بسم الله الرحمن الرحيم

Friday 30 March 2012

Dosri Qaum kay sath Mushabehat ikhtiyar Na ki Jae

Mafhome Hadees: Jis ne Jis Qaum kay sath Mushabehat ikhtiyar ki to Wo (Qayamat kay din) unhi mai se hoga (Abbo Dawood, Hadees #4031, Kitab uL Libas, Baab: Shuhrat kay liye Libas Pehinna, Ravi: ibne Umar R.A)

Thursday 29 March 2012

Yeh bhi Bohat Bari Khayanat hay

Mafhom e Hadees: Bohat Bari Khayanat Yeh hay kay Tum Apne Bhai se Aik Baat kaho aur Wo Tumhain Es Baat main Sacha Samajh raha ho Halan kay Tum Os se Jhot bol rahay ho. (Abbo Dawood, Hadees # 4971, Kitab uL Addab, Baab: Maani Khaiz Baat Karna, Ravi: Hazrat Sufyan Bin Osaid Hazrmi Razi Allah Unho)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Jhoti Baat kar kay Logon ko Hansana

Mafhome Hadees: Kharabi hay Os Shaks kay Liye Jo Es Maqsad kay Liye Jhoti Baat karay kay Es kay Zarriye Logon ko Hansaye, Kharabi hay Os kay Liye, Kharabi hay Os kay Liye (Tirmazi, Hadees #2405, Darja: Hassan, Kitab uz Zohad, Baab: Jo Shaks Logon ko Hansanay Kay Liye koi Baat Karay, Ravi: Abbo Horaira R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

April Fool ki Haqiqat

<1> Mafhom e Hadees: Jhot se Bachtay Rehna, Beshak Jhot Burrai ki taraf lay jata hay aur Burrai Jahannum ki taraf lay jaye Gi, BeShak Insan Jhot Bolta Rehta hay aur Eska Aadi ho Jata hay to ALLAH kay haan Bohat Jhota Likh Dia Jata hay (Abbo Dawood, Hadees#4989, Darja: Sahi, Kitab uL Addab, Baab: Jhot Bolnay ki Muzammat, Ravi: Abdullah Bin Masood R.A)

<2> April Fool Bohat se Kabira Gunahon ka Majmoa hay, Jhot ko Agar Gunah Samajh kay Bola Jaye to Jhot Bolna Gunah e Kabira hay (Muslim, Hadees #260, Kitab uL Eemaan, Baab: Biyan Nil Kabair wa Akbariha, Ravi: Anas Rz.A)

1st April ko Jaiz Samajh k Jhot bola Jata hay, Agar Jhot ko Halal aur Jaiz Samajh kar Bola Jaye to Andesha e Kufar hay (Sharrah Fiqa e Akbar, Page #186, Published From Dehli)

<3> Jhot Bolnay ki Burrai aur Muzammat kay Liye Yehi Kafi hay kay Quran main hay: Jhot Bolnay Walon par ALLAH ki Lanat. (Surah Aal-e-Imran, Ayat # 61, Para # 3)

Sabit howa kay Jo Log Jhot Bol kar "April Fool" Manatay hain Wo Quran main Maloon Thehraye Gaye hain, Jab April Fool Bahot se Kabira Gunahon ka Majmoa hay to Hamain Es se Khud bhi Bachna Chahiye aur Apne Doston ko bhi Samjhana Chahiye.

<4> Mafhom e Hadees: Kharabi hay us Shaks kay Liye Jo Es Maqsad kay Liye Jhoti Baat karay kay Es kay Zarriye Logon ko Hansaye, Kharabi hay us kay Liye, Kharabi hay us kay Liye (Tirmazi, Hadees #2405, Darja: Hassan, Kitab uz Zohad, Baab: Jo Shaks Logon ko Hansanay Kay Liye koi Baat Karay, Ravi: Abbo Horaira R.A)

<5> Mafhom e Hadees: Bohat Bari Khayanat Yeh hay kay Tum Apne Bhai se Aik Baat kaho aur Wo Tumhain Es Baat main Sacha Samajh raha ho Halan k Tum Os se Jhot bol rahay ho. (Abbo Dawood, Hadees # 4971, Kitab uL Addab, Baab: Maani Khaiz Baat Karna, Ravi: Hazrat Sufyan Bin Osaid Hazrmi Razi Allah Unho)

