بسم الله الرحمن الرحيم

Thursday 31 May 2012

Juma Namaz Chornay par Waeed


Mafhom e Hadees: Log Juma (ki Namaz) chornay se baaz aa jain nahi to ALLAH un kay dillon par Mohhar laga dega phir wo ghaflon main se ho jain gay (Muslim, Hadees # 2002, Kitab uL Juma, Ravi: Abbo Horaira Rz.A, Baab: "Juma Namaz Chornay par Waeed")

Sood Main 70 Gunah Hain

Baab: Sood ki Burai,
Mafhom e Hadees: Sood main 70 Gunah hain, Sab se halka Gunah is Qadar (Bara) hay Jese Koi Shakhs apni Maa se Zina karay (Ibne Maja, Hadees # 2274, Abwab ut Tijarat, Ravi: Abbo Horaira Rz.A)

Maa kay sath Zina Karna itna Bura Kaam hai Jis se Ziada Qabil e Nafrat Gunah Ka Tasawur Nahi kia Ja Sakta, Lekin Sood ka Sab se Halka Gunah is Qadar hai to Sochain is kay 69 Qisam kay Gunah Kitnay Buray hon Gay??

Wednesday 30 May 2012

Quran Yaad Karne Ki Fazilat

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam ne Farmaya: Jis ne Quran parha aur usko Yaad kia, ALLAH usko Jannat main Dakhil farmaye ga, Aur us kay Ghar walon main se Ayse 10 Afraad kay Haq main Shifaat Qabool karay ga Jin Par (Gunahon ki waja se) Jahannum Wajib ho chuki hogi (Ibne Maja, Hadees # 216, Kitab us Sunnat, Baab: Quran Seekhnay aur Sekhanay ki Fazilat, Ravi: Ali Bin Abbo Talib Razi Allah Unho)

Tuesday 29 May 2012

Meray Baad Abbo Bakar aur Umar (Rz.A) ki Pervi Karna

Mafhom e Hadees: Mujhe Nahi Maloom kay kab tak tum logon main Rahon is liye Meray Baad Abbo Bakar aur Umar (Rz.A) ki Pervi karna (Tirmazi, Darja: Hassan, Hadees#3806, Kitab uL Manaqib, Baab: Munaqibe Abbo Bakar R.A)

Sabit howa kay Hamain Nabi Alaihe Salam ki Pervi kay Sath Sath Abbo Bakar aur Umar Rz.A ki bhi Pervi karni chahiye, Aur Nabi Alaihe Salam ne "Mujhe Nahi Maloom" Keh kay Bata diya kay ALLAH kay ilawa koi Aalim uL Ghaib Nahi

Friday 25 May 2012

SOOD KHANAY WALON KA ANJAAM


Mafhom e Hadees: Nabi Alaih Salam ne Farmaya: Jis Raat Mujhe Mairaj Karai Gai to Main Kuch Logon kay Pas say Guzra Jin Kay Pait Makanon ki Tarah (Barray Barray) Thay in kay (Paiton kay) andar Sanp thay Jo Bahir say Dekhai day Rahay thay, Mene Jibrail Alaih Salam say Pocha kay Ye Kon Log hain? To Unhon ne Bataya kay Ye Sood Khanay Walay hain (Ibne Maja, Hadees #2273, Abwab ut Tijarat, Ravi: Abbo Horaira R.A, Baab: Sood ki Burai ka Bayan)

Thursday 24 May 2012

SOOD KHANAY WALE KI HAQIQAT

جو لوگ سود کھاتے ہیں وہ قبروں سے اس طرح حواس باختہ اٹھیں گے جیسے کسی کو جن نے لپٹ کر دیوانہ بنا دیا ہو۔ یہ اس لئے کہ وہ کہتے ہیں کہ سودا بیچنا بھی تو نفع کے لحاظ سے ویسا ہی ہے جیسے سود لینا حالانکہ سودے کو اللہ نے حلال کیا ہے اور سود کو حرام تو جس شخص کے پاس اللہ کی نصیحت پہنچی اور وہ سود لینے سے باز آگیا تو جو پہلے ہو چکا وہ اس کا۔ اور قیامت میں اس کا معاملہ اللہ کے سپرد۔ اور جو پھر لینے لگا تو ایسے لوگ دوزخی ہیں کہ ہمیشہ دوزخ میں جلتے رہیں گے۔

