بسم الله الرحمن الرحيم
Showing posts with label Sood. Show all posts
Showing posts with label Sood. Show all posts

Tuesday, 2 October 2012

Sood Aur Rishwat Ka Nuqsan

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam ne farmaya: jis qoum main sood aam ho jaey wo qehat saali main mubtala ho jati hai aur jis qoum main rishwat aam ho jaey to dosron (yani kuffar) ka roub aur khauf un kay dil mai baith jata hai (Ahmed, Hadees #17976, Musnad e Shamieen, Ravi: Amr Bin Aas Rz.A)

Monday, 9 July 2012

Sood Khanay Aur Khilanay Par Waeed

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam nay Sood Khanay Walay, Khilanay Walay, is kay Gawahon aur is kay Likhnay Walay (in sub) Par Lanat Farmai hai (Abo Dawood, Hadees # 3333, Darja: Hasan, Kitab uL Boyou, Baab: Sood Khanay aur Khilanay Par Waeed, Ravi: Abdullah Bin Abbas Rz.A)

Thursday, 5 July 2012

Sood Ki Mumaniat

اے ایمان والو! دگنا چوگنا سود نہ کھاؤ اور اللہ سے ڈرو تا کہ کامیاب ہو جاؤ۔

O you who believe, do not eat up the amounts acquired through Ribā (interest), doubled and multiplied. Fear Allah, so that you may be successful,

[Mafhom-e-Quran: Aay emaan walo! dugna chugna sood na khao aur Allah say darro ta kay kamiyab ho jao.]

(Surah # 3, Aal-e-Imran, Ayah # 130)

Friday, 29 June 2012

Allah Sood Ko Ghattata Aur Sadqaat ko Barrhata Hai


اللہ سود کو نابود یعنی بے برکت کرتا اور خیرات کی برکت کو بڑھاتا ہے اور اللہ کسی ناشکرے گناہگار کو دوست نہیں رکھتا۔

Allah destroys ribā and nourishes charities, and Allah does not like any sinful disbeliever.

[Mafhom-e-Quran: Allah sood ko nabood yani be barkat karta aur kheraat ki barkat ko barrhata hai aur Allah kisi nashukray gunhagar ko dost nahi rakhta]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 276)

Thursday, 31 May 2012

Sood Main 70 Gunah Hain

Baab: Sood ki Burai,
Mafhom e Hadees: Sood main 70 Gunah hain, Sab se halka Gunah is Qadar (Bara) hay Jese Koi Shakhs apni Maa se Zina karay (Ibne Maja, Hadees # 2274, Abwab ut Tijarat, Ravi: Abbo Horaira Rz.A)

Maa kay sath Zina Karna itna Bura Kaam hai Jis se Ziada Qabil e Nafrat Gunah Ka Tasawur Nahi kia Ja Sakta, Lekin Sood ka Sab se Halka Gunah is Qadar hai to Sochain is kay 69 Qisam kay Gunah Kitnay Buray hon Gay??

Friday, 25 May 2012

SOOD KHANAY WALON KA ANJAAM


Mafhom e Hadees: Nabi Alaih Salam ne Farmaya: Jis Raat Mujhe Mairaj Karai Gai to Main Kuch Logon kay Pas say Guzra Jin Kay Pait Makanon ki Tarah (Barray Barray) Thay in kay (Paiton kay) andar Sanp thay Jo Bahir say Dekhai day Rahay thay, Mene Jibrail Alaih Salam say Pocha kay Ye Kon Log hain? To Unhon ne Bataya kay Ye Sood Khanay Walay hain (Ibne Maja, Hadees #2273, Abwab ut Tijarat, Ravi: Abbo Horaira R.A, Baab: Sood ki Burai ka Bayan)

Thursday, 24 May 2012

SOOD KHANAY WALE KI HAQIQAT

جو لوگ سود کھاتے ہیں وہ قبروں سے اس طرح حواس باختہ اٹھیں گے جیسے کسی کو جن نے لپٹ کر دیوانہ بنا دیا ہو۔ یہ اس لئے کہ وہ کہتے ہیں کہ سودا بیچنا بھی تو نفع کے لحاظ سے ویسا ہی ہے جیسے سود لینا حالانکہ سودے کو اللہ نے حلال کیا ہے اور سود کو حرام تو جس شخص کے پاس اللہ کی نصیحت پہنچی اور وہ سود لینے سے باز آگیا تو جو پہلے ہو چکا وہ اس کا۔ اور قیامت میں اس کا معاملہ اللہ کے سپرد۔ اور جو پھر لینے لگا تو ایسے لوگ دوزخی ہیں کہ ہمیشہ دوزخ میں جلتے رہیں گے۔

Those who take ribā (usury or interest) will not stand but as stands the one whom the demon has driven crazy by his touch. That is because they have said: “Sale is but like ribā.’’, while Allah has permitted sale, and prohibited ribā. So, whoever receives an advice from his Lord and desists (from indulging in ribā), then what has passed is allowed for him, and his matter is up to Allah. As for the ones who revert back, those are the people of Fire. There they will remain forever.

[Mafhom-e-Quran: Jo log sood khatay hain wo qabron say is tarhan hawas bakhta uthain gay jaisy kisi ko jin nay lipat kar dewana bana dia ho. yeh is liye kay wo kehtay hain kay soda bechna bhi to nafa kay lehaz say wesa hi hai jese sood lena halankay tijarat ko Allah nay halal kia hai aur sood ko haram to jis shaks kay paas Allah ki nasihat pohnchi aur wo sood lenay say baaz aagaya to jo pehlay ho chuka wo uska. aur qayamat main uska mamla Allah kay supard. aur jo phir lenay laga to aese log dozkhi hain kay hamesha dozakh main jalte rahenge.

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 275)

Wednesday, 23 May 2012

Sood se Maal Ghatta aur Zakat se Barrhta hai

اور جو سود تم دیتے ہو کہ وہ لوگوں کے مال میں بڑھے تو اللہ کے نزدیک تو وہ بڑھتا بھی نہیں اور جو تم زکوٰۃ دیتے ہو اللہ کی رضامندی طلب کرتے ہوئے تو وہ موجب برکت ہے اور ایسے ہی لوگ اپنے مال کو کئ گنا کرنے والے ہیں۔

Whatever Ribā (increased amount) you give, so that it may increase in the wealth of the people, it does not increase with Allah; and whatever Zakāh you give, seeking Allah’s pleasure with it, (it is multiplied by Allah, and) it is such people who multiply (their wealth in real terms.)

[Mafhom-e-Quran: Aur jo sood tum detay ho kay wo logon kay maal main barrhe to Allah kay nazdeek to wo barrhta bhi nahi aur jo tum zakat detay ho Allah ki razamandi talab karte hue to wo moajab barkat hai aur aese hi log apnay maal ko kai guna karne wale hain.]

(Surah # 30, Ar-Room, Ayah # 39)

Most Viewed in 7 Days