<6> Mafhome Hadees: Jis ne Jis Qaum kay sath Mushabehat ikhtiyar ki to Wo (Qayamat kay din) unhi mai se hoga (Abbo Dawood, Hadees #4031, Kitab uL Libas, Baab: Shuhrat kay liye Libas Pehinna, Ravi: ibne Umar R.A)

April Fool Mananay Wala Kafron ki Mushabehat Karta hay, Ayse Logon kay Baray Andesha hay kay Qayamat kay Din Kafron ki Saf mai Uthaye Jain, ALLAH hamain Quran o Sunnat Pe Ammal karnay wala Banaye (Aameen)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday 28 March 2012

Murday Ko Dono Waqt Subha aur Sham Thikana Bataya Jata Hay

Nabi Kareem (S.A.W) Nay Farmaya: Jab tum Main Say Koi Mar Jata Hay To Subh-o-Sham Usko Uska Thikana Dikhaya Jata Hay, Agr Wo Jan'nati Hay To Jan'nat Walon Mein, Agr Dozkhi hay To Dozkh Walon Mein, Phir Kaha Jata Hay Ye Tera Thikana Hay Yahan Tak Kay Qayamat Kay Din Allah Tujh Ko Uthaye ga. (Bukhari, Kitab-ul-Janaiz, Baab:Murday Ko Dono Waqt Subha aur Sham Thikana Bataya Jata Hay.)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Tuesday 27 March 2012

Hamesha Sach Bolain

Mafhom e Hadees: Tum Hamesha Sachai Ikhtiyar Karo, Kyun kay Sach Neki ki Taraf Lay Jata hay aur Neki Jannat main Lay Jaye Gi, Admi Sach Bolta rehta hay aur Sach Bolnay ka Aadi Ho Jata hay to ALLAH kay Nazdeeq Bahot Sacha Likh Dia Jata hay (Abbo Dawood, Hadees # 4989, Darja: Sahi, Kitab uL Addab, Baab: Jhot Bolnay ki Muzammat, Ravi: Abdullah Bin Masood Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Jhot Bolnay ki Muzammat

Mafhome Hadees: Jhot se Bachtay Rehna, Beshak Jhot Burrai ki taraf lay jata hay aur Burrai Jahannum ki taraf lay jaye Gi, BeShak Insan Jhot Bolta Rehta hay aur Eska Aadi ho Jata ha to ALLAH kay haan Bahot Jhota Likh Dia Jata hay (Abbo Dawood, Hadees#4989, Darja: Sahi, Kitab uL Addab, Baab: Jhot Bolnay ki Muzammat, Ravi: Abdullah Bin Masood R.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Friday 23 March 2012

Uhad Pahar ka Kanpna

Mafhome Hadees: Jab Nabi Alaihe Salam, Abbo Bakar Rz.A, Umar Rz.A or Usman Rz.A ko lay kar Uhad pahar par Charhay to Uhad Pahar Kanp utha, Nabi Alaihe Salam ne farmaya: Uhad.! Qarar pakar kay tujh par 1 Nabi, 1 Siddeeq (Abbo Bakar R.A) or 2 Shaheed (Umar aor Usman R.A) hain (Bukhari, Hadees #3675, Kitab: Fazail Ashab e Nabi, Baab: Nabi Alaihe Salam ka Farman k Agar mai ksi ko Jani Dost banata to Abbo Bakar R.A ko Banata)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Bhai Se Kina aur Bugz Rakhna

Mafhome Hadees: Peer aor Jumirat kay din JANNAT kay darwazay kholay jatay hain (In 2non dinon main Har) os banday ki jo ALLAH k sath kisi qisam ka shareeq nahi karta, Magfirat kar di jati hay masewaye os admi kay keh os kay aur os kay bhai kay darmiaan bugz aur kina mojod ho (ALLAH ki taraf se) kaha jata hai in 2non ko chor do hatta kay sulha kar lain (Muslim, H#6544, Kitab uL Addub, Baab: Kina rakhnay ki Mamaniyat, Ravi:Abbo Horaira R.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Manaqib e Umar Bin Khattab Razi Allah Unho

Baab: Manaqib e Umar Bin Khattab Razi Allah Unho
Mafhome Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam ne Hazrat Umar Razi Allah Unho se Farmaya: Aay ibne Khattaab..! Os Zaat ki Qasam jis kay Hath main Meri Jaan hay, Agar kabhi Shaitan Tumhain kisi Rastay par aata howa dekh leta hay to Tumhara Rasta Chor kar 2sray Rastay par ho leta hay (Bukhari, Hadees #3683, Kitab: Fazail Ashab e Nabi, Ravi: Saad Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Musafaha Karnay ka biyan

