Allah bhi ahl-e-aalim say be-niyaz hai.]

(Surah # 3, Aal-e-Imran, Ayah # 97)

Friday 5 October 2012

Mehboob Cheezen Kharch Karne Ki Fazeelat

مومنو! جب تک تم ان چیزوں میں سے جو تمہیں عزیز ہیں اللہ کی راہ میں خرچ نہ کرو گے کبھی نیکی حاصل نہ کر سکو گے اور جو چیز تم خرچ کرو گے اللہ اس کو جانتا ہے۔

You shall never attain righteousness unless you spend from what you love. Whatsoever you spend, Allah is fully aware of it.

[Mafhom-e-Quran: Momino! jab tak tum un cheezon main say jo tumhe aziz hain Allah ki rah main kharch na karo gay kabhi naiki hasil na kar sako gay aur jo cheez tum kharch karo gay Allah usko janta hai.]

(Surah # 3, Aal-e-Imran, Ayah # 92)

Thursday 4 October 2012

Haya Aur Eeman Lazim Aur Malzon Hain

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam ne farmaya: Haya aur Eeman donon (2) hi ko aik (1) dosray say mila diya gaya hai, is liye jahan in main say aik (1) nahi hota to wahan dosray (2) ko bhi nahi rehnay diya jata (Mustadrak Hakim, Hadees #58, Darja: Sahi, Kitab uL Eeman, Ravi: ibne Umar Rz.A)

Wednesday 3 October 2012

Musalmano Ko Nazren Neechi Rakhne Ka Hukum

مومن مردوں سے کہدو کہ اپنی نظریں نیچی رکھا کریں اور اپنی شرمگاہوں کی حفاظت کیا کریں۔ یہ انکے لئے بڑی پاکیزگی کی بات ہے اور جو کام یہ کرتے ہیں اللہ ان سے خبردار ہے۔

Tell the believing men that they must lower their gazes and guard their private parts; it is more decent for them. Surely Allah is All-Aware of what they do.

[Mafhom-e-Quran: Momin Mardon say kehdo kay apni nazren neechi rakha karen aur apni sharamgahon ki hifazat kia karen. ye unkay liye bari pakeezgi ki baat hai aur jo kaam ye kartay hain Allah un say khabardar hai.]

(Surah # 24, An-Noor, Ayah # 30)

Tuesday 2 October 2012

Sood Aur Rishwat Ka Nuqsan

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam ne farmaya: jis qoum main sood aam ho jaey wo qehat saali main mubtala ho jati hai aur jis qoum main rishwat aam ho jaey to dosron (yani kuffar) ka roub aur khauf un kay dil mai baith jata hai (Ahmed, Hadees #17976, Musnad e Shamieen, Ravi: Amr Bin Aas Rz.A)

Most Viewed in 7 Days