Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam nay jab aashora (10 Muharrum) kay din ka roza rakha aur iska roza rakhnay ka hukum dia to Sahaba R.A nay arz kia kay is din ki to Yahood o Nasara taazeem kartay hain to Nabi Alaihe Salam nay farmaya: Jab agla saal aaey ga to hum Insha-Allah (10 Muharrum kay sath sath Muharrum ki) nau (9) tareekh ka bhi roza rakhain gay (Muslim, H#2666, Kitab us Siyam, Baab: Aashora kay Din Roza Rakhna, Ravi: ibne Abbas R.A)
Islamic Messages from Quran and Hadith. <> Muntakhib ki hui Qurani Ayat aur Hadees. <> Allah kehta hai Quran yaad karnay kay liye aasan, parhnay kay liye aasan aur samajhnay kay liye aasan. <> Achi Baaton par khud bhi amal karen aur dosron ko bhi forward karen. [About Us: info@islamicmessages.net ]
Showing posts with label Roza. Show all posts
Showing posts with label Roza. Show all posts
Thursday, 22 November 2012
Thursday, 25 October 2012
Yom-e-Arfa kay Roza ki Fazeelat
Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam say Arfa (9 ZiL-Hajja) kay rozay ka pocha gaya to farmaya: Yeh (roza) pichlay aik (1) saal aur aik saal aagay aanay walay gunahon ka kaffara hai (Muslim, Hadees #2747, Kitab us Siyam, Baab: Har Mahinay main 3 Rozon ki, Yom e Arfa, Aashora, Peer aur Jumarat kay Rozon ki Fazilat, Ravi: Abo Qatada Rz.A)
Wednesday, 24 October 2012
Aik (1) say 9 Zil Hajj tak Nafli Rozay Rakhna
Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam mah e zil-hajja main (1 se 9 zil-hajja tak) 9 (nafli) rozay rakhtay thay (Nasai, Hadees #2421, Kitab us Siyam, Baab: Har Mah main 3 Rozay kis Tarhan rakhay jain)
Monday, 22 October 2012
Hajjion ko Maidan e Arafat main 9 ZiL-Hajja kay Din Roza nahi Rakhna Chahiye
Mafhom e Hadees: Ibne Umar Rz.A frmatay hain kay mene Nabi Alaihe Salam, Abo Bakar, Umar aur Usman Razi Allah Anhum kay sath Hajj kia, in main say kisi nay bhi is din ka roza nahi rakha (Tirmizi, Hadees #730, Kitab us Soum, Baab: Maidan e Arafat mai Arfa ka Roza Rakhna Makrooh hay)
Wednesday, 17 October 2012
ALLAH kay Nazdeeq Mah-e-Zil-Hajj ki IBADAT Pasandeda Hai
Mafhoom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: ALLAH kay nazdeeq mah e Zil-Hajja kay pehlay das (10) dinon ki ibadat tamam dinon ki ibadat say ziada pasandida hai, in dinon main aik (1) din ka roza poray saal kay rozon kay barabar hai aur aik raat ka qiyam shab-e-qadar main qiyam kay barabar hai (Tirmizi, Hadees # 737, Kitab us Soum, Baab: ZiL-Hajja kay Pehlay 10 Dinon main Naik Aamal karnay ki Fazilat, Ravi: Abo Horaira Rz.A)
Wednesday, 5 September 2012
Ramazan kay baad Shawwal kay Chay (6) Rozon ki Fazilat
Mafhome Hadees: Jis nay ramazan kay rozay rakhay aur phir is kay baad shawwal kay 6 rozay rakhay to goya us nay poray saal kay rozay rakhay (Muslim, Hadees #2758, Kitab us Siyam, Baab: Ramazan kay baad shawwal kay 6 Rozon ki Fazilat, Ravi: Abo Ayub Rz.A)
Mah e Shawwal kay Chay (6) Rozay
Mafhom e Hadees: Jo Eid ul Fitar kay baad (shawwal main) 6 (nafli) rozay rakhay ga, usko poray saal kay rozon ka sawab milay ga, jo aik neki laey ga usko das (10) guna ajar milay ga (Ibne Maja, Hadees # 1715, Kitab us Siyam, Darja: Sahi, Baab: Mah e Shawwal kay 6 Rozay, Ravi: Sobaan Rz.A)
Shawwal kay poray mahinay main Jab bhi 6 rozay rakhna chahain rakh saktay hain, Eid kay dosray (2) din say yeh rozay rakhna ya lagatar rakhna zarori nahi.
