بسم الله الرحمن الرحيم

Friday 30 December 2011

Sonay k liye Bister par ayain to kia Dua Mangain

Mafhome Hadees: Pak Nabi Mohammad SalLalLahu Alaihe Wasallam Jab sonay k liye Bister par aatay to Apna Right hand rukhsar (face) k neechay rakhtay (Ibne Maja, Hadees # 3878, Abwab ud Dua, Baab:Sonay k liye Bister par ayain to kia Dua Mangain, Ravi:Abdullah Bin Masoud Razi Allah Unho)

Hamain bhe Ayat uL Kursi aor Sonay ki Dua Parh k sona chahiye aor Apna Right hand rukhsar k Nechay rakhna chahiye..!

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Monday 19 December 2011

Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi

Mafhome Hadees: Meri SUNNAT aor Mere Hidayat Yafta Khulfa a Rashideen (Abbo Bakar, Umar, Usman aor Ali R.A) ki SUNNAT ko lazim pakro aor es par qaim raho aor esko dantoun se Mazboot pakray raho, aor tum deen mai nai nai batain paida karne se bacho, es liye k har nai bat biddat hay,aor har biddat gumrahi hay (Ibne Maja, Hadees #42, Kitab uL Sunnat, Baab:Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi, Ravi:Irbaz Bin Sariya R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Juma kay Din ki Sunnatain

Juma kay Din ki Sunnatain:
1) Ghussal karna, 2) Baalon main Tail lagana aur 3) Khushbo ka istemaal karna. (Bukhari, Hadees #884, Kitab uL Juma, Baab: Juma ki Namaz kay liye Balon main Tail ka istemal, Ravi: Abdullah Bin Abbas Razi Allah Unho)
4) Achay aur Saaf Kapray pehinna. (Abbo Dawood, Hadees # 1066, Kitab us Salaat, Baab: Libas e Juma ka Biyan)
5) Juma kay Din Masjid main jaldi janay ki fikar karna, 6) Juma kay Khutba ko Ghor say Sunna, 7) imam kay Qareeb Bethnay ki Koshih karna (Tirmazi, Abwab uL Juma, Baab: Juma kay Din Ghusal Karnay ki Fazilat, H#479, Darja:Hassan, Ravi:Aos R.A)
8) Agar Saffain Pur hon to Logon ki Gardanain Phalang kay Aagay na barhna (Tirmazi, H#496, Abwab us Salat, Baab:Juma kay Din Logon ko Phalang kar Aagay jana Makroh hay)
9) Juma kay din Tum Log Bahot Ziada Darood Bejho, Kyun kay Tumhara Darood Mujh par Paish kia jata hay (Nissai, H#1377, Kitab ul Juma, Baab:Juma kay Din Rasool SalLalLaho Alaihe Wasallam par Kasrat say Darood Bejhna, Ravi:Aos Rz.A)
10) Masjid Paidal chal kay Jana (Tirmazi, H#585, Abwab us Safar, Baab: Masjid ki Taraf Chalnay ki Fazilat aur Qadmon ka Sawab, Ravi: Abbo Horaira Rz.A)

ALLAH mujhe aur Aapko Sunnaton par Ammal karnay wala banaye. Aameen

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Saturday 17 December 2011

Baap Dada ki Qasam khana Manah hay

Baab: "Baap Dada ki Qasam khana Manah hay"
Mafhome Hadees: Jis ne ALLAH kay ilawa kisi aur ki Qasam khai to us ne Shirk kia (Abbo Dawood, Hadees #3224, Kitab uL Imaan Wan Nuzoor, Ravi: Abdullah Bin Umar Rz.A)

Agar Kabhi Majbori main Qasam Khani b paray to Sirf aor Sirf ALLAH ki Qasam khaien, ALLAH mujhe aur Aapko Shirk karnay se Bachaye aur Quran o Sunnat pe Ammal karnay ki toufeeq day. (Aameen)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Salam kese karna chahiye

Sirf Salam ka lafz na kaha karain bal k Jo Alfaaz SUNNAT se sabit hain wo kaha karain,