Those who take ribā (usury or interest) will not stand but as stands the one whom the demon has driven crazy by his touch. That is because they have said: “Sale is but like ribā.’’, while Allah has permitted sale, and prohibited ribā. So, whoever receives an advice from his Lord and desists (from indulging in ribā), then what has passed is allowed for him, and his matter is up to Allah. As for the ones who revert back, those are the people of Fire. There they will remain forever.

[Mafhom-e-Quran: Jo log sood khatay hain wo qabron say is tarhan hawas bakhta uthain gay jaisy kisi ko jin nay lipat kar dewana bana dia ho. yeh is liye kay wo kehtay hain kay soda bechna bhi to nafa kay lehaz say wesa hi hai jese sood lena halankay tijarat ko Allah nay halal kia hai aur sood ko haram to jis shaks kay paas Allah ki nasihat pohnchi aur wo sood lenay say baaz aagaya to jo pehlay ho chuka wo uska. aur qayamat main uska mamla Allah kay supard. aur jo phir lenay laga to aese log dozkhi hain kay hamesha dozakh main jalte rahenge.

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 275)

Wednesday 23 May 2012

Sood se Maal Ghatta aur Zakat se Barrhta hai

اور جو سود تم دیتے ہو کہ وہ لوگوں کے مال میں بڑھے تو اللہ کے نزدیک تو وہ بڑھتا بھی نہیں اور جو تم زکوٰۃ دیتے ہو اللہ کی رضامندی طلب کرتے ہوئے تو وہ موجب برکت ہے اور ایسے ہی لوگ اپنے مال کو کئ گنا کرنے والے ہیں۔

Whatever Ribā (increased amount) you give, so that it may increase in the wealth of the people, it does not increase with Allah; and whatever Zakāh you give, seeking Allah’s pleasure with it, (it is multiplied by Allah, and) it is such people who multiply (their wealth in real terms.)

[Mafhom-e-Quran: Aur jo sood tum detay ho kay wo logon kay maal main barrhe to Allah kay nazdeek to wo barrhta bhi nahi aur jo tum zakat detay ho Allah ki razamandi talab karte hue to wo moajab barkat hai aur aese hi log apnay maal ko kai guna karne wale hain.]

(Surah # 30, Ar-Room, Ayah # 39)

Tuesday 22 May 2012

Pani Peenay Ki Sunnatain

Pani Peenay Ki Sunnatain:

1) Daien Hath (Right Hand) se Peena, kion kay Baien hath (Left Hand) se Shaitaan Peeta hay (Muslim, Hadees # 5267, Kitab uL Ashriba, Baab: Khanay, Peenay aur Sonay Kay Aadab, Ravi: Abdullah Bin Umar Rz.A)
2) Bismillah Keh kar Peena aur Pee kar ALLAH Ki Hamd o Sana karna Jese Alhumdulillah kehna (Tirmazi, Hadees # 1947, Kitab uL Ashriba, Baab: Bartan main Sans Lena, Ravi: Ibne Abbas Rz.A)

3) Baith kar Peena kion kay Kharay ho kar Peena Mana hai (Muslim, Hadees # 5274, Kitab uL Ashriba, Baab: Kharay ho kar Pani Peenay ka Biyan, Ravi: Anas Rz.A)
4) Teen (3) Sans main Peena aur Sans Lete Waqt Bartan Ko Moun se Alag karna (Muslim, Hadees # 5285 aur 5287, Kitab uL Ashriba, Baab: Pani Peenay main Bartan Kay Andar Sans lena Makrooh hai aur bahir Mustahab hai, Ravi: Abbo Qatada aor Anas Rz.A)

Saturday 19 May 2012

Ahsan Jatane Ki Mumaniat

جو لوگ خرچ کرتے ہیں اپنے مال اللہ کی راہ میں پھر خرچ کرنے کے بعد نہ احسان رکھتے ہیں اور نہ ستاتے ہیں انہی کے لئے ہے ثواب ان کا اپنے رب کے یہاں اور نہ ڈر ہے ان پر اور نہ غمگین ہوں گے


