بسم الله الرحمن الرحيم

Friday 29 June 2012

Allah Sood Ko Ghattata Aur Sadqaat ko Barrhata Hai


اللہ سود کو نابود یعنی بے برکت کرتا اور خیرات کی برکت کو بڑھاتا ہے اور اللہ کسی ناشکرے گناہگار کو دوست نہیں رکھتا۔

Allah destroys ribā and nourishes charities, and Allah does not like any sinful disbeliever.

[Mafhom-e-Quran: Allah sood ko nabood yani be barkat karta aur kheraat ki barkat ko barrhata hai aur Allah kisi nashukray gunhagar ko dost nahi rakhta]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 276)

Wednesday 27 June 2012

Islam Main Fazeelat Ka Miyar

 لوگو! ہم نے تمکو ایک مرد اور ایک عورت سے پیدا کیا اور تمہاری قومیں اور قبیلے بنائے۔ تاکہ ایک دوسرے کو شناخت کرو۔ بیشک اللہ کے نزدیک تم میں زیادہ عزت والا وہ ہے جو زیادہ پرہیزگار ہے۔ بیشک اللہ سب کچھ جاننے والا ہے سب سے خبردار ہے۔

O mankind, We have created you from a male and a female, and made you into races and tribes, so that you may identify one another. Surely the noblest of you, in Allah’s sight, is the one who is most pious of you. Surely Allah is All-Knowing, All-Aware.

[Mafhom-e-Quran: Logon! hum nay tumko aik mard aur aik aurat say peda kiya aur tumhari qomain aur qabeelay banaey. takay aik dosray ko shanakht karo. beshak Allah kay nazdeek tum main ziyada izat wala wo hai jo ziyada parehzgar hai. beshak Allah sab kuch jannay wala hai sab say khabardar hai.]


(Surah # 49, Al-Hujraat, Ayah # 13)

Tuesday 26 June 2012

Behtareen Amal Namaz Hai


Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam ne Farmaya: Beshak Tumharay Aamal main say Behtareen Amal Namaz hai (Shuab uL Eemaan, Hadees # 2803, Eemaan ka 20wan Shouba Taharat, Ravi: Abdullah Bin Ammar R.A)

Mafhome Hadees: Jamat Ki Namaz Akailay Ki Nimaz Say 27 Darjay AfzaL Hai (Bukhari, Hadees #649,
Kitab uL Aazan, Baab: Bajamat Namaz ki Fazilat, Ravi: ibne Umar R.A)

Monday 25 June 2012

Allah Subhanahu wa-ta'ala Nay Quran Samajhnay Kay Liye Aasaan Banaya Hai

اور ہم نے قرآن کو سمجھنے کے لئے آسان کر دیا ہے۔ تو کوئی ہے کہ سوچے سمجھے؟

Indeed We have made the Qur’ān easy for seeking advice. So, is there one to heed to the advice?
[Mafhom-e-Quran: Aur hum nay quran ko samajhnay kay liye aasan kar diya hai. to koi hai kay sochay samjhay?]

(Surah # 54, Al-Qamar, Ayah # 22)

Sunday 24 June 2012

Amal-e-Gheebat Ka Gahnauna Pan

:عمل غیبت کا گھناؤنا پن
 کیا تم میں سے کوئی اس بات کو پسند کرے گا کہ اپنے مرے ہوئے بھائی کا گوشت کھائے؟ اس سے تو تم ضرور نفرت کرو گے۔ تو غیبت نہ کرو اور اللہ کا ڈر رکھو بیشک اللہ توبہ قبول کرنے والا ہے مہربان ہے۔
Does one of you like that he eats the flesh of his dead brother? You would abhor it. And fear Allah. Surely Allah is Most-Relenting, Very-Merciful.

[Mafhom-e-Quran: Kiya tum main say koi is baat ko pasand karay ga kay apnay maray hue bhai ka ghosht khaye? is say to tum zaror nafrat karo gay. to gheebat na karo aur Allah ka darr rakho beshak Allah tauba qabool karnay wala hai meharban hai.]

(Surah # 49, Al-Hujraat, Ayah # 12)

Bad Gumani, Tajassus aur Gheebat ki Mumaniat

اے اہل ایمان! بہت گمان کرنے سے پرہیز کرو کہ بعض گمان گناہ ہیں اور ایک دوسرے کے حال کا تجسس نہ کیا کرو اور نہ تم میں سے کوئی کسی کی غیبت کرے۔

O you who believe, abstain from many of the suspicions. Some suspicions are sins. And do not be curious (to find out faults of others), and do not backbite one another.