Mafhome Hadees: Assalam o Alaikum kehnay se 10 Naikiyan, Assalam o Alaikum  WaRahmatULLAH kehnay se 20 naikiyan, Assalam o Alaikum WaRahmatULLAH e Wa Barakaatu-Hu kehnay se 30 Naikiyan milti hain (Abbo Dawood, Hadees # 5100, Kitab uL Addab, Abwab us Salam, Baab: Salam kese karna chahiye, Ravi: Imran Rz.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Friday 16 December 2011

Es baray mai Jo Sahaba ko Bura kahay

Mafhome Hadees: Jis ne SAHABA se Muhabbat ki, os ne MERI Muhabbat ki Waja se in se Muhabat ki, jis ne in se Bughz Rakha, Os ne Mujh se Bughz Rakha, Jis ne inko Takleef Ponchai, Os ne Muje Takleef ponchai, Jis ne Muje Takleef di, Os ne ALLAH ko Takleef di, Jis ne ALLAH ko Takleef di, ALLAH jald osay Apne (Aazab mai) Giraftar kr day ga (Tirmazi, Hadees #4005, Abwab uL Munaqib, Baab: Es baray mai Jo Sahaba ko Bura kahay)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

ALLAH k siwa aor Kisi ki Qasam Khanay ki Mumaniyat

Baab: ALLAH kay siwa aur Kisi ki Qasam Khanay ki Mumaniyat
Hadees: ALLAH Tumhain Maan Baap ki Qasam khanay se Manah Farmata hay, Phir jo koi Kasam khana chahay to ALLAH ki khaye warna Chup rahay. (Muslim, Hadees # 4257, Kitab uL Imaan, Ravi: Abdullah Bin Umar Rz.A)

ALLAH hamain In Ahadees ko Yaad karnay k Sath Sath in pe Ammal karnay ki bhi Toufeeq Atta Farmaye. (Aameen)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Chand Grehin ki Namaz Parhna

Baab:Chand Grehin ki Namaz Parhna
Mafhome Hadees: Soraj aor Chand ALLAH ki Nishaniyo mai se 2 nishani hain, in mai Grehin kisi ki mout par nahi Lagta, Es liye Jab Grehin lagay to Os waqt tk Namaz aor Dua mai Mashgool Raho jab tak Ye Khattam na ho jaye
(Bukhari, Hadees #1063, Kitab ul Kasoof, Ravi:Abbo Bakra R.A)

Chand Grehin k Waqat Tanha, Aam Namaz ki Trha Nawafil Parhnay chahiye, aor Taoba o Isteghfar krni Chahiye

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Thursday 15 December 2011

Namaz Qayamat k Din Noor hogi

Mafhome Hadees: Jo Shaks Namaz pabandi se Adda kare Ga to Ye us kay liye Qayamat kay Din Noor hogi, (is kay imaan aur ALLAH se iski Wafadari ki) Daleel hogi, Aur (Jahanum se) Nijat ka Sabab ban jaye Gi, Aur Jo Shaks Namaz ki Pabandi nhi kare Ga to Namaz us kay liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banay gi aur Wo Qayamat kay din Qaroon, Hamaan Aur Obai Bin Khalaf kay sath hoga (Ahmed, H#6576, Musnad Abdullah Bin Ammar Rz.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday 14 December 2011

Qayamat Ki Ruswai Say Bachain

Quran: Us din ki ruswai aur Museebat se bacho jab kay tum ALLAH ki taraf wapis ho gay, wahan har shakhs ko us ki kammai hoi naiki ya badi ka pora pora badla mil jaye ga, aur kisi par zulam har giz na hoga. (Surah Baqarah, Ayat # 281, Para # 3)

Aaj Hum Log Gunah karnay se pehlay yeh zaror sochain k Qayamat walay din Jab Mere Nama-e-Aamaal mai ye Gunah sab kay samnay parh kay sunaya jaye ga to kitni Sharm ki ye baat hogi???

Most Viewed in 7 Days