Mafhome Hadees: Jab 2 Musalmaan Mulakaat kartay hain aur Musafaha (Hath se Hath mila kar Salam) kartay hain to juda honay se pehlay he 2non ki Maghfirat kar di jati hay (Abbo Dawood, Hadees #5212, Kitab uL Addab, Abwab us Salam, Baab: Musafaha Karnay ka biyan, Ravi: Baraa Bin Aazib Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday 21 March 2012

ALLAH ne Tum Par Sharab, Juwa aur Koba Haram kiya hay,

Mafhome Hadees: ALLAH ne Tum Par Sharab, Juwa aur Koba (Dhool) Haram Kar Dia hay, Es Hadees k 1 Ravi Ali Bin Bazima Farmatay hain kay Koba se Muraad Dhool hay (Abbo Dawood, Hadees # 3696, Darja: Sahi, Kitab uL Ashriba, Baab: Sharab kay Bartanon ka Biyan, Ravi: Ibne Abbas Razi Allah Unho)

Sabit Howa kay Sharab Peena aur Juwa khailna Haram hay, Dhool Bajana aur Eski Aawaz Sunna Haram hay, ALLAH hamain Music sunnay se bachaye (Aameen)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Hawa Ko Bura Kehna (Gali Dainy ) Ki Mumania


Hadees: Hawa Ko Gali Na Do, Agar Tumko Koi NaPasndeedah Baat Dekho To Kaho. Aey Allah, Hum Tujh Sy Es Hawa Ki Bhalai Aur Jo Kuch Es Main Hay Ki Bhalai Aur Jis Baat ka Hukam Diya Gaya Uski Bhalai Chahty Hain Aur Es kay Shar, Es kay Ander Jo Kuch Hay Ya Jiska Hukam Diya Gaya Ki Burai Say Teri Panah Chahty Hain. (Tirimzi, Hadees #133) Baab: Hawa Ko Bura Kehna (Gali Dainy ) Ki Mumania.

 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Kalay Elam Yani Kalay Jadu Ka Elaaj

Kalay Elam Yani Kalay Jadu Ka Elaaj: "Aayat-ul-Kursi, Surah Younas Ki Aayat # 81,82,83 Aur Aakhri 2 Suratain (Surah Falaq, Surah Naas), Fajjar aur Maghrib Kay waqt 3, 3 Bar, Awal-o-Aakhir 1 Martaba Drood Shareef Kay Saath 41 Din Tak Parhain...

ALLAH Say Ziada Koi Gheratmand Nahi

Nabi Pak Sallal Laho Aalaihe Wasallam Nay Frmaya: ALLAH Say Ziada Koi Gheratmand Nahi Aur Esi Liye Us (ALLAH) Nay Fawahish Ko Haram Qarar De diya. (Bukhari, Ravi: Hazrat Abdullah, Kitab-ul-Tauheed)

Aaj Say Wada Karain Kay Kabhi Bhi Allah Ki Haram Kardah Hudud Say Tajawuz Nahi Karain Gay, Kabhi Ganday Messages Aur Gandi Batain Nahi Karain Gay, Allah Hamari Hifazat Karay Aur Deen Par Amal Ki Taufeeq De (Aameen).

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Thursday 15 March 2012

Maan Baap ki Bad-Dua Se Bachain

Mafhome Hadees: 3 Duaien Qabool honay main Koi Shak nahi, 1) Mazloom ki Bad-Dua, 2) Musafir ki Dua, 3) Baitay kay Khilaaf Baap ki Bad-Dua (Tirmazi, H #1970, Abwab uL Birr, Baab: Maan Baap ki Dua, Ravi: Abbo Horaira Razi Allah Unho)

Apne Maan Baap ki Khidmat kar kay Unki Duaien lain, Apne Waldain ki Khilaf e Shariat baton kay ilawa har baat manain, Ta kay Waldain ki Bad-Dua se bacha ja sakay, ALLAH Ammal ki Toufeeq day. (Aameen)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Din aur Raat main 12 Rakatain Sunnat Parhnay ki Fazilat


