بسم الله الرحمن الرحيم
Showing posts with label Dozakh. Show all posts
Showing posts with label Dozakh. Show all posts

Tuesday, 12 March 2013

Har Musalman Par Lazim Hai Kay Apnay Sath Apnay Ghar Walon Ko Bhi Deen Ki Raah Par Laey

مومنو! اپنے آپکو اور اپنے اہل و عیال کو اس آگ سے بچاؤ جس کا ایندھن آدمی اور پتھر ہونگے اور جس پر تندخو اور سخت گیر فرشتے مقرر ہیں وہ کسی حکم کی جو اللہ انکو دیتا ہے نافرمانی نہیں کرتے اور جو حکم انکو ملتا ہے اسے بجا لاتے ہیں۔

O you who believe, save yourselves and your families from a fire, the fuel of which is human beings and stones, appointed on which are angels, stern and severe, who do not disobey Allah in what He orders them, and do whatever they are ordered to do.

[Mafhom-e-Quran: Momino! Apnay aapko aur apnay ahal o ayal ko us aag say bachao jis ka eendhan aadmi aur pathar honge aur jis par tandkho aur sakht geer farishtay muqarar hain wo kisi hukum ki jo Allah unko deta hai nafarmani nahi kartay aur jo hukum unko milta hai usay baja latay hain.]

(Surah # 66, At-Tahrim (Banning), Ayah # 6)

Wednesday, 23 January 2013

Deen Main Bidat Gumrahi Hai

Mafhom e Hadees: Beshak sab say sachi kitab Allah ki kitab hai, sab say behtareen tariqa Mohammad Sallallahu Alaihe Wasallam ka tariqa hai, sab kaamon say bura wo hai jis ko (Deen main) naya nikala gaya ho, aur har nai cheez bid'at hai, har bidat gumrahi hai aur har gumrahi jahannum main lay jaye gi (Nasai, Hadees 1581, Darja: Sahi, Kitab us Salaat uL Eedain, Baab: Khutba Kese Parha Jaey, Ravi: Jabir Bin Abdullah Rz.A)

Tuesday, 6 November 2012

Ahle Jannat Ka Ahle Dozakh Say Sawal

نیک لوگ) جنتوں میں ہوں گے اور پوچھتے ہوں گے۔ یعنی آگ میں جلنے والے گنہگاروں سے۔ کہ تم دوزخ میں کیوں پڑے؟ وہ جواب دیں گے کہ ہم نمازیوں میں شامل نہ ہوئے۔ اور نہ ہم فقیروں کو کھانا کھلاتے تھے۔ اور ہم بحث کرنیوالوں کے ساتھ مل کر بحث کرتے تھے۔ اور روز جزا کو جھٹلاتے تھے۔

(those who will be given their Book of Deeds in their right hands) who will be in gardens, asking about the guilty persons, “What has brought you to Saqar? (Hell)” They will say, “We were not among those who offered Salāh , (obligatory prayer) and we did not give food to the needy, and we indulged (in mocking at the truth) along with those who indulged, and we used to deny the Day of Requital,

[Mafhom-e-Quran: (Naik log) Jannaton main  hon gay aur pochtay hon gay. Yani aag main jalnay walay gunhegaron say. Kay tum dozakh main kyon pary? Wo jawab dengay kay hum namzion main shamil na hue. Aur na hum faqeeron ko khana khilatay thy. Aur hum behas karnewalon kay sath mil kar behas kartay thy. Aur roz-e-jaza ko jhuttlatay thy.]

(Surah # 74, Al-Muddathir, Ayah # 40 - 46)

Friday, 28 September 2012

Ulta Letnay ki Mumaniat

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam aik (1) shakhs kay paas se guzray jo Masjid main ulta leta hua tha, Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam ne usay apne paon se hilaya aur farmaya: Uttho yeh jahanamion kay letnay ka andaz hai (Ibne Maja, Darja: Hasan, Hadees # 3725, Kitab uL Adab, Baab: Ulta Letnay ki Mumana'at, Ravi: Abo Umama Razi Allah Anho)

Sunday, 19 August 2012

Yatimon Kay Maal Main Khyanat ki Saza

جو لوگ یتیموں کا مال ناجائز طور پر کھاتے ہیں وہ اپنے پیٹ میں آگ بھرتے ہیں۔ اور ضرور دوزخ میں ڈالے جائیں گے۔

Surely, those who unjustly devour the property of the orphans do nothing but devour fire into their bellies, and soon they shall enter a blazing Hell.

[Mafhom-e-Quran: Jo log yatimon ka maal najaiz tor par khatay hain wo apnay pait main aag bhartay hain. aur zaror dozakh main daly jain gay.]

(Surah # 4, An-Nisa, Ayah # 10)

Tuesday, 31 July 2012

Sach Ko Ikhtiyar Karo Yeh Jannat Main Le Janay Wala Hai

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Sach ko ikhtiyar karo Kion kay Yeh Naiki kay sath hota hai aur Yeh donon (2) Jannat main (Lay janay walay) hain aur Jhoot say Bacho Kion kay Jhoot Gunah kay Sath hota hai aur Yeh donon (2) Dozakh main (Lay Janay Walay) hain
(Sunan Ibne Maja, Hadees # 3849, Darja: Sahi, Abwab ud Dua, Baab: Muafi aur Aafiat ki Dua ka Bayan, Ravi: Hazrat Abo Bakar Razi Allah Unho)

Thursday, 5 April 2012

Zaqqum Ka Darakht

Mafhome Hadees: (Jahannum main Peda honay Wala aik Darakht) Zaqqum ka aik Qatra bhi Duniya main Tapka Dia jaye to Duniya Walon kay Liye inki Zindagi Barbad kar day, to In Logon ka Kia Haal hoga Jin ka Khana He Yehi (Zaqqum) hoga (Tirmazi, Hadees # 2688, Darja: Hassan Sahi, Abwabo Siffat e Jahannum, Ravi: Ibne Abbas Rz.A, Baab: Dozakhion kay Mashrobat)


Gunah Karnay say Pehlay Sochain kay Kia Main ALLAH ka Aazab Bardasht Kar Sakon Ga

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days