بسم الله الرحمن الرحيم
Showing posts with label Bukhari. Show all posts
Showing posts with label Bukhari. Show all posts

Friday, 11 January 2013

Apnay Haath Say Kamanay Ka Bayan

Mafhoome Hadees: Apnay haath ki kamai say behtar khana kisi nay nahi kamaya aur Allah kay Nabi Dawood Alaihe Salaam apnay haath ki kamai say khaatay thy. (Maktaba: Shamla, Sahi Bukhari, Kitab: Al Buyoon, Baab: Apnay Haath say Kamaenay Ka Bayan, Ravi: Miqdam Razia allaho ta'ala anho, Page#235, Juz#7)

Thursday, 20 December 2012

Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Allah Kay Banday Aur Rasool Hain

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: Meri tareef had say barha kay na karna jis tarhan Nasara nay Eesa Alaihe Salam ki had say ziada tareef ki (kay unko Allah ka beta bana diya) main tou sirf Allah ka banda hun, is liye mujhe Allah ka banda aur uska Rasool kaho (Bukhari, Hadees 3445, Kitab uL Ambia, Ravi: Umar Rz.A, Baab: ALLAH ka irshad "Aur is kitab main Maryam ka zikar kar" (Surah Maryam, Ayat 16)

Muaamlaat Main Shar’ee Ahkaam Se Aazadi Qurb-e-Qayamat Ki Alamat Hai

Muaamlaat main sharai ahkaam say aazadi qurb-e-qayamat ki alamat hai: Rasoolullah Salallaho Alaihe Wasalm nay farmaya: logo par aisa zamana bhi aega jis main wo maal kay husool main parwa nahi karrengay kay wo Halaal tareeqay se hasil huwa hai ya Haraam tareeqay say. (Bukhari).

Wednesday, 19 December 2012

Islam Main Koi Waqt Aur Mahina Manhoos Nahi

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam nay farmaya: Safar (kay mahina main) koi nahosat nahi hai (Bukhari, Hadees 5707, Kitab uL Tib, Baab: Juzam ka Bayan, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Thursday, 13 December 2012

Mushtabah Cheezon say Bachna

Mushtabeh Cheezon se Bachna: Rasool ullah Sallalaho Alaihe Wasalam nay farmaya: Halaal bhi wazeh hai aur Haraam bhi wazeh hai, darmyan main kuch cheezen mushtabeh hen, jin ki taraf buhot se logon ki tawajah nahi hoti, tou jo shakhs Mushtabeh Cheezon say bacha us nay apnay Deen aur Aabro ko bacha liya aur jo moshtabeh cheezon main parr gaya tou wo goya Haraam main parr gaya. (Bukhari, Muslim)

Saturday, 24 November 2012

Noha Karna Aur Matam Karna Kesa Hai?

Mafhoom-e-Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya:, jo (apne) chehray ko peetay, gareebaan ko pharay (yani matam kare) aur zamana e jahiliyat ki si baten karay (yani noha karay) wo hum (musalmano) main say nahi hai. (Bukhari, Hadees # 1297, Kitabul Janaiz, Baab: Chehra Peetne Walay Hum Main Say Nahi Hain, Ravi: Abdullah Bin Masood Razi Allah Anho)

Tuesday, 13 November 2012

Aik Hadees Main Hazrat Ayesha Razi Allah Unha Apna Aqeeda Bayan Farmati Hain

Mafhom e Hadees: Jo tum main say yeh kahay kay Mohammad SalLalLaho Alaihe Wasallam kal ki baat ko jantay hain to us nay jhoot bola, phir Ayesha Razi Allah Unha nay Quran ki ye ayat parhi tarjuma: Aur koi nahi janta kay wo kal kia karay ga (Surah Luqman, Ayat #34) (Bukhari, Hadees # 4855, Kitab ut Tafseer, Baab: Surah Najam ki Tafseer)

SEE MORE: Allah Sab Kuch Jannay Wala Khabardar Hai

Tuesday, 18 September 2012

Gustakh e Rasool ki Saza Kiya?