Those who spend their wealth in the way of Allah, then do not make their spending followed by boasting about favour, or with causing hurt,- they have their reward with their Lord and there is no fear for them nor shall they grieve.
[Mafhom-e-Quran: Jo Log Kharch karte hain apne maal Allah ki raah main phir kharch karne kay bad na ahsaan rakhte hain aur na satate hain unhi kay liye hai sawab un ka apne raab kay yahan aur na dar hai un par aur na ghamgeen hon gey.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 262)

Thursday 17 May 2012

Salam Karte Waqt Do Musalman Ka Hath Milana

Mafhom e Hadees: Jab do (2) Musalmaan Mulakaat kartay hain aur Musafaha (Hath se Hath mila kar Salam) kartay hain to juda honay se pehlay he donon (2) ki Maghfirat kar di jati hai.
(Abbo Dawood, Hadees #5212, Kitab uL Addab, Abwab us Salam, Baab: Musafaha Karnay ka biyan,
Ravi: Baraa Bin Aazib Rz.A)

Wednesday 16 May 2012

Shaitan Bhi Hazrat Umar Se Katrata Tha

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam ne Hazrat Umar Razi Allah Unho se Farmaya: Aay ibne Khattaab..! Os Zaat ki Qasam jis kay Hath main Meri Jaan hay, Agar kabhi Shaitan Tumhain kisi Rastay par aata howa dekh leta hay to Tumhara Rasta Chor kar dosray Rastay par ho leta hay
(Bukhari, Hadees #3683, Kitab: Fazail Ashab e Nabi, Ravi: Saad Rz.A Baab: Manaqib e Umar Bin Khattab Razi Allah Unho)

Tuesday 15 May 2012

Buray Alqab Se Na Pukaro

اور اپنوں کو آپس میں عیب نہ لگاؤ اور نہ ایک دوسرے کا برا نام رکھو۔ ایمان لانے کے بعد برا نام رکھنا گناہ ہے۔ اور جو لوگ توبہ نہ کریں وہ ظالم ہیں۔

And do not find fault with one another, nor call one another with bad nicknames. Bad is the name of sinfulness after embracing Faith. If anyone does not repent, then such people are the wrongdoers.

[Mafhom-e-Quran: Aur apno ko aapas main aeib na lagao aur na aik dosray ka bura naam rakho. eman laane kay bad bura naam rakhna gunah hai. aur jo log toba na karen wo zalim hain.

(Surah # 49, Al-Hujraat, Ayah # 11)

Mard o Aurat Aik Dosray Ka Mazaq Na Urraen

مومنو! مرد مردوں سے تمسخر نہ کریں ممکن ہے جن کا مذاق اڑایا جا رہا ہے ان سے بہتر ہوں اور نہ عورتیں عورتوں سے تمسخر کریں ممکن ہے وہ جن کا مذاق اڑا رہی ہیں ان سے اچھی ہوں۔

O you who believe, no men should ever scoff at other men. May be, the latter are better than the former. Nor should women (ever scoff) at other women. May be, the latter women are better than the former ones.

[Mafhom-e-Quran: Momino! mard mardon se tamaskhar na karen mumkin hai jin ka mazaq urraya jaraha hai un se behtar hon aur na aurten aurton se tamaskhar karen mumkin hai wo jinka mazaq urra rahi hen un se achi hon]

(Surah # 49, Al-Hujraat, Ayah # 11)

Monday 14 May 2012

Musalmano Sabar Aur Namaz Say Madad Lo

اے ایمان والو صبر اور نماز سے مدد لیا کرو۔ بیشک اللہ صبر کرنے والوں کے ساتھ ہے۔

O you who believe, seek help through patience and prayer. Surely, Allah is with those who are patient.

