بسم الله الرحمن الرحيم

Thursday 29 November 2012

Allah aur Uskay Rasool ko Satanay Walay Maloon Hain

جو لوگ اللہ اور اسکے پیغمبر کو اذیت پہنچاتے ہیں ان پر اللہ دنیا اور آخرت میں لعنت کرتا ہے اور انکے لئے اس نے ذلیل کرنے والا عذاب تیار کر رکھا ہے۔

Surely, those who annoy Allah and His Messenger are cursed by Allah in this world and in the Hereafter, and He has prepared for them a humiliating punishment.

[Mafhom-e-Quran: Jo log Allah aur uskay Peghambar ko aziyat pohanchaatay hain un par Allah dunya aur akhirat main lanat karta hai aur unkay liaye us nay zaleel karnay wala azab tayyar kar rakha hai.]

(Surah # 33, Al-Ahzab, Ayah # 57)

Wednesday 28 November 2012

Aanhazarat Sallallaho Alaihe Wasallam Ko Tasalli

اور اگر ہم چاہتے تو ہر بستی میں ڈرانے والا بھیج دیتے۔ تو تم کافروں کا کہا نہ مانو اور ان سے اس قرآن کے حکم کے مطابق بڑے شدومد سے لڑو۔

Had We so willed, We would have sent a (separate) warner for every town, (but, according to Our wisdom, We have sent Muhammad as a prophet for all these towns) So, (O Prophet,) do not obey the infidels, and strive against them with it (the Qur’ān), in utmost endeavor.

[Mafhom-e-Quran: Aur agar hum chahtay to har basti main daraanay wala bhejdete. To tum kafiron ka kaha na mano aur un say is Quran kay hukum kay mutabiq baray shadomad say laro.]

(Surah # 25, Al-Furqan, Ayah # 51-52)

Monday 26 November 2012

Bay Hayai Phelanay Walon Ki Saza

جو لوگ اس بات کو پسند کرتے ہیں کہ مومنوں میں بےحیائی یعنی تہمت بدکاری کی خبر پھیلے انکو دنیا اور آخرت میں دکھ دینے والا عذاب ہو گا اور اللہ جانتا ہے اور تم نہیں جانتے۔

Surely, those who like that lewdness spreads among the believers, for them there is painful punishment in this world and the Hereafter. Allah knows, and you do not know.

[Mafhom-e-Quran: Jo log is baat ko pasand kartay hain kay mominon main bay hayai yani tuhmat badkari ki khabar phelay unko dunya aur akhirat main dukh denay wala azab hoga aur Allah janta hai aur tum nahi jantay.]

(Surah # 24, An-Noor, Ayah # 19)

Sunday 25 November 2012

Waaqia Karbala Humain Kia Dars Deta Hai?

Waqia Karbala main Hazrat Hussain aur Ahl e Bait Razi Allah Unhum nay humain kia dars diya?
1) ALLAH kay liye kisi bhi qurbani say daraigh nahi karna chahiye aur zalim ka sath nahi dena chahiye.
2) Agar Hakim e Waqt shariat pay amal na karay tou us kay khilaaf uth kharay hona chahiye khuwah batil kitna hi taqatwar kion na ho.
3) Koi bhi mushkil aanay pay humain sabar karna chahiye.
4) Namaz kisi bhi halat main nahi chorni chahiye.

Saturday 24 November 2012

Noha Karna Aur Matam Karna Kesa Hai?

Mafhoom-e-Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya:, jo (apne) chehray ko peetay, gareebaan ko pharay (yani matam kare) aur zamana e jahiliyat ki si baten karay (yani noha karay) wo hum (musalmano) main say nahi hai. (Bukhari, Hadees # 1297, Kitabul Janaiz, Baab: Chehra Peetne Walay Hum Main Say Nahi Hain, Ravi: Abdullah Bin Masood Razi Allah Anho)

Thursday 22 November 2012

Aashora Kay Din Roza Rakhna

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam nay jab aashora (10 Muharrum) kay din ka roza rakha aur iska roza rakhnay ka hukum dia to Sahaba R.A nay arz kia kay is din ki to Yahood o Nasara taazeem kartay hain to Nabi Alaihe Salam nay farmaya: Jab agla saal aaey ga to hum Insha-Allah (10 Muharrum kay sath sath Muharrum ki) nau (9) tareekh ka bhi roza rakhain gay (Muslim, H#2666, Kitab us Siyam, Baab: Aashora kay Din Roza Rakhna, Ravi: ibne Abbas R.A)