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam nay faramya: Ka'ab bin Ashraf ko qatal karnay ka zimma kon leta hai? (Kion kay Ka'ab bin Ashraf yahoodi Gustakh e Rasool tha) Mohammad bin Maslama Rz.A nay arz kiya, Aay Allah kay Rasool..! Kiya Aap ijazat dain gay kay main usay qatal kar aaon? Aap nay farmaya: Haan (Bukhari, Hadees #4037, Kitab uL Mughazi, Baab: Ka'ab Bin Ashraf Kay Qatal ka Qissa)

Saturday, 11 August 2012

Shab-e-Qadar Say Pichlay Tamam Gunah Maaf Ho Jate Hain

Mafhom-e-Hadees: Jo Shab e Qadar main emaan aur Sawab ki Niyyat say ibadat karta hai us kay pichlay tamam Gunah Maaf ho jain gay (Bukhari, Hadees #2014, Kitab us Soum, Ravi: Abo Horaira R.A, Baab: Shab e Qadar ki Fazilat)

Wednesday, 8 August 2012

Jo Shakhs Ramazan Main Jhot Bolna Aur Dhoka Dena Na Choray

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Agar koi Shakhs Jhot Bolna aur Dhoka Dena na Choray to ALLAH ko uski koi Zarorat nahi kay wo apna Khana Peena chor day (Bukhari, Hadees # 1903, Kitab us Soum, Ravi: Abo Horaira Razi Allah Anho, Baab: Jo Shakhs Ramazan main Jhot Bolna aur Dhoka dena na choray)

Wednesday, 1 August 2012

Bhool Kar Khanay Peenay Say Roza Nahi Tootta

Mafhom e Hadees: Jab koi Bhool gaya aur Kuch Kha lia to usay Chahiye kay Apna Roza Pora Karay, Kion kay usko ALLAH nay khilaya aur Pilaya (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1933, Baab: Agar Roza Dar Bhol kar Kha pee lay, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Thursday, 26 July 2012

Roza Dar Kay Moun Ki Buo Allah Ko Pasandida Hai

Mafhom e Hadees: Rozadar kay Moun ki Khushbo ALLAH kay Nazdeeq Mushk ki Khushbo say bhi ziada Pasandida hai (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1894, Baab: Roza ki Fazilat, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Tuesday, 24 July 2012

Roza Aik Dhaal Hai Dozakh Say Bachnay Kay Liye

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Roza Dozakh say bachnay kay Liye aik Dhaal hai, is Liye Roza'Dar na Fohsh batain karay, Na Jahalat ki Batain karay, Aur Agar koi Shakhs Roza'Dar say larai karay ya usay Gali day to uska jawab sirf yeh hona chahiye kay Main Roza Dar hun (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1894, Baab: Roza ki Fazilat, Ravi: Abo Horaira Razi Allah Anho)

Monday, 23 July 2012

Rozay Daron Kay Liye Jannat Main Dakhlay Kay Liye Aik Khas Darwaza Hai

Mafhom e Hadees: Jannat ka aik Darwaza hai, Jise Rayyan kehtay hain, Qayamat kay Din is Darwazay say sirf Rozay Dar he JANNAT main Dakhil hon gay (Bukhari, Hadees # 1896, Kitab us Soum, Baab: Roza Daron kay liye Rayyan (Darwazay) ka bayan, Ravi: Sahal Bin Saad Razi Allah Anho)

Tuesday, 26 June 2012

Behtareen Amal Namaz Hai


Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam ne Farmaya: Beshak Tumharay Aamal main say Behtareen Amal Namaz hai (Shuab uL Eemaan, Hadees # 2803, Eemaan ka 20wan Shouba Taharat, Ravi: Abdullah Bin Ammar R.A)

Mafhome Hadees: Jamat Ki Namaz Akailay Ki Nimaz Say 27 Darjay AfzaL Hai (Bukhari, Hadees #649,
Kitab uL Aazan, Baab: Bajamat Namaz ki Fazilat, Ravi: ibne Umar R.A)

Friday, 22 June 2012

ACHAY IKHLAQ

Mafhom e Hadees: Tum main say behtar wo hay Jis kay Ikhlaq sab say achay hon (Bukhari, Hadees # 6035, Kitab uL Adab, Baab: Khush Akhlaqi aur Sakhawat ka Bayan aur Bukhal ka Na-Pasand Hona, Ravi: Abdullah Bin Ammar Rz.A)