[Mafhom-e-Quran: Ay Ieman walon sabar aur namaz say madad lia karo. Beshak Allah sabar karne walon kay sath hai.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 153)

Aap Sallal Laho Aalaihe Wasallam Tamam Jahanon Kay Liye Rehmat Hain

اور اے نبی ہم نے تمکو تمام جہانوں کے لئے رحمت بنا کر بھیجا ہے۔

And We have not sent you but as mercy for all the worlds.

[Mafhome-e-Quran: Aur Ay Nabi (Sallal Laho Aalaihe Wasallam) Hum ne Tumko Tamam Jahanon kay liye rehmat bana kar bheja hai.]

(Surah # 21, Al-Ambiya, Ayah # 107)

Shan e Siddique e Akbar Razi Allah Unho

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam ne Farmaya: Abbo Bakar (Razi Allah Unho) Maal o Dolat kay aitebar se Meri sab se ziada Khidmat karnay walay hain (Muotta Imam Mohammad, Hadees #941, Kitab uL Luqtah, Baab: Fazail e Sahaba Razi Allah Unhum, Ravi: Abbo Saeed Khudri R.A)

Sunday 13 May 2012

Main Aik Bashar Aur Rasool Hun

کہدو کہ میرا پروودگار پاک ہے میں تو صرف ایک پیغام پہنچانے والا انسان ہوں۔
Say, “I proclaim the Purity of my Lord. I am nothing but human, a messenger.” 
[Kaho kay mera parwardigar paak hai main to sirf aik pegham pohnchane wala insaan hun.]

(Surah # 17, Al-Isra, Ayah # 93)

Friday 11 May 2012

Sab Se Ziada Abbo Bakar Kay Maal Ne Faida Pohnchaya

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam ne Farmaya: Abbo Bakar kay elawa koi Shakhs aesa Nahi jis kay ahsaan ka badla Mene chuka na diya ho haan in kay ahsaan ka badla ALLAH hi Qayamat kay din dain gay, Mujhe Abbo Bakar kay maal kay elawa kisi kay maal ne itna faida nahi pohnchaya, agar Main kisi ko Dost banata to Abbo Bakar ko hi banata (Tirmazi, Hadees #3804, Kitab uL Munaqib, Baab: Munaqib e Abbo Bakar Siddeeq R.A, Ravi: Abbo Horaira Rz.A)

Siddeeq e Akbar Razi Allah Unho ka Muqam


Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam ne Farmaya: Aay Abbo Bakar...! Meri Ummat main se Tum sab se Pehlay Jannat main Dakhil ho gay (Abbo Dawood, Hadees # 4652, Kitab us Sunnat, Baab: Fil Khulafa, Ravi: Abbo Horaira Rz.A)

Wednesday 9 May 2012

Wade Kay Mutaliq Pocha Jae Ga

اور یتیم کے مال کے پاس بھی نہ پھٹکنا۔ مگر ایسے طریق سے کہ بہت بہتر ہو یہاں تک کہ وہ جوانی کو پہنچ جائے۔ اور عہد کو پورا کرو کہ عہد کے بارے میں ضرور پرسش ہو گی۔

Do not go near the property of an orphan, except in a manner that is good, until he comes to his maturity. And fulfill the covenant. Surely, the covenant shall be asked about (on the Day of Reckoning).

[Aur yateem kay maal kay paas bhi na phtakna. magar aese tareqy say kay bohat behtar ho yahan tak kay wo jawani ko pohanch jae. aur ehad ko pora karo kay ehad kay baare main zaror pursish hogi.]

(Surah # 17, Al-Isra, Ayah # 34)

Monday 7 May 2012

Jahannum kay Sanp aur Bicho

Mafhom e Hadees: Jahannum Main Bokhti Onthon ki Jisamat kay Barabar Sanp hain, (Wo Es Qadar Zehrilay hain kay) In main se Koi Sanp Kisi ko aik (1) Dafa Dasay ga to chalis (40) Saal tak es kay Zehar ka asar Mehsoos Karta rahay Ga, Aur Dozakh Main Khacharon kay Barabar Bicho hon Gay Jo Agar Kisi ko aik (1) Dafa Dasay ga to chalis (40) Saal tak es kay Zehar ka asar Mehsoos Karta Rahay Ga (Ahmed, Hadees # 17864, Musnad e Shamaieen, Ravi: Abdullah Bin Haris Rz.A)

