بسم الله الرحمن الرحيم
Showing posts with label Namaz. Show all posts
Showing posts with label Namaz. Show all posts

Friday, 27 December 2013

JANNAT MAIN MAHAL KI ZAMANAT


Mafhom e Hadees: Rasul Allah SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: 
"Jo shaks rozana pabandi kay sath 12 rakaat Sunnat mokada parha karay, us kay liye Jannat main aik ghar banaya jaey ga. (Wo 12 rakaat yeh hain:) 4 Rakatain Zuhar se pehlay aur 2 Zuhar kay baad, 2 rakat Maghrib kay baad, 2 rakat Eesha kay baad, 2 rakat Fajar se pehlay"
(Tirmazi, Hadith # 414)

Thursday, 26 December 2013

NAMAZ-E-JUMA HAR GIZ NA CHORAIN, WARNA....


Mafhom e Hadees: Rasul Allah SalLalLaho Alaihe Wasallam ka irshad-e-girami hai:
"Log Juma ki Namazain chornay say baaz aa jain, warna ALLAH Subhanahu Wa Ta'ala un kay dillon par mohhar laga dengay, phir wo log ghafil logon main say ho jain gay"
(Sahih Muslim, Hadees # 2039)

Tuesday, 26 March 2013

Ambia Apni Qabron Main Namazain Bhi Parhtay Hain

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Jis raat mujhe mairaaj karai gai tou main Mosa Alaihe Salam (ki qabar) per say guzra, Surkh teelay kay paas dekha kay wo apni qabar main kharay ho kar namaz parh rahay hain (Muslim, Hadees 6157, Kitab uL Fazail, Baab: Mosa Alaihe Salam Kay Fazail, Ravi: Anas Bin Malik Razi Allah Unho)

Tuesday, 6 November 2012

Ahle Jannat Ka Ahle Dozakh Say Sawal

نیک لوگ) جنتوں میں ہوں گے اور پوچھتے ہوں گے۔ یعنی آگ میں جلنے والے گنہگاروں سے۔ کہ تم دوزخ میں کیوں پڑے؟ وہ جواب دیں گے کہ ہم نمازیوں میں شامل نہ ہوئے۔ اور نہ ہم فقیروں کو کھانا کھلاتے تھے۔ اور ہم بحث کرنیوالوں کے ساتھ مل کر بحث کرتے تھے۔ اور روز جزا کو جھٹلاتے تھے۔

(those who will be given their Book of Deeds in their right hands) who will be in gardens, asking about the guilty persons, “What has brought you to Saqar? (Hell)” They will say, “We were not among those who offered Salāh , (obligatory prayer) and we did not give food to the needy, and we indulged (in mocking at the truth) along with those who indulged, and we used to deny the Day of Requital,

[Mafhom-e-Quran: (Naik log) Jannaton main  hon gay aur pochtay hon gay. Yani aag main jalnay walay gunhegaron say. Kay tum dozakh main kyon pary? Wo jawab dengay kay hum namzion main shamil na hue. Aur na hum faqeeron ko khana khilatay thy. Aur hum behas karnewalon kay sath mil kar behas kartay thy. Aur roz-e-jaza ko jhuttlatay thy.]

(Surah # 74, Al-Muddathir, Ayah # 40 - 46)

Saturday, 25 August 2012

Aurton Kay Liye Namaz Ki Sab Say Behtar Jaga

Mafhom e Hadees: Aurton kay Liye Namaz Parhnay ki Jaghon Main say Sab say Behtar Jaga un kay Gharon kay androni hissay hain (Mustadrak Hakim, Hadees # 865, Darja: Sahi, Imamat aur Namaz e Juma, Baab: Hamsaye kay liye Masjid main Namaz Parhna Lazim hay, Ravi: Umme Salma Rz.A)

Aurton ka Masjid mai Namaz k Liye Jana Makrooh hay, Aurton ka Apne Ghar Namaz Parhna Behtar Hay (Fatawa Shami, Jild # 1, Page # 566, H.M. Saeed Publisher)

Friday, 3 August 2012

Taraweeh Ki Namaz Parhna Sunnat Hai

Mafhom e Hadees: ALLAH nay Ramazan kay Rozay Farz kiye hain aur is kay Qiyam (Taraweeh) ko Maine Tumharay Liye Sunnat Qarar diya hai (ibne Maja, Hadees #1328, Abwab o iqamat es Salat, Baab: Mah e Ramazan ka Qiyam, Ravi: Abdul Rehman Rz.A)

Tuesday, 26 June 2012

Behtareen Amal Namaz Hai


Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam ne Farmaya: Beshak Tumharay Aamal main say Behtareen Amal Namaz hai (Shuab uL Eemaan, Hadees # 2803, Eemaan ka 20wan Shouba Taharat, Ravi: Abdullah Bin Ammar R.A)

Mafhome Hadees: Jamat Ki Namaz Akailay Ki Nimaz Say 27 Darjay AfzaL Hai (Bukhari, Hadees #649,
Kitab uL Aazan, Baab: Bajamat Namaz ki Fazilat, Ravi: ibne Umar R.A)

Thursday, 14 June 2012

Juma Ki Namaz Kay Baad Rozee Ki Talaash

پھر جب نماز ہو چکے تو زمین میں پھیل جاؤ اور اللہ کا فضل تلاش کرو اور اللہ کو بہت بہت یاد کرتے رہو تاکہ کامیاب ہو جاؤ۔ 

Then once the Salāh is over, disperse in the land, and seek the grace of Allah, and remember Allah abundantly, so that you may be successful.

