بسم الله الرحمن الرحيم
Showing posts with label Ahmed. Show all posts
Showing posts with label Ahmed. Show all posts

Saturday, 22 December 2012

Haram kay Istemal ki Waja say Jannat say Mehromi

Haram kay istemal ki waja say jannat se mehromi: Rasolullah (Sallallaho Alaihe Wasallam) nay farmaya: Wo gosht jo Haram se parwarish paya ho Jannat main dakhil na ho ga (Ahmad)

Thursday, 11 October 2012

Qurbani Kay Janwar Kay Har Baal Kay Badlay Aik Neki Milti Hai

Mafhom e Hadees: Aik dafa Sahaba Rz.A ne pocha: In qurbanion ki kia haqiqat hai? Nabi Alaihe Salam nay farmaya: Yeh tumharay baap Ibrahim ki sunnat hai, Sahaba Rz.A nay pocha is par humain kia milay ga? Aap nay farmaya: Har baal kay badlay aik neki, Sahaba Rz.A nay pocha oon ka kia hukam hai? Aap nay farmaya: Oon kay har baal kay badlay main bhi aik neki milay gi (Ahmed, Hadees # 19498, Musnad uL Kofiyan, Ravi: Zaid Bin Arqam Rz.A)

Tuesday, 2 October 2012

Sood Aur Rishwat Ka Nuqsan

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam ne farmaya: jis qoum main sood aam ho jaey wo qehat saali main mubtala ho jati hai aur jis qoum main rishwat aam ho jaey to dosron (yani kuffar) ka roub aur khauf un kay dil mai baith jata hai (Ahmed, Hadees #17976, Musnad e Shamieen, Ravi: Amr Bin Aas Rz.A)

Monday, 7 May 2012

Jahannum kay Sanp aur Bicho

Mafhom e Hadees: Jahannum Main Bokhti Onthon ki Jisamat kay Barabar Sanp hain, (Wo Es Qadar Zehrilay hain kay) In main se Koi Sanp Kisi ko aik (1) Dafa Dasay ga to chalis (40) Saal tak es kay Zehar ka asar Mehsoos Karta rahay Ga, Aur Dozakh Main Khacharon kay Barabar Bicho hon Gay Jo Agar Kisi ko aik (1) Dafa Dasay ga to chalis (40) Saal tak es kay Zehar ka asar Mehsoos Karta Rahay Ga (Ahmed, Hadees # 17864, Musnad e Shamaieen, Ravi: Abdullah Bin Haris Rz.A)

Monday, 9 April 2012

Islam ki Chotti

Mafhome Hadees: Islam kay Kohan ki Bulandi (Islam ki Chotti) ALLAH kay Rastay main Jihad karna hay (Ahmed, Hadees #22366, Musnad uL Ansaar, Ravi: Maaz Bin Jabal Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Thursday, 15 December 2011

Namaz Qayamat k Din Noor hogi

Mafhome Hadees: Jo Shaks Namaz pabandi se Adda kare Ga to Ye us kay liye Qayamat kay Din Noor hogi, (is kay imaan aur ALLAH se iski Wafadari ki) Daleel hogi, Aur (Jahanum se) Nijat ka Sabab ban jaye Gi, Aur Jo Shaks Namaz ki Pabandi nhi kare Ga to Namaz us kay liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banay gi aur Wo Qayamat kay din Qaroon, Hamaan Aur Obai Bin Khalaf kay sath hoga (Ahmed, H#6576, Musnad Abdullah Bin Ammar Rz.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days