Sunday 6 May 2012

Ilm-e-Ilahi ki Wusat

اور اگر تم پکار کر بات کہو تو کیا ہے وہ تو آہستہ کہی ہوئی اور نہایت پوشیدہ بات تک کو جانتا ہے۔ اللہ وہ معبود برحق ہے کہ اس کے سوا کوئی معبود نہیں ہے اس کے سب نام اچھے ہیں۔

If you pronounce the word aloud, then (it makes no difference, for) He certainly knows the secret and what is even more hidden. (Such is) Allah. There is no god but He. For Him are the Beautiful Names.

[Aur agar tum pukar kar baat kaho to kiya hai wo to aahista kahi hui aur nihayat poshida baat tak ko janta hai. Allah wo mabood bar haq hai kay us kay siwa koi mabood nahi hai us kay sab naam ache hain.]

(Surah # 20, Taha, Ayah # 7-8)

Thursday 3 May 2012

Waldain Ki Khidmat na Karne par Waeed

Mafhome Hadees: Pak Nabi Mohammad Sal-Lal-Laho Alaihe Wasallam ne Farmaya: Wo Shaks Zaleel ho, Khuaar ho, Ruswa ho jo Apne Waldain main se aik (1) ya donon (2) ko Burhapay main Paye phir (unki Khidmat aur unka Dil Khush kar kay) JANNAT hasil na kar lay (Muslim, Hadees #6510, Kitab uL Birr, Baab:Waldain kay sath Husan e Sulook Nafal Namaz se Muqaddam hay, Ravi:Abbo Horaira R.A)

ALLAH hamain Bohray Waldain ki Khidmat karnay ki Toufeeq day (Aameen)

Jihad Hamesha Jari Rahe Ga

Mafhome Hadees: Meri Ummat main se aik (1) Jamat hamesha aysi rahe gi jo Haq ki khatir Qital karay gi, Aur Ghalib rahe Gi Yahan tak kay Inhi ki Akhri Jamat Dajjal kay sath bhi Qital kare gi. (Abbo Dawood, Kitab uL Jihad, H#2484, Ravi: Imran Rz.A, Baab: Jihad hamesha Jari rahay ga)

Wednesday 2 May 2012

Saat Aasmaan Ki Takhleeq Do (2) Din Main Hui

پھر وہ آسمان کی طرف متوجہ ہوا جبکہ وہ دھواں تھا تو اس نے اس سے اور زمین سے فرمایا کہ دونوں آؤ خواہ خوشی سے خواہ ناخوشی سے۔ انہوں نے کہا کہ ہم خوشی سے آتے ہیں۔ پھر اس نے دو دن میں سات آسمان بنائے اور ہر آسمان میں اسکے کام کا حکم بھیجا اور ہم نے آسمان دنیا کو چراغوں یعنی ستاروں سے سجایا اور شیطانوں سے محفوظ رکھا۔ یہ اسی زبردست باخبر کے مقرر کئے ہوئے اندازے ہیں۔

Then He turned straight to the sky, while it was a smoke, and said to it and to the earth, “Come (to My obedience), both of you, willingly or unwillingly.” Both said, “We come willingly.” So He accomplished them as seven skies in two days, and settled in every sky its (due) thing. And We have decorated the closest sky with lamps, and protected it properly. All this is the determination of the All-Mighty, the All-Knowing.

[Phir wo aasmaan ki taraf mutawaja hua jabkay wo dhuwan tha to usne us se aur zameen se farmaya kay dono (2) aao khuwa khoshi say khuwah na khushi se. unho nay kaha kay hum khushi se aate hain. Phir usne do (2) din main saat (7) aasmaan banaey aur har aasmaan main uskay kaam ka hukum bheja aur hum nay aasman-e-duniya ko chiraghon yani sitaron say sajaya aur shaitanon se mehfoz rakha. ye usi zabardast bakhabar kay muqarar kiye hue andaze hain.

(Surah # 41, Fussilat / Hā Mīm As-Sajda, Ayah # 11-12)

Most Viewed in 7 Days