[Mafhom-e-Quran: Phir jab namaz ho chukay to zameen main phel jao aur Allah ka fazal talaash karo aur Allah ko bohat bohat yaad karte raho ta kay kamiyab ho jao.

(Surah # 62, Al-Juma, Ayah # 10)

Azan e Juma ki Ahmiyat aur Ahkaam

:اذان جمعہ کی اہمیت اور احکام
مومنو! جب جمعے کے دن نماز کے لئے اذان دی جائے تو اللہ کے ذکر کی طرف لپکو اور خریدوفروخت ترک کر دو اگر سمجھو تو یہ تمہارے حق میں بہتر ہے۔

O you who believe, when the call for Salāh (prayer) is proclaimed on Friday, hasten for the remembrance of Allah, and leave off business. That is much better for you, if you but know. 

[Mafhom-e-Quran: Momino! jab jumay kay din namaz kay liye azan di jaye to Allah kay zikar ki taraf lapko aur kharid o farokht tark kar do agar samjho to yeh tumharay haq main behtar hai.

(Surah # 62, Al-Juma, Ayah # 9)

Sunday, 10 June 2012

Namaz Bajamat Ka Hukum

اورنماز پڑھا کرو اور زکوٰۃ دیا کرو اور اللہ کے آگے جھکنے والوں کے ساتھ جھکا کرو۔

And be steadfast in Salāh (prayer), and pay Zakāh, and bow down with those who bow down.

[Mafhom-e-Quran: Aur namaz parha karo aur zakat diya karo aur Allah kay aagay jhuknay walon kay sath jhuka karo.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 43)

Thursday, 31 May 2012

Juma Namaz Chornay par Waeed


Mafhom e Hadees: Log Juma (ki Namaz) chornay se baaz aa jain nahi to ALLAH un kay dillon par Mohhar laga dega phir wo ghaflon main se ho jain gay (Muslim, Hadees # 2002, Kitab uL Juma, Ravi: Abbo Horaira Rz.A, Baab: "Juma Namaz Chornay par Waeed")

Monday, 14 May 2012

Musalmano Sabar Aur Namaz Say Madad Lo

اے ایمان والو صبر اور نماز سے مدد لیا کرو۔ بیشک اللہ صبر کرنے والوں کے ساتھ ہے۔

O you who believe, seek help through patience and prayer. Surely, Allah is with those who are patient.

[Mafhom-e-Quran: Ay Ieman walon sabar aur namaz say madad lia karo. Beshak Allah sabar karne walon kay sath hai.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 153)

Thursday, 3 May 2012

Waldain Ki Khidmat na Karne par Waeed

Mafhome Hadees: Pak Nabi Mohammad Sal-Lal-Laho Alaihe Wasallam ne Farmaya: Wo Shaks Zaleel ho, Khuaar ho, Ruswa ho jo Apne Waldain main se aik (1) ya donon (2) ko Burhapay main Paye phir (unki Khidmat aur unka Dil Khush kar kay) JANNAT hasil na kar lay (Muslim, Hadees #6510, Kitab uL Birr, Baab:Waldain kay sath Husan e Sulook Nafal Namaz se Muqaddam hay, Ravi:Abbo Horaira R.A)

ALLAH hamain Bohray Waldain ki Khidmat karnay ki Toufeeq day (Aameen)

Tuesday, 24 April 2012

Makhlooqat aur Parindon ki Tasbih


کیا تم نے نہیں دیکھا کہ جو لوگ آسمانوں اور زمین میں ہیں اللہ کی تسبیح کرتے رہتے ہیں۔ اور پر پھیلائے ہوئے پرندے بھی۔ اور سب اپنی نماز اور تسبیح کے طریقے سے واقف ہیں اور جو کچھ وہ کرتے ہیں سب اللہ کو معلوم ہے۔

Did you not realize that purity of Allah is proclaimed by all those in the heavens and the earth, and by the birds with their wings spread out? Everyone knows one’s own (way of) praying (to Allah) and one’s own (way of) proclaiming Allah’s purity. And Allah knows well what they do.