Wednesday 21 November 2012

Noha Karnay Ki Mumaniat

Mafhom e Hadees: Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallam nay frmaya: Noha karna jahiliyyat ka rawaj hai, noha karnay wali (aur noha karnay wala) agar tauba kiye baghair mar gaye to ALLAH unko taarkol ka libas aur dozakh kay sholon ka kurta pehnayain gay (Sunan ibne Maja, Kitab uL Janaiz, Hadees # 1581, Baab: Noha Karnay ki Mumana'at, Ravi: Hazrat Abo Malik Ashari Razi Allah Anho)

Tuesday 20 November 2012

Huqooq-ul-Ibad Ka Hukam Aur Unki Tarteeb

اور اللہ ہی کی عبادت کرو اور اس کے ساتھ کسی چیز کو شریک نہ بناؤ اور ماں باپ اور قرابت والوں اور یتیموں اور ناداروں اور رشتہ دار ہمسایوں اور اجنبی ہمسایوں اور پاس بیٹھنے والوں اور مسافروں اور جو لوگ تمہارے قبضے میں ہوں سب کے ساتھ حسن سلوک کرو بیشک اللہ تکبر کرنے والے بڑائی مارنے والے کو دوست نہیں رکھتا۔

Worship Allah, and do not associate with Him anything, and be good to parents and to kinsmen and orphans and the needy and the close neighbor and the distant neighbor and the companion at your side and the wayfarer and to those (slaves who are) owned by you. Surely, Allah does not like those who are arrogant, proud,

[Mafhom-e-Quran: Aur Allah hi ki ibadat karo aur uskay sath kisi chiz ko sharik na banao aur maan baap aur qarabat walon aur yatimon aur nadaron aur rishtaydar hamsayon aur ajnabi hamsayon aur paas bethnay walon aur musafiron aur jo log tumharay qabzay main hon sab kay sath husn-e-salook  karo beshak Allah takabur karnay walay aur barai maarnay walay ko dost nahi rakhta.]

(Surah # 4, An-Nisa, Ayah # 36)

Monday 19 November 2012

Noha Karna Mana Hai

Mafhom e Hadees: ALLAH kay Rasool SalLalLaho Alaihe Wasallam nay noha karnay say mana farmaya hai, ALLAH kay Rasool SalLalLaho Alaihe Wasallam nay noha karnay wali aur noha sunnay wali aurat (aur mard) pe lanat farmai hai (Abo Dawood, Kitab uL Janaiz, Baab: Noha karna, Hadees # 3100 aur 3101, Ravi: Umme Atiya aur Abo Saeed Khudri Razi Allah Unhuma)

Sunday 18 November 2012

Waldain Say Husn-e-Salook Ka Hukum

اور تمہارے پروردگار نے ارشاد فرمایا ہے کہ اسکے سوا کسی کی عبادت نہ کرو اور ماں باپ کے ساتھ بھلائی کرتے رہو اگر ان میں سے ایک یا دونوں تمہارے سامنے بڑھاپے کو پہنچ جائیں تو انکو اف تک نہ کہنا اور نہ انہیں جھڑکنا اور ان سے بات ادب کے ساتھ کرنا۔

Your Lord has decreed that you worship none but Him, and do good to parents. If any one of them or both of them reach old age, do not say to them: uff (a word or expression of anger or contempt) and do not scold them, and address them with respectful words,

[Mafhom-e-Quran: Aur tumharay parwardigar nay irshad farmaya hai kay uskay siwa kisi ki ibadat na karo aur maan baap kay sath bhalai kartay raho agar un main say aik ya donon tumharay samnay bhurhapay ko pohanch jaaen to unko uff tak na kehna aur na unhain jharakna aur un say baat adab kay sath karna.]

(Surah # 17, Al-Isra, Ayah # 23)

Friday 16 November 2012

Manaqib Umar Bin Khattab Razi Allah Unho

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: Main Jannat main dakhil hua to aik (1) sonay ka mehal dekha, main nay pocha kay yeh kis kay liye hai to bataya gaya kay Quraish kay aik nojawan kay liye hai, main samjha kay wo (Quraishi) main hi hun, pus main nay pocha wo kon hai ? Mujhe bataya gaya kay wo Umar Bin Khattab hain. (Tirmizi, Abwab uL Manaqib, Baab: Manaqib Umar Bin Khattab Razi Allah Unho, Hadees # 3831, Ravi: Anas Rz.A)

Wednesday 14 November 2012

Meethay Aur Kharay Pani Kay Daryaon Ka Sangam

اور وہی تو ہے جس نے دو دریاؤں کو ملا کر چلایا ایک کا پانی شیریں ہے پیاس بجھانے والا اور دوسرے کا کھاری کڑوا اور دونوں کے درمیان ایک پردہ اور مضبوط اوٹ بنا دی ہے۔

He is the One who joined the two seas, so as this is sweet, very sweet, and this is bitter, very bitter, and made between them a buffer and an insurmountable barrier.

