بسم الله الرحمن الرحيم
Showing posts with label Nissai. Show all posts
Showing posts with label Nissai. Show all posts

Sunday, 23 June 2013

Shaban Kay Mahinay Main Aamal Paish Kiye Jatay Hain

Mafhom e Hadees: Yeh shaban ka mahina hai, Log iski fazilat say ghafil hain, is mahinay main Allah kay Darbar main logon kay aamal paish kiye jatay hain.
(Nasai, Hadees 2357, Darja: Hasan, Kitab us Siyam, Baab: Nabi Alaihe Salam ka Roza, Ravi: Osama Bin Zaid Razi Allah Unho)


Read More >> Bandon Kay Aamal Har Roz Allah Ki Bargah Main Paish Kiye Jatay Hain

Read More >> Bandon Kay Aamal Peer Aur Jumarat Kay Din Bhi Paish Hotay Hain


(Har roz aur shaban main ALLAH kay Darbar main logon kay aamal paish hotay hain lekin Nama e Aamal kisi raat tabdeel nahi hota.)

Wednesday, 10 April 2013

Durood Shareef ki Fazilat

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay irshaad Farmaya: Jo shaks mujh par aik (1) martaba durood bhejay ga, Allah us par das (10) martaba rehmat bhejay ga, aur us kay das (10) gunah muaf hon gay, aur das (10) darjaat us kay buland hon gay (Nasai, Kitab uL Iftetah, Hadees # 1300, Baab: Durood Shareef ki Fazilat, Ravi: Anas Razi Allah Unho)

Monday, 25 March 2013

Aadmi Ka Maal Teen Cheezen Hain

Mafhom-e- Hadees: Insan ka maal is ki jama karda jaedad main say tou sirf teen (3) cheezen hain: Jo us nay khaya aur khatam kar diya, jo pehan lia aur bosida kar diya, jo rah-e-Khuda main kharch kia aur zakhera-e-aakhirat bana liya. (baqi sab tou warison ko milay ga) (SUNAN-E-NISAE, Kitab: wassiat, Baab: wassiyat karnay main takheer par karahat, Ravi Hazrat Muttarif kay walid Raziallaho anho. p#311. J# 81)

Wednesday, 23 January 2013

Deen Main Bidat Gumrahi Hai

Mafhom e Hadees: Beshak sab say sachi kitab Allah ki kitab hai, sab say behtareen tariqa Mohammad Sallallahu Alaihe Wasallam ka tariqa hai, sab kaamon say bura wo hai jis ko (Deen main) naya nikala gaya ho, aur har nai cheez bid'at hai, har bidat gumrahi hai aur har gumrahi jahannum main lay jaye gi (Nasai, Hadees 1581, Darja: Sahi, Kitab us Salaat uL Eedain, Baab: Khutba Kese Parha Jaey, Ravi: Jabir Bin Abdullah Rz.A)

Wednesday, 24 October 2012

Aik (1) say 9 Zil Hajj tak Nafli Rozay Rakhna

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam mah e zil-hajja main (1 se 9 zil-hajja tak) 9 (nafli) rozay rakhtay thay (Nasai, Hadees #2421, Kitab us Siyam, Baab: Har Mah main 3 Rozay kis Tarhan rakhay jain)

Tuesday, 11 September 2012

Zakat Ada Na Karnay Per Azab

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: jo shakhs maldar ho aur apne maal ki Zakat ada na karay to (qayamat kay din) uska maal ganjay sanp ki shakal main aaey ga aur uski gardan say lipat kar galay ka touq ban jaey ga, wo shakhs is say bhagay ga aur yeh (sanp) us kay sath sath ho ga (Nasai, Kitab uz Zakat, Hadees # 2445, Baab: Zakat ada na karnay per azab, Ravi: Abdullah Bin Masood Razi Allah Anho)

Monday, 19 December 2011

Juma kay Din ki Sunnatain

Juma kay Din ki Sunnatain:
1) Ghussal karna, 2) Baalon main Tail lagana aur 3) Khushbo ka istemaal karna. (Bukhari, Hadees #884, Kitab uL Juma, Baab: Juma ki Namaz kay liye Balon main Tail ka istemal, Ravi: Abdullah Bin Abbas Razi Allah Unho)
4) Achay aur Saaf Kapray pehinna. (Abbo Dawood, Hadees # 1066, Kitab us Salaat, Baab: Libas e Juma ka Biyan)
5) Juma kay Din Masjid main jaldi janay ki fikar karna, 6) Juma kay Khutba ko Ghor say Sunna, 7) imam kay Qareeb Bethnay ki Koshih karna (Tirmazi, Abwab uL Juma, Baab: Juma kay Din Ghusal Karnay ki Fazilat, H#479, Darja:Hassan, Ravi:Aos R.A)
8) Agar Saffain Pur hon to Logon ki Gardanain Phalang kay Aagay na barhna (Tirmazi, H#496, Abwab us Salat, Baab:Juma kay Din Logon ko Phalang kar Aagay jana Makroh hay)
9) Juma kay din Tum Log Bahot Ziada Darood Bejho, Kyun kay Tumhara Darood Mujh par Paish kia jata hay (Nissai, H#1377, Kitab ul Juma, Baab:Juma kay Din Rasool SalLalLaho Alaihe Wasallam par Kasrat say Darood Bejhna, Ravi:Aos Rz.A)
10) Masjid Paidal chal kay Jana (Tirmazi, H#585, Abwab us Safar, Baab: Masjid ki Taraf Chalnay ki Fazilat aur Qadmon ka Sawab, Ravi: Abbo Horaira Rz.A)

ALLAH mujhe aur Aapko Sunnaton par Ammal karnay wala banaye. Aameen

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days