بسم الله الرحمن الرحيم

Friday 29 March 2013

Cheh (6) Din Main Zameen o Aasman Ki Pedaish

تمہارا پروردگار تو اللہ ہی ہے جس نے آسمان اور زمین چھ دن میں بنائے پھر عرش پر جلوہ افروز ہوا وہی ہر ایک کام کا انتظام کرتا ہے۔ کوئی اسکے پاس اسکی اجازت حاصل کئے بغیر کسی کی سفارش نہیں کر سکتا۔ یہی اللہ تمہارا پروردگار ہے تو اسی کی عبادت کرو۔ بھلا تم غور کیوں نہیں کرتے۔

Surely, your Lord is Allah, the One who created the heavens and the earth in six days, and then He positioned Himself on the Throne. He governs all affairs (of His creation). There is no one who could intercede before Him, except after His permission. That is Allah, your Lord. So, worship Him. Would you still pay no heed?

[Mafhom-e-Quran: Tumhara parwardigar tou Allah hi hai jis nay aasman aur zameen cheh (6) din main banaey phir arsh par jalwa afroz hua wohi har aik kaam ka intezam karta hai. koi uskay paas uski ijazat hasil kiye bager kisi ki safarish nahi kar sakta. yehi Allah tumhara parwardigar hai tou usi ki ibadat karo. bhala tum ghor kyun nahi kartay.]

(Surah # 10, Yunus (Jonah), Ayah # 3)

Tuesday 26 March 2013

Ambia Apni Qabron Main Namazain Bhi Parhtay Hain

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Jis raat mujhe mairaaj karai gai tou main Mosa Alaihe Salam (ki qabar) per say guzra, Surkh teelay kay paas dekha kay wo apni qabar main kharay ho kar namaz parh rahay hain (Muslim, Hadees 6157, Kitab uL Fazail, Baab: Mosa Alaihe Salam Kay Fazail, Ravi: Anas Bin Malik Razi Allah Unho)

Monday 25 March 2013

Aadmi Ka Maal Teen Cheezen Hain

Mafhom-e- Hadees: Insan ka maal is ki jama karda jaedad main say tou sirf teen (3) cheezen hain: Jo us nay khaya aur khatam kar diya, jo pehan lia aur bosida kar diya, jo rah-e-Khuda main kharch kia aur zakhera-e-aakhirat bana liya. (baqi sab tou warison ko milay ga) (SUNAN-E-NISAE, Kitab: wassiat, Baab: wassiyat karnay main takheer par karahat, Ravi Hazrat Muttarif kay walid Raziallaho anho. p#311. J# 81)

Saturday 23 March 2013

Allah Jisko Chahe, Jitni Chahe Rozee Dey

اللہ اپنے بندوں پر مہربان ہے وہ جسکو چاہتا ہے رزق دیتا ہے۔ اور وہ زورآور ہے غالب ہے۔

Allah is kind to His servants. He gives provision to whom He wills, and He is the Strong, the Mighty.

[Mafhom-e-Quran: Allah apnay bandon par meharban hai wo jisko chahta hai rizq deta hai. aur wo zor-awar hai ghalib hai. (yani bawajood nafarmani kay kisi ki rozee band nahi karta balkay apnay bandon ki riayat karta hai)]

(Surah # 41, Ash-Shura (Council, Consultation), Ayah # 19)

Thursday 21 March 2013

Azwaj-e-Mutahirat Momino Ki Maaen Hain

پیغمبر مومنوں پر انکی جانوں سے بھی زیادہ حق رکھتے ہیں اور پیغمبر کی بیویاں لوگوں کی مائیں ہیں

The Prophet is closer to the believers than their own selves, and his wives are their mothers;

[Mafhom-e-Quran: Peghambar momino (eemaan walon) par unki jaanon say bhi ziyada haq rakhtay hain aur peghambar ki biwiyan logon ki maaen (deeni maaen) hain]

(Surah # 33, Al-Ahzab (The Coalition), Ayah # 6)

Tuesday 19 March 2013

Nabi Alaihe Salam Apni Qabar Main Jawab Detay Hain

Mafhom e Hadees: Jo shakhs bhi mujh par salam bhejta hai to Allah meri rooh ko mutawajah kar deta hai aur main us kay salam ka jawab deta hun. (Abo Dawood, H#2041, Kitab uL Manasik, Baab: Ziarat iL Qubor)

Saturday 16 March 2013

Sharam Gah Ki Hifazat Say Jannat Ka Husool

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Apni sharam gaahon ki hifazat karo aur zina na karo, khabardar jo shakhs apni sharam gah ki hifazat karta hai, us kay liye jannat hai (Shoub uL-Eemaan, Jild 4, Page 365, Hadees 5425, Eeman ka sentiswan (37) Shouba, Unwan: Ghair Mehram Aurat ki Taraf Dekhnay ki Mumana'at, Ravi: Hazrat ibne Abbas Razi Allah Unhoma, Nashir: Darul Kutub al ilmia, Bairoot)