[Mafhom-e-Quran: Aay ahle eman! bohat guman karnay say parhaiz karo kay ba'az guman gunha hain aur aik dosray kay haal ka tajassus na kia karo aur na tum main say koi kisi ki gheebat karay.]

(Surah # 49, Al-Hujraat, Ayah # 12)

Friday 22 June 2012

ACHAY IKHLAQ

Mafhom e Hadees: Tum main say behtar wo hay Jis kay Ikhlaq sab say achay hon (Bukhari, Hadees # 6035, Kitab uL Adab, Baab: Khush Akhlaqi aur Sakhawat ka Bayan aur Bukhal ka Na-Pasand Hona, Ravi: Abdullah Bin Ammar Rz.A)

Mafhom e Hadees: Admi Apne Achay Ikhlaq ki Waja say Un Logon ka Martaba Pa Leta hai Jo Raaton ko ibadat kartay hain aur Din ko Rozay Rakhtay hain (Mustadrak Hakim, Hadees # 198, Darja: Sahi, Kitab uL Eeman)

Thursday 21 June 2012

Insaan Ko Paida Karnay Ka Maqsad Aazmana Hai

اور وہی تو ہے جس نے آسمانوں اور زمین کو چھ دن میں بنایا اور اس وقت اس کا عرش پانی پر تھا تمہارے پیدا کرنے سے مقصود یہ ہے کہ وہ تم کو آزمائے کہ تم میں عمل کے لحاظ سے کون بہتر ہے۔ اور اے نبی اگر تم کہو کہ تم لوگ مرنے کے بعد زندہ کر کے اٹھائے جاؤ گے تو کافر کہہ دیں گے کہ یہ تو کھلا جادو ہوا۔

He is the One who created the heavens and the earth in six days, while His throne was on water, so that He might test you as to who among you is better in deed. And if you say, “You shall be raised after death,” the disbelievers will surely say, “This is nothing but sheer magic.”

[Mafhom-e-Quran: Aur wohi to hai jis nay aasmano aur zameen ko che (6) din main banaya aur us waqt uska arsh pani par tha tumharay paida karnay say maqsood yeh hai kay wo tum ko aazmaye kay tum main amal kay lehaz say kon behtar hai. aur aay nabi agar tum kaho kay tum log marnay kay baad zindah kar kay uthaye jao gay to kafir keh denge kay yeh to khula jaado hua.]


(Surah # 11, Hud, Ayah # 7)

Tuesday 19 June 2012

Tauba Aur Astaghfar Ki Fazilat

Mafhom e Hadees: ALLAH Farmata Hai: Aay ibne Adam..! Jab tak tu Mujhe Pukarta rahay ga aur Mujh say Maghfirat ki umeed rakhay ga to Main Tujhe Muaf karta Rahon ga, Aay Ibne Adam.! Agar Teray Gunah Asman tak bhi Pohanch jain Phir bhi Agar tu Mujh say Maghfirat Mangay ga to Main Tujhe Muaf kar don ga Aur Mujhe Koi Parwah nahi (Tirmazi, H#3674, Kitab ud Dawat, Baab: Tauba Aur Astaghfar ki Fazilat aur ALLAH ki Apni Bandon par Rehmat)

Sunday 17 June 2012

Sachay Momin ki Shaan

مومن تو وہ ہیں جو اللہ اور اسکے رسول پر ایمان لائے پھر شک میں نہ پڑے اور انہوں نے اللہ کی راہ میں اپنے مالوں اور اپنی جانوں سے جہاد کیا۔ یہی لوگ ایمان کے سچے ہیں۔

Believers, in fact, are those who believe in Allah and His Messenger, then have no doubt, and struggle, with their riches and their lives, in the way of Allah. Those are the truthful. 

[Mafhom-e-Quran: Momin to wo hain jo Allah aur uskay rasool par emaan laaye phir shak main na parray aur unho nay Allah ki rah main apnay maalon aur apni jaanon say jihad kiya. yehi log emaan kay sachay hain.]

