بسم الله الرحمن الرحيم
Showing posts with label Hadees. Show all posts
Showing posts with label Hadees. Show all posts

Thursday, 2 October 2014

ARFA - REHMAT O MAGHFIRAT KA THATHAY MARTA SAMANDAR

Mafhom e Hadees: Hazrat Aaisha (Razi Allah Anha) say riwayat hai kay Rasool SalLalLaho Alaihe Wasallam nay irshad farmaya: "Allah subhana wa talla arfa kay din jis qadar logon ko jahanum say azad farmatay hain utnay kisi aur din azad nahi farmatay. Bilashubah Allah subhana wa tala is din apni rehmat o maghfirat kay sath bandon kay intihai qareeb ho jatay hain aur phir farishton kay samnay (hujaj karam) par fakhar kartay hue farmatay hain: mairay yeh banday kiya chahtay hain?" (Muslim, Hadees # 3354, Baab: Hajj, Umrah aur Yom e Arfa ki Fazilat)

WWW.ISLAMICMESSAGES.NET

Friday, 27 December 2013

JANNAT MAIN MAHAL KI ZAMANAT


Mafhom e Hadees: Rasul Allah SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: 
"Jo shaks rozana pabandi kay sath 12 rakaat Sunnat mokada parha karay, us kay liye Jannat main aik ghar banaya jaey ga. (Wo 12 rakaat yeh hain:) 4 Rakatain Zuhar se pehlay aur 2 Zuhar kay baad, 2 rakat Maghrib kay baad, 2 rakat Eesha kay baad, 2 rakat Fajar se pehlay"
(Tirmazi, Hadith # 414)

Thursday, 26 December 2013

NAMAZ-E-JUMA HAR GIZ NA CHORAIN, WARNA....


Mafhom e Hadees: Rasul Allah SalLalLaho Alaihe Wasallam ka irshad-e-girami hai:
"Log Juma ki Namazain chornay say baaz aa jain, warna ALLAH Subhanahu Wa Ta'ala un kay dillon par mohhar laga dengay, phir wo log ghafil logon main say ho jain gay"
(Sahih Muslim, Hadees # 2039)

Monday, 24 June 2013

Bandon Kay Aamal Har Roz Allah Ki Bargah Main Paish Kiye Jatay Hain

Mafhom e Hadees: Raat kay aamal din say pehlay aur din kay aamal raat say pehlay Allah ki Bargah main paish kar diye jatay hain. (Muslim, Hadees 447, Kitab uL Eeman, Baab: Nabi Alaihe Salam kay Iss Farman kay Baray main kay ALLAH sota nahi....., Ravi: Hazrat Abo Mosa Al Ash'ari Razi ALLAH Anho)

Bandon Kay Aamal Peer Aur Jumarat Kay Din Bhi Paish Hotay Hain

Mafhome Hadees: Peer (Monday) aur Jumarat (Thursday) ko bandon kay aamal Allah kay huzoor main paish kiye jatay hain. (Tirmizi, Hadees 747, Darja: Sahi, Kitab us Soum, Baab: Peer aur Jumairat ka Roza Rakhna, Ravi: Abo Horaira Razi ALLAH Anho)

(Allah ki Bargah main aamal sirf 15 shaban ko ya aur kisi khas raat main paish nahi hotay bal kay har peer aur jumarat kay din ko bhi pesh hotay hain.)

Sunday, 23 June 2013

Shaban Kay Mahinay Main Aamal Paish Kiye Jatay Hain

Mafhom e Hadees: Yeh shaban ka mahina hai, Log iski fazilat say ghafil hain, is mahinay main Allah kay Darbar main logon kay aamal paish kiye jatay hain.
(Nasai, Hadees 2357, Darja: Hasan, Kitab us Siyam, Baab: Nabi Alaihe Salam ka Roza, Ravi: Osama Bin Zaid Razi Allah Unho)


Read More >> Bandon Kay Aamal Har Roz Allah Ki Bargah Main Paish Kiye Jatay Hain

Read More >> Bandon Kay Aamal Peer Aur Jumarat Kay Din Bhi Paish Hotay Hain


(Har roz aur shaban main ALLAH kay Darbar main logon kay aamal paish hotay hain lekin Nama e Aamal kisi raat tabdeel nahi hota.)