Thursday 14 March 2013

Naap Tol Main Kami Beshi Aur Logon Kay Haqooq Marnay Ki Momaniat

دیکھو پیمانہ پورا بھرا کرو اور نقصان نہ کیا کرو۔ اور ترازو سیدھی رکھ کر تولا کرو۔ اور لوگوں کو انکی چیزیں کم نہ دیا کرو اور ملک میں فساد نہ کرتے پھرو۔ اور اس سے ڈرو جس نے تمکو اور پہلی خلقت کو پیدا کیا۔

Give full measure, and do not be among those who bring loss to others. Weigh with an even balance, and do not make people short of their things, and do not spread disorder in the land as mischief-makers, and be fearful of the One who created you and the former generations.”

[Mafhom-e-Quran: Dekho pemana pora bhara karo aur nuqsan na kiya karo. Aur tarazo seedhi rakh kar tola karo. Aur logon ko unki cheezen kam na diya karo aur mulk main fasad na kartay phiro. Aur us say daro jis nay tumko aur pheli khalqat ko peda kiya.]

(Surah # 26, Ash-Shuara (The Poets), Ayah # 181-184)

Tuesday 12 March 2013

Har Musalman Par Lazim Hai Kay Apnay Sath Apnay Ghar Walon Ko Bhi Deen Ki Raah Par Laey

مومنو! اپنے آپکو اور اپنے اہل و عیال کو اس آگ سے بچاؤ جس کا ایندھن آدمی اور پتھر ہونگے اور جس پر تندخو اور سخت گیر فرشتے مقرر ہیں وہ کسی حکم کی جو اللہ انکو دیتا ہے نافرمانی نہیں کرتے اور جو حکم انکو ملتا ہے اسے بجا لاتے ہیں۔

O you who believe, save yourselves and your families from a fire, the fuel of which is human beings and stones, appointed on which are angels, stern and severe, who do not disobey Allah in what He orders them, and do whatever they are ordered to do.

[Mafhom-e-Quran: Momino! Apnay aapko aur apnay ahal o ayal ko us aag say bachao jis ka eendhan aadmi aur pathar honge aur jis par tandkho aur sakht geer farishtay muqarar hain wo kisi hukum ki jo Allah unko deta hai nafarmani nahi kartay aur jo hukum unko milta hai usay baja latay hain.]

(Surah # 66, At-Tahrim (Banning), Ayah # 6)

Friday 8 March 2013

Jhooti Qasam Kha Kay Maal Bechna Akhrat Kay Badlay Dunya Bechnay Jesa Hai

Mafhom e Hadees: Abo Saeed Rz.A kehtay hain kay aik (1) dehati meray paas say bakri lay kar guzra tou mene kaha tum isko teen (3) dirham main dou gay? Us nay kaha ALLAH ki qasam nahi phir us nay bech di, mene Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam ko bataya tou Aap nay farmaya: Us (dehati) nay duniya kay badlay akhrat ko beach diya (Sahi ibne Habban, Hadees 4909, Kitab uL Boyou)

Monday 4 March 2013

Rishwat Ka Gunah

Mafhom e Hadees: Hazrat Masrooq Rahimahullah (Jo tabieen main say hain) nay kaha kay jis waqt kisi qazi nay hadiya qubool kia (us shakhs say jo hamesha hadiya nahi deta tha, balkay qazi honay kay baad hadiya denay laga) tou us nay haram khori ki aur jab rishwat li tou kufr kay qareeb pohanch gaya (Nasai, Kitab uL Ashriba, Hadees 5672, Baab: Sharab Peenay Walay Ki Namaz Qubool Nahi hoti)

Friday 1 March 2013

Neki Aur Burai Ki Jaza Ka Qanoon

جو کوئی اللہ کے حضور نیکی لے کر آئے گا اسکو ویسی دس نیکیاں ملیں گی۔ اور جو برائی لائے گا تو اسے سزا اس جیسی ہی ملے گی اور ان پر ظلم نہیں کیا جائے گا۔

Whoever comes with a good deed will receive ten times as much, and whoever comes with an evil deed will be requited with no more than the like of it, and they shall not be wronged.

[Mafhom-e-Quran: Jo koi Allah kay huzoor neki lay kar aaey ga usko wesi das (10) naikian (kam az kam) milen gi. aur jo burai laey ga tou usy (zada se zada) saza us jesi hi milay gi aur un par zulm nahi kiya jaey ga.]

(Surah # 6, Al-Anaam (The Cattle), Ayah # 160)

See Also: Allah Ki Rah Main Kharch Karnay Ka Sawab 700 Guna (Times) Hai

Most Viewed in 7 Days