Mafhom e Hadees: Admi Apne Achay Ikhlaq ki Waja say Un Logon ka Martaba Pa Leta hai Jo Raaton ko ibadat kartay hain aur Din ko Rozay Rakhtay hain (Mustadrak Hakim, Hadees # 198, Darja: Sahi, Kitab uL Eeman)

Friday, 8 June 2012

Rishtay ki Talash main Deen Dari ko Ahmiyat Deni Chahiye

Mafhome Hadees: Nabi Alaihe Salam ne Farmaya: Aurat se Nikah char (4) cheezon ki waja se kia jata hai, 1) Us kay Maal ki waja say, 2) Us kay Khandani Sharf ki waja say, 3) Uski Khobsorati ki waja say, 4) Aur us kay Deen ki waja say, Aur tum Deen Dar Aurat se Nikah karo (Bukhari, Hadees # 5090, Kitab un Nikah, Baab: Deen main Barabri ka Lehaz Rakhna, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Wednesday, 16 May 2012

Shaitan Bhi Hazrat Umar Se Katrata Tha

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam ne Hazrat Umar Razi Allah Unho se Farmaya: Aay ibne Khattaab..! Os Zaat ki Qasam jis kay Hath main Meri Jaan hay, Agar kabhi Shaitan Tumhain kisi Rastay par aata howa dekh leta hay to Tumhara Rasta Chor kar dosray Rastay par ho leta hay
(Bukhari, Hadees #3683, Kitab: Fazail Ashab e Nabi, Ravi: Saad Rz.A Baab: Manaqib e Umar Bin Khattab Razi Allah Unho)

Friday, 20 April 2012

Mujhe ALLAH ka Banda aur Uska Rasool kaho

Mafhome Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam ne irshad Farmaya: Meri Tareef Had se Barha kay na kerna Jis Tarha Nasara ne Eesa Alaihe Salam ki had se Ziada Tareef ki (kay Unko ALLAH ka Beta bana dia) Main to Sirf ALLAH ka Banda hon, Is liye Mujhe ALLAH ka Banda aur Uska Rasool kaho (Bukhari, H#3445, Kitab uL Ambia, Ravi:Umar R.A

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Friday, 6 April 2012

Khanay ki Sunnatain

1) Bismillah Parh kay Khana,
2) Daien Hath (Right Hand) Say Khana,
3) Khana Agar aik Qisam ka Hoto Apne Samnay say Khana. (Bukhari, Hadees # 5376, Kitab uL Ateima, Baab: Khanay k Start main Bismillah Parhna aor Daien Hath se Khana, Ravi: Umar Bin Abi Salma Rz.A)
4) Taik Laga kar na Khana (Bukhari, Hadeed # 5398, Kitab uL Ateima, Baab: Takia Laga kar Khana Kesa hay, Ravi: Abbo Juhaifa Rz.A)
5) Khanay main say Koi Aieb Nahi Nikalna Chahiye, Pasand Hoto Kha Lena Chahiye aur Agar Na Pasand hoto Chor Dena Chahiye (Muslim, Hadees #5380, Kitab uL Ashriba, Baab: Khanay main Aieb Nahi Nikalna Chahiye)
6) Khanay kay Baad Ungliyan Chatna,
7) Agar Nawala Hath Say Gir Jaye to Utha kar Saaf kar kay Kha Lena (Muslim, Hadees #5301, Kitab uL Ashriba, Baab: Khanay kay Baad Ungliyan Chatna Mustahab hay)
8) Khanay se Pehlay aur Khana Kha kay donon Hath dhonay say Ghar Main Khair o Barkat aaye Gi (Ibne Maja, Hadees #3260, Kitab uL Ateima, Baab: Khanay se Pehlay Hath Dhona, Ravi: Anas Rz.A)
9) Jis Bartan main Khaya Jaye usko Saaf Karna (Ibne Maja, Hadees #3271, Kitab uL Ateima, Baab: Piyala Saaf Karna, Ravi: Umme Asim Rz.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days