[Kiya tum ne nahi dekha kay jo log aasmano aur zameen mian hain Allah ki tasbih karte rehte hain aur phelae hue parinde bhi aur sab apni namaz aur tasbih kay tareeke se waqif hain aur jo kuch wo karte hain sab Allah ko malom hai.]
(Surah # 24, An-Noor, Ayah # 41) 

Thursday, 19 April 2012

Takbeer-e-Ula ki Fazilat


Mafhom e Hadees: Jis Nay 40 Din tak Takbeer-e-Ula kay Sath Khalis ALLAH ki Raza kay liye Bajamaat Namaz parhi, Uski do (2) cheezon Say Nijaat likh di jati hai, (1) Jahannum Say Nijaat, (2) Nifaq Say Nijaat. (Tirmazi, Abwab us Salaat, Hadees#229, Ravi: Anas Rz.A, Baab:Takbeer-e-Ula ki Fazilat)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Monday, 16 April 2012

Momineen Ki Sifat

:مومنین کی صفات
اور ایمان والے مرد اور ایمان والی عورتیں ایک دوسرے کی مددگار ہیں سکھلاتے ہیں نیک بات اور منع کرتے ہیں بری بات سے اور قائم رکھتے ہیں نماز اور دیتے ہیں زکوٰۃ اور حکم پر چلتے ہیں اللہ کے اور اسکے رسول کے وہی لوگ ہیں جن پر رحم کرے گا اللہ بیشک اللہ زبردست ہے حکمت والا

The believers, male and female, are friends to each other. They bid virtue and forbid vice and establish Salāh and pay Zakāh and obey Allah and His Messenger. Those are the ones whom Allah will bless with mercy. Surely, Allah is Powerful, Wise.

[Aur eman walay mard aur eman wali aurtain aik dosray ki madadgar hain sikhlate hain naik baat aur mana karte hain buri baat se aur qaim rakhte hain namaz aur dete hain zakat aur hukum par chalte hain Allah kay aur uskay rasool kay wohi log hain jin par reham kare ga Allah beshak Allah zabardast hai hikmat wala.]

(Surah # 9, At-Taubah, Ayah # 71)

Namaz Kay Liye Masjid Jana

Mafhome Hadees: Jab Tum main se Koi Shakhs Achi Tarhan Wuzu Karay aur Phir Namaz kay Liye Jaye, Tou Jab Bayaan (Left) Paon Uthay Ga tou os se 1 Gunah Muaf kar Diya Jaye Ga, Aur Dayaan (Right) Paon uthanay par os kay Liye 1 Neki Likhi Jaye Gi Aur Yeh Silsila Masjid main Janay tak Jari Rahay ga (Mustadrak Hakim, Hadees #899, Darja: Sahi, Kitab us Salaat, Baab: Imamat aur Namaz e Juma, Ravi: Ibne Umar Razi Allah Anhuma)

Thursday, 15 March 2012

Din aur Raat main 12 Rakatain Sunnat Parhnay ki Fazilat


Mafhom e Hadees: Jo Shaks Din aur Raat main 12 Rakatain SUNNAT Adda karay, Os k Liye JANNAT main 1 Ghar Banaya jayeGa, (Ye 12 Rakat es Tarha adda ki jain gi) 4 Rakatain Zuhar se Pehlay, 2 Zuhar kay baad, 2 Rakatain Maghrib kay Baad, 2 Rakatain Eesha kay Baad, Aor 2 Rakatain Fajjar Ki Namaz se Pehlay (Tirmazi, H#398, Baab: Din aor Rat mai 12 Rakatain Parhnay ki Fazilat, Darja:Hassan Sahi, Abwab us Salaat, Ravi:Umme Habiba R.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday, 14 March 2012

Namaz kay Liye Masjid ki Taraf Janay walay kay Gunahon kay Mitnay aor Darjaat ki Bulandi ka Bayan

Mafhome Hadees: Agar Kisi kay Darwazay par 1 Nehir Ho, Jis Main Wo 5 Baar Nahata ho to kia Os kay Badan par kuch Mail Baqi Rahay gi? Sahaba Rz.A ne Arz kia Nahi, Aap S.A.W ne Farmaya: Bilkul Yehi Misaal 5 Namazon ki hay, ALLAH in kay Zarriye Khataon ko Dhota aur Mitata hay (Muslim, H #1522, Kitab uL Masajid, Ravi:Abbo Horaira R.A, Baab: Namaz kay Liye Masjid ki Taraf Janay walay kay Gunahon kay Mitnay aur Darjaat ki Bulandi ka Bayan) 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Eesha aur Fajar ki Namaz Bajamat Parhnay ki Fazilat

Mafhom e Hadees: Eesha ki Jamat main hazir honay walay kay liye Aadhi raat Qiyam ka sawab hai, Aur Jis nay Fajar aur Eesha ki Namaz Bajamat Parhi us kay Liye Pori Raat kay Qiyam ka sawab hai (Tirmazi, Abwab us Salaat, H#211, Ravi:Usman R.A, Baab: Eesha aur Fajar ki Namaz Bajamat Parhnay ki Fazilat)

ALLAH Mujhe aur Aapko Tamaam Namazon ki pabandi karnay kay sath sath Fajar aur Eesha ki Khusosi Pabandi karnay ki toufeeq day. (Aameen)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days