(Surah # 49, Al-Hujraat, Ayah # 15)

Saturday 16 June 2012

Rizq say Mehroom karnay wali Cheez Bad Aamali hai

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Naiki kay ilawa koi Cheez bhi Umar Main izafa nahi karti, Aur Dua kay Siwa koi cheez Taqdeer ko Nahi Badal Sakti, aur Insan ko Rizq say Mehroom karnay wali cheez uski bad'Aamali hai (Ibne Maja, Hadees # 90, Kitab us Sunnat, Baab: Taqdeer kay Baray main Ahkaam o Masail, Ravi: Hazrat Sobaan Razi Allah Unho)

Thursday 14 June 2012

Juma Ki Namaz Kay Baad Rozee Ki Talaash

پھر جب نماز ہو چکے تو زمین میں پھیل جاؤ اور اللہ کا فضل تلاش کرو اور اللہ کو بہت بہت یاد کرتے رہو تاکہ کامیاب ہو جاؤ۔ 

Then once the Salāh is over, disperse in the land, and seek the grace of Allah, and remember Allah abundantly, so that you may be successful.

[Mafhom-e-Quran: Phir jab namaz ho chukay to zameen main phel jao aur Allah ka fazal talaash karo aur Allah ko bohat bohat yaad karte raho ta kay kamiyab ho jao.

(Surah # 62, Al-Juma, Ayah # 10)

Azan e Juma ki Ahmiyat aur Ahkaam

:اذان جمعہ کی اہمیت اور احکام
مومنو! جب جمعے کے دن نماز کے لئے اذان دی جائے تو اللہ کے ذکر کی طرف لپکو اور خریدوفروخت ترک کر دو اگر سمجھو تو یہ تمہارے حق میں بہتر ہے۔

O you who believe, when the call for Salāh (prayer) is proclaimed on Friday, hasten for the remembrance of Allah, and leave off business. That is much better for you, if you but know. 

[Mafhom-e-Quran: Momino! jab jumay kay din namaz kay liye azan di jaye to Allah kay zikar ki taraf lapko aur kharid o farokht tark kar do agar samjho to yeh tumharay haq main behtar hai.

(Surah # 62, Al-Juma, Ayah # 9)

Wednesday 13 June 2012

Allah Ko Koi Bhi Baat Ya Koi Naik Amal Jataya Nahi Jasakta

ان سے کہو کہ کیا تم اللہ کو اپنی دینداری جتاتے ہو۔ اور اللہ تو آسمانوں اور زمین کی سب چیزوں سے واقف ہے۔ اور اللہ ہر چیز کو خوب جانتا ہے۔

Say, “Would you apprise Allah of your religion, while Allah knows all that is in the heavens and all that is in the earth, and Allah is All-Knowing about every thing?” 


[Mafhom-e-Quran: In say kaho kay kiya tum Allah ko apni deendari jatatay ho. aur Allah to aasmanon aur zameen ki sab cheezon say waqif hai. aur Allah har cheez ko khob janta hai.]

(Surah # 49, Al-Hujraat, Ayah # 16)

Tuesday 12 June 2012

SAHI KO GHALAT KAY SATH NAHI MILANA CHAHIYE

اور حق کو باطل کے ساتھ نہ ملاؤ اور سچّی بات کو جان بوجھ کر نہ چھپاؤ۔

and do not confound truth with falsehood, and do not hide the truth when you know (it).

[Mafhom-e-Quran: Aur haq ko batil kay sath na milao aur sachi baat ko jaan bojh kar na chupao.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 42)

Musalmaan Aapas Main Bhai Hain

مومن تو آپس میں بھائی بھائی ہیں۔ تو اپنے دو بھائیوں میں صلح کرا دیا کرو اور اللہ سے ڈرتے رہو تاکہ تم پر رحمت کی جائے۔

All believers are but brothers, therefore seek reconciliation between your two brothers, and fear Allah, so that you may be blessed with mercy.


[Mafhom-e-Quran: Momin to aapas main bhai bhai hain. to apnay do (2) bhaion main sulha kara dia karo aur Allah say dartay raho takay tum par rehmat ki jaye.