Thursday, 30 May 2013

Rozi Kamanay Main Miana Ravi Ikhtiyar Karna Chahiye

Mafhom e Hadees: Aay logo...! Allah say daro aur rozi kamanay main darmiana ravi ikhtiyar karo kyun kay koi insan apna rizq pora kiye baghair nahi maray ga, agarchay us main dair ho jaye, is liye Allah say daro aur achay tariqay say rozi hasil karo, jo halal hai wo lay lou jo haram hai wo chhor dou. (Ibne Maja, Hadees 2144, Abwab ut Tijarat, Baab: Rozi Kamanay main Miana'Ravi ikhtiyar karna, Ravi: Jabir Rz.A)

Tuesday, 21 May 2013

Taanay, Bura Bhala, Chugal Khori aur Gali Denay Walon Par Lanat Ki Gai Hai

Mafhom e Hadees: Taanay denay walon, bura bhala kehnay (gali denay) walon, logon kay aeb nikalnay walon, chughal khori karnay aur pakbaz auraton kay sath zina karnay walon per lanat ki gai hai, Allah inhain (qiyamat kay din) kuttay ki shakal main jama karay ga. (Attargheeb Wattarheeb, Jild 3, Page 325, Kitab uL Adab, Hadees 4277, Unwan: Chugal Khori se Darana, Ravi: Ala Bin Haris Rz.A, Nashir: Darul Kutub Al ilmia, Bairoot)

Wednesday, 10 April 2013

Durood Shareef ki Fazilat

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay irshaad Farmaya: Jo shaks mujh par aik (1) martaba durood bhejay ga, Allah us par das (10) martaba rehmat bhejay ga, aur us kay das (10) gunah muaf hon gay, aur das (10) darjaat us kay buland hon gay (Nasai, Kitab uL Iftetah, Hadees # 1300, Baab: Durood Shareef ki Fazilat, Ravi: Anas Razi Allah Unho)

Friday, 5 April 2013

Halaal Maal Kamanay Ki Waja Say Thakawat Bais-e- Maghfirat Hai

Mafhom-e- Hadees: Jo shakhs sham tak hath ki kamai kartay hue thak kar choor ho gaya, wo (is thakawat ki waja sy) maghfirat ka sazawar ho ga. (Al-Muajam-ul-Aosat LiTibrani, Baab:Almeem, Ravi: Hazrat Abdullah ibn-e-Abbas raziallahoanhoma, P#309, J# 16, as maktaba shamila)

Tuesday, 26 March 2013

Ambia Apni Qabron Main Namazain Bhi Parhtay Hain

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Jis raat mujhe mairaaj karai gai tou main Mosa Alaihe Salam (ki qabar) per say guzra, Surkh teelay kay paas dekha kay wo apni qabar main kharay ho kar namaz parh rahay hain (Muslim, Hadees 6157, Kitab uL Fazail, Baab: Mosa Alaihe Salam Kay Fazail, Ravi: Anas Bin Malik Razi Allah Unho)

Monday, 25 March 2013

Aadmi Ka Maal Teen Cheezen Hain

Mafhom-e- Hadees: Insan ka maal is ki jama karda jaedad main say tou sirf teen (3) cheezen hain: Jo us nay khaya aur khatam kar diya, jo pehan lia aur bosida kar diya, jo rah-e-Khuda main kharch kia aur zakhera-e-aakhirat bana liya. (baqi sab tou warison ko milay ga) (SUNAN-E-NISAE, Kitab: wassiat, Baab: wassiyat karnay main takheer par karahat, Ravi Hazrat Muttarif kay walid Raziallaho anho. p#311. J# 81)

Tuesday, 19 March 2013

Nabi Alaihe Salam Apni Qabar Main Jawab Detay Hain

Mafhom e Hadees: Jo shakhs bhi mujh par salam bhejta hai to Allah meri rooh ko mutawajah kar deta hai aur main us kay salam ka jawab deta hun. (Abo Dawood, H#2041, Kitab uL Manasik, Baab: Ziarat iL Qubor)

