بسم الله الرحمن الرحيم

Tuesday 22 May 2012

Pani Peenay Ki Sunnatain

Pani Peenay Ki Sunnatain:

1) Daien Hath (Right Hand) se Peena, kion kay Baien hath (Left Hand) se Shaitaan Peeta hay (Muslim, Hadees # 5267, Kitab uL Ashriba, Baab: Khanay, Peenay aur Sonay Kay Aadab, Ravi: Abdullah Bin Umar Rz.A)
2) Bismillah Keh kar Peena aur Pee kar ALLAH Ki Hamd o Sana karna Jese Alhumdulillah kehna (Tirmazi, Hadees # 1947, Kitab uL Ashriba, Baab: Bartan main Sans Lena, Ravi: Ibne Abbas Rz.A)

3) Baith kar Peena kion kay Kharay ho kar Peena Mana hai (Muslim, Hadees # 5274, Kitab uL Ashriba, Baab: Kharay ho kar Pani Peenay ka Biyan, Ravi: Anas Rz.A)
4) Teen (3) Sans main Peena aur Sans Lete Waqt Bartan Ko Moun se Alag karna (Muslim, Hadees # 5285 aur 5287, Kitab uL Ashriba, Baab: Pani Peenay main Bartan Kay Andar Sans lena Makrooh hai aur bahir Mustahab hai, Ravi: Abbo Qatada aor Anas Rz.A)

No comments:

Post a Comment

Most Viewed in 7 Days