(Surah # 49, Al-Hujraat, Ayah # 10)

Monday 11 June 2012

Aap ṣall Allāhu ʿalay-hi wa-sallam ki Hazrat Moavia kay liye Dua

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam nay Moavia Razi Allah Unho ko Dua di kay "Ya ALLAH isay (Moavia Rz.A ko) hidayat Yafta bana aur is kay zarriye Logon ko hidayat day (Tirmazi, Hadees #3985, Abwabo uL Manaqib, Baab: Hazrat Moavia Bin Abo Sufyan Rz.A kay Manaqib, Ravi: Abdul Rehman Rz.A)

ALLAH TA'ALA TAMAM JANDARON KO RIZQ POHNCHATA HAI

اور زمین پر کوئی چلنے پھرنے والا نہیں مگر اس کا رزق اللہ کے ذمے ہے وہ اسکے رہنے کی جگہ کو بھی جانتا ہے اور جہاں سونپا جاتا ہے اسے بھی۔ یہ سب کچھ کتاب روشن میں لکھا ہوا ہے۔
There is no creature on earth whose sustenance is not undertaken by Allah. He knows its permanent and its temporary place. Everything is in a clear book.
[Mafhom-e-Quran: Aur zameen par koi chalnay phirnay wala nahi magar us ka rizq Allah kay zimay hai wo uskay rehnay ki jaga ko bhi janta hai aur jahan sonpa jata hai usay bhi. yeh sab kuch kitab roshan main likha hua hai.]
(Surah # 11, Hud, Ayah # 6)

Sunday 10 June 2012

Namaz Bajamat Ka Hukum

اورنماز پڑھا کرو اور زکوٰۃ دیا کرو اور اللہ کے آگے جھکنے والوں کے ساتھ جھکا کرو۔

And be steadfast in Salāh (prayer), and pay Zakāh, and bow down with those who bow down.

[Mafhom-e-Quran: Aur namaz parha karo aur zakat diya karo aur Allah kay aagay jhuknay walon kay sath jhuka karo.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 43)

Saturday 9 June 2012

Islam Ka Aik Nazaria Ye Hai

کہ ان لوگوں پر جب کوئی مصیبت واقع ہوتی ہے تو کہتے ہیں کہ ہم اللہ ہی کا مال ہیں اور اسی کی طرف لوٹ کر جانے والے ہیں۔

who, when a suffering visits them, say: “We certainly belong to Allah, and to Him we are bound to return.”

[Mafhom-e-Quran: Kay in logon par jab koi musibat waqay hoti hai to kehtay hain kay hum Allah hi ka maal hain aur usi ki taraf lott kar jaany walay hain.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 156)

Friday 8 June 2012

Rishtay ki Talash main Deen Dari ko Ahmiyat Deni Chahiye

Mafhome Hadees: Nabi Alaihe Salam ne Farmaya: Aurat se Nikah char (4) cheezon ki waja se kia jata hai, 1) Us kay Maal ki waja say, 2) Us kay Khandani Sharf ki waja say, 3) Uski Khobsorati ki waja say, 4) Aur us kay Deen ki waja say, Aur tum Deen Dar Aurat se Nikah karo (Bukhari, Hadees # 5090, Kitab un Nikah, Baab: Deen main Barabri ka Lehaz Rakhna, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Wednesday 6 June 2012

Bay Rah Ro Insaan ki Khabar ki Tehqeeq Zaroori Hai

 : جھوٹی خبروں کی تحقیق کا حکم
مومنو! اگر کوئی گناہگار تمہارے پاس کوئی خبر لے کر آئے تو خوب تحقیق کر لیا کرو ایسا نہ ہو کہ کسی قوم کو نادانی سے نقصان پہنچا دو۔ پھر تمکو اپنے کئے پر نادم ہونا پڑے۔

O you who believe, if a sinful person brings you a report, verify its correctness, lest you should harm a people out of ignorance, and then become remorseful on what you did.

Jhoti Khabron Ki Tehqeeq Ka Hukum: -
[Mafhom-e-Quran: Momino! agar koi gunehgar tumhare paas koi khbar lay kar aay to khob tehqeeq kar lia karo aesa na ho kay kisi qoam ko nadani say nuqsan pohncha do. phir tumko apnay kiye par nadim hona parray.]

(Surah # 49, Al-Hujraat, Ayah # 6

Sabar ki Ahmiyat aur Fazail

اور ہم کسی قدر خوف اور بھوک اور مال اور جانوں اور میووں کے نقصان سے تمہاری آزمائش کریں گے اور صبر کرنے والوں کو بشارت سنا دو۔

Surely We will test you with a bit of fear and hunger, and loss in wealth and lives and fruits, and give good tidings to the patient.