Saturday, 16 March 2013

Sharam Gah Ki Hifazat Say Jannat Ka Husool

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Apni sharam gaahon ki hifazat karo aur zina na karo, khabardar jo shakhs apni sharam gah ki hifazat karta hai, us kay liye jannat hai (Shoub uL-Eemaan, Jild 4, Page 365, Hadees 5425, Eeman ka sentiswan (37) Shouba, Unwan: Ghair Mehram Aurat ki Taraf Dekhnay ki Mumana'at, Ravi: Hazrat ibne Abbas Razi Allah Unhoma, Nashir: Darul Kutub al ilmia, Bairoot)

Friday, 8 March 2013

Jhooti Qasam Kha Kay Maal Bechna Akhrat Kay Badlay Dunya Bechnay Jesa Hai

Mafhom e Hadees: Abo Saeed Rz.A kehtay hain kay aik (1) dehati meray paas say bakri lay kar guzra tou mene kaha tum isko teen (3) dirham main dou gay? Us nay kaha ALLAH ki qasam nahi phir us nay bech di, mene Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam ko bataya tou Aap nay farmaya: Us (dehati) nay duniya kay badlay akhrat ko beach diya (Sahi ibne Habban, Hadees 4909, Kitab uL Boyou)

Monday, 4 March 2013

Rishwat Ka Gunah

Mafhom e Hadees: Hazrat Masrooq Rahimahullah (Jo tabieen main say hain) nay kaha kay jis waqt kisi qazi nay hadiya qubool kia (us shakhs say jo hamesha hadiya nahi deta tha, balkay qazi honay kay baad hadiya denay laga) tou us nay haram khori ki aur jab rishwat li tou kufr kay qareeb pohanch gaya (Nasai, Kitab uL Ashriba, Hadees 5672, Baab: Sharab Peenay Walay Ki Namaz Qubool Nahi hoti)

Wednesday, 27 February 2013

Halaal Kamai Ke Saath 2 Cheezon Ki Pabandi Karne Se Jannat Ka Husool

Mafhom e Hadees: Jo shakhs halaal khaey, sunnaton par amal karay aur logon ko aziyat aur takleef na pohnchae tou wo jannat main dakhil hoga. (Tirmizi, Baab:Hoz Kay Bartno Ki Sifaat Ka bayan, Ravi:Abo Saeed Khudri (R.A), P#60. J#9, Az Maktaba Shamila)

Friday, 22 February 2013

Naik Kaamon Main Halal Maal Kharch Karna Chahiye

Mafhom e Hadees: Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Koi namaz taharat kay baghair qubool nahi hoti aur koi sadqa maal e khyanat (yani haram maal jese sood, khyanat, chori, rishwat waghaira) say qubool nahi hota (Tirmizi, Hadees 1, Darja: Sahi, Kitab ut Taharat, Baab: Taharat kay Baghair Namaz Qubool Nahi hoti, Ravi: Hazrat ibne Umar Razi Allah Unhoma)

Monday, 18 February 2013

Halaal Kamai Mustajaabuddawaat Ban Ne Ka Zariya Hai

Mahfhom e Hadees: Hazrat Saad (Rz.A) nay Aap Sallalaho Alaihe Wasallam ki khidmat main arz kia:Ya Rasulallah meray liye dua farmaye kay main mustajaabuddawaat ban jaon kay Allah Ta’ala meri dua ko rad na karain. Aap Sallalaho Alaihe Wasallam nay farmaya halaal khaya karo tumhari dua qubool honay lag jaey gi (Tibrani, Baab:Meem, Muhammad Eisa ki Marviyat, P#261, J#14, Az Maktaba Shamila)

Thursday, 14 February 2013

Karobar Main Qasam Khanay Ki Muma’aniat

Mafhom e Hadees: Tijarat karne waly (aksar o baishtar) gunah gaar tajir hotay hain. Is par aik shakhs nay kaha aey Allah kay Rasool! Kiya Allah pak nay kharid-o-farokht ko halaal nahi kia? Tou aap nay farmaya: Han kia tou hai lekin wo qasam khatay hain aur gunah gaar ho jatay hain. (Assunanul Kubra, Kitab: Albuyoon, Baab: Tijarat Karne Ka Bayan, P#266, J#5 Az Maktaba Sahmila)

Most Viewed in 7 Days