Shawwal kay poray mahinay main Jab bhi 6 rozay rakhna chahain rakh saktay hain, Eid kay dosray (2) din say yeh rozay rakhna ya lagatar rakhna zarori nahi.
Thursday, 9 August 2012
Baghair Roza Rakhay Itikaf Nahi Hota
Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Roza Rakhay Baghair itikaf nahi hota (Mustadrak Hakim, Hadees # 1639, Kitab us Soum, Ravi: Ayesha Rz.A)
Masla: itikaf kay liye Roza Rakhna Shart hay Lehaza Jis Din Roza na rakha Us din se aitekaf toot gaya, Bimari ki waja se itikaf torna jaiz hay, Lekin aik din kay itikaf ki Qaza Wajib hogi (Radd ul Muhtar, Jild # 2, Page # 442, 447, Publisher: H.M. Saeed)
Masla: itikaf kay liye Roza Rakhna Shart hay Lehaza Jis Din Roza na rakha Us din se aitekaf toot gaya, Bimari ki waja se itikaf torna jaiz hay, Lekin aik din kay itikaf ki Qaza Wajib hogi (Radd ul Muhtar, Jild # 2, Page # 442, 447, Publisher: H.M. Saeed)
Wednesday, 8 August 2012
Jo Shakhs Ramazan Main Jhot Bolna Aur Dhoka Dena Na Choray
Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Agar koi Shakhs Jhot Bolna aur Dhoka Dena na Choray to ALLAH ko uski koi Zarorat nahi kay wo apna Khana Peena chor day (Bukhari, Hadees # 1903, Kitab us Soum, Ravi: Abo Horaira Razi Allah Anho, Baab: Jo Shakhs Ramazan main Jhot Bolna aur Dhoka dena na choray)
Sunday, 5 August 2012
Sehri Khana Barkat Ka Baais Hai
Mafhom e Hadees: Nabi Kareem (S.A.W) nay farmaya: "Sehri Khao, Sehri Mein Barkat Hai. (Muslim, Jild#3, H#2549,Ravi: Anas Rz.A)
Friday, 3 August 2012
Taraweeh Ki Namaz Parhna Sunnat Hai
Mafhom e Hadees: ALLAH nay Ramazan kay Rozay Farz kiye hain aur is kay Qiyam (Taraweeh) ko Maine Tumharay Liye Sunnat Qarar diya hai (ibne Maja, Hadees #1328, Abwab o iqamat es Salat, Baab: Mah e Ramazan ka Qiyam, Ravi: Abdul Rehman Rz.A)
Wednesday, 1 August 2012
Bhool Kar Khanay Peenay Say Roza Nahi Tootta
Mafhom e Hadees: Jab koi Bhool gaya aur Kuch Kha lia to usay Chahiye kay Apna Roza Pora Karay, Kion kay usko ALLAH nay khilaya aur Pilaya (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1933, Baab: Agar Roza Dar Bhol kar Kha pee lay, Ravi: Abo Horaira Rz.A)
Monday, 30 July 2012
Roza Jism Ki Zakat Hai
Mafhom e Hadees: Har cheez ki Zakat hoti hai Aur Jism ki Zakat Roza
hai (Ibne Maja, Hadees # 1745, Kitab us Siyam, Baab: Roza Jism ki Zakat
hai, Ravi: Abo Horaira Rz.A)
Thursday, 26 July 2012
Roza Dar Kay Moun Ki Buo Allah Ko Pasandida Hai
Mafhom e Hadees: Rozadar kay Moun ki Khushbo ALLAH kay Nazdeeq Mushk ki Khushbo say bhi ziada Pasandida hai (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1894, Baab: Roza ki Fazilat, Ravi: Abo Horaira Rz.A)
Tuesday, 24 July 2012
Roza Aik Dhaal Hai Dozakh Say Bachnay Kay Liye
Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Roza Dozakh say bachnay kay Liye aik Dhaal hai, is Liye Roza'Dar na Fohsh batain karay, Na Jahalat ki Batain karay, Aur Agar koi Shakhs Roza'Dar say larai karay ya usay Gali day to uska jawab sirf yeh hona chahiye kay Main Roza Dar hun (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1894, Baab: Roza ki Fazilat, Ravi: Abo Horaira Razi Allah Anho)
