بسم الله الرحمن الرحيم
Showing posts with label Bidat. Show all posts
Showing posts with label Bidat. Show all posts

Monday, 14 January 2013

Bidaat ka Bayan

Mafhom e Hadees: Hazrat ibne Umar Razi Allah Unhoma kay paas aik (1) admi aaya, us (admi) nay kaha kay "Falan admi aap ko Salam kehta hai", Ibne Umar Razi Allah Unhoma nay kaha "Mujhay yeh khabar pohanchi hai kay us nay Bidat nikali hai, agar waqai us nay Bidat nikali hai to usko mera Salam na kehna (Sunan Darmi, Hadees # 407, Darja: Sahi, Baab: Khwahishaat, Bid'aat aur Jhagra Karnay se Parhaiz Karna, Ravi: Nafay Rematullah Alaih)

Wednesday, 9 January 2013

Ahle Bidat Ko Touba Naseeb Nahi Hoti

Mafhome Hadees: Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Har Bidati shakhs say Allah nay touba ko rok liya hai (Hadees ki Kitab: Shoub uL Eeman, Hadees 9456, Eeman ka 66wan Shouba, Ravi: Hazrat Anas Razi Allah Unho)

Tuesday, 1 January 2013

Kitab-o-Sunnat ko Mazbooti say Pakarnay ka Bayan

Mafhom e Hadees: Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam nay farmaya: Jab koi qoum (deen main) nai (new) baat (yani bidat) nikalti hai tou is kay misel aik (1) sunnat utha li jati hay, lehaza sunnat ko lazim pakarna nai baat (bidat) nikalnay say behtar hai (Mishkaat, Hadees # 177, Kitab ul Eeman, Fasal # 3, Baab: Kitab o Sunnat ko Mazbooti se Pakarnay ka Bayan, Ravi: Ghuzaif Bin Haris Razi Allah Anho)

Monday, 6 February 2012

Biddat Karne wale ka Naik Amal Qabool Nahi

Baab: "Biddat aor Jhagray se Bachnay ka Biyan"
Mafhom e Hadees: ALLAH Kisi Biddati ka Roza, Namaz, Sadqa, Hajj, Umra, Jihad, Farz, Nafal, (Gharz koi bhi Naik Amml) Qabool nahi farmata, Wo (Biddati Shaks) Islam se is Tarhan nikal jata hay, Jis tarhan Baal aattay se Nikaal liya jata hay (Ibne Maja, Hadees # 49, Kitab us Sunnat, Ravi: Huzaifa Razi Allah Unho)

ALLAH mujhe aur aapko Biddaat se bachaye. (Aameen)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

DEEN Main koi Naya Tariqa Nikalnay Wala

Mafhom e Hadees: Jis Shaks nay hamaray is DEEN main koi Naya Tariqa Nikala jo is DEEN main Nahi hai to wo Mardood hai (Muslim, H#4492, Kitab uL Aqzia, Ravi: Ayesha R.A)

Har Wo Naya Aqeeda Ya Ammal Jo Nabi Alaihe Salam, Sahaba Rz.A, Tabaieen aur Taba-Tabaieen Re.A se Sabit na ho, Aur Asbaab paye janay kay Bawajood Unhon Ne na kiya ho, Ab us Ko Deen ka Hissa Aur Sawab Samaj kay Karna Biddat hai, Chahay Wo Aqeeda ya Ammal Zahiran Kitna He Acha ho

 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Tuesday, 31 January 2012

Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi

Mafhome Hadees: Meri SUNNAT aor Mere Hidayat Yafta Khulfa a Rashideen (Abbo Bakar, Umar, Usman aor Ali R.A) ki SUNNAT ko lazim pakro aor es par qaim raho aor esko dantoun se Mazboot pakray raho, aor tum deen mai nai nai batain paida karne se bacho, es liye k har nai bat biddat hay, aor har biddat gumrahi hay (Ibne Maja, Hadees #42, Kitab uL Sunnat, Baab:Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi, Ravi:Irbaz Bin Sariya R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Monday, 19 December 2011

Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi

Mafhome Hadees: Meri SUNNAT aor Mere Hidayat Yafta Khulfa a Rashideen (Abbo Bakar, Umar, Usman aor Ali R.A) ki SUNNAT ko lazim pakro aor es par qaim raho aor esko dantoun se Mazboot pakray raho, aor tum deen mai nai nai batain paida karne se bacho, es liye k har nai bat biddat hay,aor har biddat gumrahi hay (Ibne Maja, Hadees #42, Kitab uL Sunnat, Baab:Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi, Ravi:Irbaz Bin Sariya R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days