بسم الله الرحمن الرحيم
Showing posts with label Maktaba Shamila. Show all posts
Showing posts with label Maktaba Shamila. Show all posts

Friday, 5 April 2013

Halaal Maal Kamanay Ki Waja Say Thakawat Bais-e- Maghfirat Hai

Mafhom-e- Hadees: Jo shakhs sham tak hath ki kamai kartay hue thak kar choor ho gaya, wo (is thakawat ki waja sy) maghfirat ka sazawar ho ga. (Al-Muajam-ul-Aosat LiTibrani, Baab:Almeem, Ravi: Hazrat Abdullah ibn-e-Abbas raziallahoanhoma, P#309, J# 16, as maktaba shamila)

Monday, 25 March 2013

Aadmi Ka Maal Teen Cheezen Hain

Mafhom-e- Hadees: Insan ka maal is ki jama karda jaedad main say tou sirf teen (3) cheezen hain: Jo us nay khaya aur khatam kar diya, jo pehan lia aur bosida kar diya, jo rah-e-Khuda main kharch kia aur zakhera-e-aakhirat bana liya. (baqi sab tou warison ko milay ga) (SUNAN-E-NISAE, Kitab: wassiat, Baab: wassiyat karnay main takheer par karahat, Ravi Hazrat Muttarif kay walid Raziallaho anho. p#311. J# 81)

Wednesday, 27 February 2013

Halaal Kamai Ke Saath 2 Cheezon Ki Pabandi Karne Se Jannat Ka Husool

Mafhom e Hadees: Jo shakhs halaal khaey, sunnaton par amal karay aur logon ko aziyat aur takleef na pohnchae tou wo jannat main dakhil hoga. (Tirmizi, Baab:Hoz Kay Bartno Ki Sifaat Ka bayan, Ravi:Abo Saeed Khudri (R.A), P#60. J#9, Az Maktaba Shamila)

Monday, 18 February 2013

Halaal Kamai Mustajaabuddawaat Ban Ne Ka Zariya Hai

Mahfhom e Hadees: Hazrat Saad (Rz.A) nay Aap Sallalaho Alaihe Wasallam ki khidmat main arz kia:Ya Rasulallah meray liye dua farmaye kay main mustajaabuddawaat ban jaon kay Allah Ta’ala meri dua ko rad na karain. Aap Sallalaho Alaihe Wasallam nay farmaya halaal khaya karo tumhari dua qubool honay lag jaey gi (Tibrani, Baab:Meem, Muhammad Eisa ki Marviyat, P#261, J#14, Az Maktaba Shamila)

Thursday, 14 February 2013

Karobar Main Qasam Khanay Ki Muma’aniat

Mafhom e Hadees: Tijarat karne waly (aksar o baishtar) gunah gaar tajir hotay hain. Is par aik shakhs nay kaha aey Allah kay Rasool! Kiya Allah pak nay kharid-o-farokht ko halaal nahi kia? Tou aap nay farmaya: Han kia tou hai lekin wo qasam khatay hain aur gunah gaar ho jatay hain. (Assunanul Kubra, Kitab: Albuyoon, Baab: Tijarat Karne Ka Bayan, P#266, J#5 Az Maktaba Sahmila)

Monday, 11 February 2013

Allah Ta’ala Ki Nazar Main Dunya Ki Qeemat

Mafhom e Hadees: Agar dunya Allah ki nazar main machar kay par kay barabar bhi wuqat rakti to is main kafir ko aik ghoont paani bhi na peelata. (Ibne Maja. Kitab:Parhaizgari Ka Bayan, Baab:Dunya Ki Misal, P#134, J#12, Az Maktaba Shamila)

Monday, 4 February 2013

Maal Main Fitna Hai

Mafhom e Hadees: Har qoum kay liye aik fitna hai aur mairi ummat ka fitna maal hai. (Kitab: Parhaizgari Ka Bayan, Baab:Es Ummat Ka Fitna Maal Main Hay.P#327, J#8, Az Maktaba Shamila)

Thursday, 31 January 2013

Dolat Aur Martabay Ki Hirs Ka Nuqsan

Mafhome Hadees: Dou (2) bhokay bhairriye bakrion ko itna nuqsan nahi pohanchatay jitna dolat aur martabay ki hirs deen ko nuqsan pohanchati hai. (Tirmizi, Kitab:Parhaizgari Ka Bayan, Baab: Maal Ko Is Kay Haq Kay Saath Istemal Karna, P# 381, J#8 Az Maktaba Shamila)

Sunday, 20 January 2013

Tijarat Main Ghalu Mana Hai

Mafhom e Hadees: Jaidad (tijarat khayti wagera) ko itna lazim na jano kay wo dunya ki taraf raghbat ka sabab ban jae. (Tirmazi, Kitab: Parhezgari ka bayan, Baab: Dunya main takaleef aur dunya ki muhabbat, Page: 313, Juz:8, Maktaba: Shamla)

Most Viewed in 7 Days