Monday, 23 July 2012
Rozay Daron Kay Liye Jannat Main Dakhlay Kay Liye Aik Khas Darwaza Hai
Mafhom e Hadees: Jannat ka aik Darwaza hai, Jise Rayyan kehtay hain, Qayamat kay Din is Darwazay say sirf Rozay Dar he JANNAT main Dakhil hon gay (Bukhari, Hadees # 1896, Kitab us Soum, Baab: Roza Daron kay liye Rayyan (Darwazay) ka bayan, Ravi: Sahal Bin Saad Razi Allah Anho)
Friday, 20 July 2012
Allah Apnay Bandon Kay Haq Main Aasani Chahta Hai
تو جو کوئی تم
میں سے اس مہینے میں موجود ہو چاہیے کہ پورے مہینے کے روزے رکھے اور جو
بیمار ہو یا سفر میں ہو تو دوسرے دنوں میں روزے رکھ کر ان کا شمار پورا کر
لے اللہ تمہارے حق میں آسانی چاہتا ہے اور سختی نہیں چاہتا۔ اور یہ آسانی
کا حکم اس لئے دیا گیا ہے کہ تم روزوں کا شمار پورا کر لو اور اس احسان کے
بدلے کہ اللہ نے تم کو ہدایت بخشی ہے تم اس کو بزرگی سے یاد کرو اور اس کا
شکر کرو۔
So those of you who witness the
month must fast in it. But the one who is sick, or is on a journey
(should fast) as much from other days (as he missed). Allah intends (to
provide) ease for you and does not intend (to create) hardship for you.
All this is so that you may complete the number (of fasts as prescribed)
and proclaim the Takbīr of Allah for having guided you, and (so) that
you may be grateful.
[Mafhom-e-Quran: to jo koi tum main say is mahinay main mojood ho chahiye kay poray mahinay kay rozay rakhay aur jo bemar ho ya safar main ho to dosray dinon main rozay rakh kar un ka shumaar pora kar lay Allah tumharay haq main aasani chahta hai aur sakhti nahi chahta. aur ye aasani ka hukum is liye diya gaya hai kay tum rozon ka shumaar pora karlo aur is ahsan kay badlay kay Allah nay tum ko hidayat bakhshi hai tum us ko buzurgi say yaad karo aur us ka shukar karo.]
(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 185)
Tuesday, 17 July 2012
Ramazan Nuzul-e-Quran Ka Mahina Hai
روزوں کا مہینہ رمضان کا مہینہ ہے جس میں قرآن اوّل اوّل نازل ہوا جو لوگوں کا راہنما ہے اور جس میں ہدایت کی کھلی نشانیاں ہیں اور جو حق و باطل کو الگ الگ کرنے والا ہے تو جو کوئی تم میں سے اس مہینے میں موجود ہو چاہیے کہ پورے مہینے کے روزے رکھے
The month of Ramadan is the one in which the Qur’ān was revealed as guidance for mankind, and as clear signs that show the right way and distinguish between right and wrong. So those of you who witness the month must fast in it.
[Mafhom-e-Quran: Rozon ka mahina ramazan ka mahina hai jis main quran awal awal nazil hua jo logon ka rahnuma hai aur jis main hidayat ki khuli nishanian hain aur jo haq o batil ko alag alag karnay wala hai to jo koi tum main say is mahinay main mojood ho chahiye kay poray mahinay kay rozay rakhay]
(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 185)
Monday, 16 July 2012
Rozay Ki Farziat Aur Hikmat
مومنو! تم پر روزے فرض کئے گئے ہیں جس طرح تم سے پہلے لوگوں پر فرض کئے گئے تھے تا کہ تم پرہیز گار بنو۔
[Mafhom-e-Quran: Momino! Tum par rozay farz kiye gaey hain jis tarhan tum say pehlay logon par farz kiye gaey thy takay tum parhezgar bano.]