Mafhom e Hadees: Jo Shaks Din aur Raat main 12 Rakatain SUNNAT Adda karay, Os k Liye JANNAT main 1 Ghar Banaya jayeGa, (Ye 12 Rakat es Tarha adda ki jain gi) 4 Rakatain Zuhar se Pehlay, 2 Zuhar kay baad, 2 Rakatain Maghrib kay Baad, 2 Rakatain Eesha kay Baad, Aor 2 Rakatain Fajjar Ki Namaz se Pehlay (Tirmazi, H#398, Baab: Din aor Rat mai 12 Rakatain Parhnay ki Fazilat, Darja:Hassan Sahi, Abwab us Salaat, Ravi:Umme Habiba R.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday 14 March 2012

Mat khao Qasam Apne Baap Dadaon ki

Baab: "ALLAH kay siwa aur Kisi ki Qasam Khanay ki Mumaniyat"
Mafhom e Hadees: Jo Shaks Qasam khana chahay Woh ALLAH kay ilawa kisi aur ki Qasam na khaye, Quraish Apne Baap Dadaon ki Qasam khaya kartay thay to Rasoolullah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya: Mat khao Qasam Apne Baap Dadaon ki. (Muslim, Hadees # 4259, Kitab uL Eemaan, Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allah Unho)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Namaz kay Liye Masjid ki Taraf Janay walay kay Gunahon kay Mitnay aor Darjaat ki Bulandi ka Bayan

Mafhome Hadees: Agar Kisi kay Darwazay par 1 Nehir Ho, Jis Main Wo 5 Baar Nahata ho to kia Os kay Badan par kuch Mail Baqi Rahay gi? Sahaba Rz.A ne Arz kia Nahi, Aap S.A.W ne Farmaya: Bilkul Yehi Misaal 5 Namazon ki hay, ALLAH in kay Zarriye Khataon ko Dhota aur Mitata hay (Muslim, H #1522, Kitab uL Masajid, Ravi:Abbo Horaira R.A, Baab: Namaz kay Liye Masjid ki Taraf Janay walay kay Gunahon kay Mitnay aur Darjaat ki Bulandi ka Bayan) 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Bheek Mangnay ki Mazammat ka biyan

Baab: "Bheek Mangnay ki Mazammat ka biyan" 
Mafhome Hadees: Jo Mujhay Es baat ki zamanat day kay logon se koi cheez na Mangay ga to main Osay Jannat ki zamanat daita hon. (Abbo Dawood, Hadees # 1630, Kitab-uz-Zakat, Ravi: Sobaan Razi Allah Unho)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Eesha aur Fajar ki Namaz Bajamat Parhnay ki Fazilat

Mafhom e Hadees: Eesha ki Jamat main hazir honay walay kay liye Aadhi raat Qiyam ka sawab hai, Aur Jis nay Fajar aur Eesha ki Namaz Bajamat Parhi us kay Liye Pori Raat kay Qiyam ka sawab hai (Tirmazi, Abwab us Salaat, H#211, Ravi:Usman R.A, Baab: Eesha aur Fajar ki Namaz Bajamat Parhnay ki Fazilat)

ALLAH Mujhe aur Aapko Tamaam Namazon ki pabandi karnay kay sath sath Fajar aur Eesha ki Khusosi Pabandi karnay ki toufeeq day. (Aameen)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Baaqi Rehnay Wali to sirf Naikiyaan hi hain

ALLAH Subhanahu wa Ta'ala Ney farmaya: "Yeh Maal Aur Aulaad to Sirf is Duniya ki Zeenat hain, Baaqi Rehnay Wali to Naikiyaan hi Hain Jo Tumharay RAB ki Baargaah mein Sawab kay Lehaaz Say bhi Achi hain Aur Umeed kay Lihaaz Say bhi bahot Behter hain." (Surah e Kahaf, Aayat Number: 46)

ALLAH Humain Ziada Sy Ziada Naikiyan Karny Ki Taufeeq Ata Farmaye. (Aameen)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Allah bahot Haya Wala Aur Kareem hay

Mafhom e Hadees: Tumhara Rab bahot Haya Wala Aur Kareem hay, ALLAH ko es baat se Haya aati hay k Eska Banda es k samnay Apne donon Hath Phailaye, Phir Wo esko Khali Laota Day. (Ibne Maja, Abwab ud Dua, Hadees # 3866, Baab: Dua main Hath Uthana, Ravi: Salman Razi Allah Unho)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days