[Mafhom-e-Quran: Aur hum kisi qadar khof aur bhook aur maal aur janon aur mewon kay nuqsan say tumhari azmaish karen gay aur sabar karne walon ko basharat suna do.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 155)

Tuesday 5 June 2012

HAYAT-E-SHUHADA

اور جو لوگ اللہ کی راہ میں مارے جائیں ان کی نسبت یہ نہ کہنا کہ وہ مرے ہوئے ہیں وہ مردہ نہیں بلکہ زندہ ہیں لیکن تم کو شعور نہیں۔

Do not say of those who are slain in the way of Allah that they are dead. Instead, they are alive, but you do not perceive.

[Mafhom-e-Quran: Aur jo log Allah ki rah main maaray jaen un ki nisbat yeh na kehna kay wo murray hue hain wo murdah nahi balkay zindah hain lekin tum ko shaoor nahi.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 154)

Abbo Bakar Siddeeq sab se Ziada Mehboob Thay

Mafhome Hadees: Hazrat Umar Bin Khattab Rz.A Farmatay hain kay "Hamaray Sardar Abbo Bakar Siddeeq (Razi Allah Unho) hum Sab main Behtar Thay aur Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam ko Sab se Ziada Mehboob Thay (Tirmazi, Hadees # 3799, Kitab uL Munaqib, Baab: Munaqib e Abbo Bakar Siddeeq Rz.A)

Monday 4 June 2012

Huzoor Sallal Laho Aalaihe Wasallam Ki Bashariat

کہدو کہ میں بھی آدمی ہوں جیسے تم ہاں مجھ پر یہ وحی آتی ہے کہ تمہارا معبود ایک ہی معبود ہے تو سیدھے اسی کی طرف متوجہ رہو اور اسی سے مغفرت مانگو اور مشرکوں پر افسوس ہے۔

Say, “I am but a human being like you; it is revealed to me that your god is only One God. So, turn straight towards Him, and seek forgiveness from Him, and woe to the Mushriks (those who ascribe partners to Allah)

[Mafhom-e-Quran: Kaho kay main bhi aadmi hun jese tum han mujh par ye wahi aati hai kay tumhara mabood aik hi mabood hai to seedhay usi ki taraf mutawaja raho aur usi say maghfarat mango aur mushrikon par afsos hai.]

(Surah # 41, Fussilat / Hā Mīm As-Sajda, Ayah # 6)

Mushkil Kay Baad Aasani Hai

بیشک مشکل کے ساتھ آسانی بھی ہے۔

Undoubtedly, along with the hardship there is ease.

[Mafhom-e-Quran: Beshak mushkil kay sath aasani bhi hai.]

(Surah # 94, Al-Inshirah, Ayah # 6)

Sunday 3 June 2012

Apnay Qaul o Amal say Duniya ko Quran o Sunnat ki Taraf Bulana

اور تم میں ایک جماعت ایسی ہونی چاہیے جو لوگوں کو نیکی کی طرف بلائے اور اچھے کام کرنے کا حکم دے اور برے کاموں سے منع کرے یہی لوگ ہیں جو کامیاب ہیں۔

There has to be a group of people from among you who call towards the good, and bid the Fair and forbid the Unfair. And it is these who are successful.

[Mafhom-e-Quran: Aur tum main aik jamat aesi honi chahiye jo logon ko naiki ki taraf bulaye aur achay kaam karne ka hukum day aur buray kaamon say mana kare yehi log hain jo kamiyab hain.]

(Surah # 3, Aal-e-Imran, Ayah # 104)

Zaban say Allah kehna aur Amlan bhi usko Allah Man'na

جن لوگوں نے کہا کہ ہمارا پروردگار اللہ ہے پھر وہ اس پر قائم رہے تو انکو نہ کچھ خوف ہو گا اور نہ وہ غمناک ہوں گے۔

Surely, those who say, “Our Lord is Allah” and then stay firm, they will have no fear, nor shall they grieve.

[Mafhom e Quran: Jin logon nay kaha kay hamara parwardigar Allah hai phir wo us par qaim rahe to unko na kuch khof hoga aur na wo ghamnak hon ge.]

(Surah # 46, Al-Ahqaf,  Ayah # 13)

Most Viewed in 7 Days