(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 183)
Tuesday, 3 July 2012
Aap Shaban Kay Aksar Dinon Main Rozay Rakhtay
Mafhom e Hadees: Hazrat Ayesha Razi Allah Unha Farmati hain kay main nay Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam ko Shabaan kay Mahinay say ziyada kisi Mahinay main (Nafli) Rozay rakhtay hue nahi dekha, Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam iss (Shaban) kay aksar Dinon main Rozay rakhtay thay (Tirmazi, Kitab us Soum, Hadees # 716, Darja: Hasan, Baab: Shaban aur Ramazan kay rozay mila kar rakhna)
Subscribe to:
Posts (Atom)
Most Viewed in 7 Days
-
اور اللہ کی رحمت سے ناامید نہ ہونا کہ اللہ کی رحمت سے تو کافر لوگ ہی ناامید ہوا کرتے ہیں۔ and do not lose hope in the mercy of Allah. In...
-
Mafhom e Hadees: Jo shaks Quran ka aik harf parhay, us kay liye aik (1) harf kay badlay aik naiki hai, Aur aik naiki ka Sawab 10 nekion k...
-
جو لوگ اس بات کو پسند کرتے ہیں کہ مومنوں میں بےحیائی یعنی تہمت بدکاری کی خبر پھیلے انکو دنیا اور آخرت میں دکھ دینے والا عذاب ہو گا اور الل...
Labels
Aal-e-Imran
(7)
Abbo Dawood
(24)
Adh-Dhariyat
(1)
Ahmed
(6)
Al-Ahqaf
(2)
Al-Ahzab
(5)
Al-Ala
(1)
Al-Ambiya
(1)
Al-Anaam
(2)
Al-Anfal
(3)
Al-Ankaboot
(3)
Al-Araf
(3)
Al-Baqara
(21)
Al-Furqan
(2)
Al-Hajj
(3)
Al-Hijr
(2)
Al-Hujraat
(10)
Al-Humaza
(2)
Al-Inshirah
(1)
Al-Isra / Bani Israil
(7)
Al-Juma
(3)
Al-Kahf
(2)
Al-Maarij
(2)
Al-Meada
(1)
Al-Muddathir
(1)
Al-Mumenoon
(1)
Al-Qadr
(1)
Al-Qamar
(1)
Al-Qasas
(1)
Al-Qiyama
(1)
Al-Quran
(146)
An-Nahl
(1)
An-Naml
(3)
An-Nisa
(13)
An-Noor
(6)
Ar-Rad
(3)
Ar-Room
(3)
Ash-Shuara
(1)
Ash-Shura
(2)
At-Tahrim
(1)
At-Taubah
(4)
Attargheeb Wattarheeb
(1)
Bidat
(7)
Bukhari
(36)
Collection
(1)
Dozakh
(7)
Dua
(2)
Dukhan
(1)
Fatir
(2)
Fussilat / Hā Mīm As-Sajda
(5)
Ghaib
(9)
Gheebat
(11)
Hadees
(205)
Hajj
(3)
Hud
(2)
Ibn Khuzaymah
(1)
Ibne Maja
(29)
Iman
(5)
Islam
(6)
Jannat
(5)
Jihad
(22)
Juma
(8)
Kahaf
(1)
Kalay Jadu Ka Elaaj
(1)
Luqman
(2)
Maktaba Shamila
(9)
Maryam
(1)
Mishkat
(4)
Muhammad
(1)
Muhammad (PBUH)
(7)
Muotta Imam Malik
(2)
Muotta Imam Mohammad
(1)
Muslim
(34)
Musnad e Ahmad
(2)
Musnad e Shamieen
(3)
Mustadrak Hakim
(7)
Namaz
(30)
Nissai
(7)
Qayamat
(29)
Qurbani
(4)
Ramazan
(18)
Rizq
(11)
Roza
(22)
Saba
(1)
Sahaba
(13)
Sahi Ibne-Habban
(1)
Shaban
(5)
Shuab-ul-Eman
(4)
Sood
(8)
Sunan Darmi
(2)
Sunan Nasai
(1)
Taha
(1)
Tauba
(4)
Tibrani
(1)
Tirmazi
(50)
Waldain
(8)
Ya Seen
(1)
Yunus
(1)
Yusuf
(1)