[Mafhom-e-Quran: Aur wohi to hai jis nay do daryaon ko mila kar chalaya aik ka pani shireen hai piyas bujhany wala aur dosray ka khari karwa aur donon kay darmiyan aik parda aur mazboot oatt bana di hai.]

(Surah # 25, Al-Furqan, Ayah # 53)

Tuesday 13 November 2012

Aik Hadees Main Hazrat Ayesha Razi Allah Unha Apna Aqeeda Bayan Farmati Hain

Mafhom e Hadees: Jo tum main say yeh kahay kay Mohammad SalLalLaho Alaihe Wasallam kal ki baat ko jantay hain to us nay jhoot bola, phir Ayesha Razi Allah Unha nay Quran ki ye ayat parhi tarjuma: Aur koi nahi janta kay wo kal kia karay ga (Surah Luqman, Ayat #34) (Bukhari, Hadees # 4855, Kitab ut Tafseer, Baab: Surah Najam ki Tafseer)

SEE MORE: Allah Sab Kuch Jannay Wala Khabardar Hai

Monday 12 November 2012

Manaqib e Usman bin Affan Razi Allah Unho

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam kay paas aik (1) janaza laya gaya to Aap SalLalLaho Alaihe Wasallam nay uski namaz e janaza nahi parhai, jab waja pochi gai to Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: yeh Usman (Razi Allah Unho) say bughz rakhta tha, lehaza Allah bhi is shakhs say naraz hai (Tirmizi, Hadees # 3852, Abwab uL Manaqib, Baab: Manaqib E Usman Bin Affan Razi Allah Unho, Ravi: Jabir Razi Allah Unho)

Har Cheez Allah Kay Pass Likhi Hui Hai

اور جو باتیں انکے سینوں میں پوشیدہ ہوتی ہیں اور جو کام وہ ظاہر کرتے ہیں تمہارا پروردگار ان سب کو جانتا ہے۔ اور آسمانوں اور زمین میں کوئی پوشیدہ چیز نہیں ہے مگر یہ کہ وہ ایک کتاب روشن میں لکھی ہوئی ہے۔

Of course, your Lord knows for sure what their hearts conceal and what they reveal. There is nothing hidden in the heavens and the earth that is not (recorded) in a manifest book.

[Mafhom-e-Quran: Aur jo baten unkay seenon main poshida hoti hain aur jo kaam wo zahir kartay hain tumhara parwarddigar un sab ko janta hai. Aur aasmano aur zameen main koi poshida cheez nahi hai magar yeh kay wo aik kitab roshan main likhi hui hai.]

(Surah # 27, An-Naml, Ayah # 74-75)

Tuesday 6 November 2012

Ahle Jannat Ka Ahle Dozakh Say Sawal

نیک لوگ) جنتوں میں ہوں گے اور پوچھتے ہوں گے۔ یعنی آگ میں جلنے والے گنہگاروں سے۔ کہ تم دوزخ میں کیوں پڑے؟ وہ جواب دیں گے کہ ہم نمازیوں میں شامل نہ ہوئے۔ اور نہ ہم فقیروں کو کھانا کھلاتے تھے۔ اور ہم بحث کرنیوالوں کے ساتھ مل کر بحث کرتے تھے۔ اور روز جزا کو جھٹلاتے تھے۔

(those who will be given their Book of Deeds in their right hands) who will be in gardens, asking about the guilty persons, “What has brought you to Saqar? (Hell)” They will say, “We were not among those who offered Salāh , (obligatory prayer) and we did not give food to the needy, and we indulged (in mocking at the truth) along with those who indulged, and we used to deny the Day of Requital,

[Mafhom-e-Quran: (Naik log) Jannaton main  hon gay aur pochtay hon gay. Yani aag main jalnay walay gunhegaron say. Kay tum dozakh main kyon pary? Wo jawab dengay kay hum namzion main shamil na hue. Aur na hum faqeeron ko khana khilatay thy. Aur hum behas karnewalon kay sath mil kar behas kartay thy. Aur roz-e-jaza ko jhuttlatay thy.]

(Surah # 74, Al-Muddathir, Ayah # 40 - 46)

Munafiqeen Hi Bewaqoof Hain


اور جب ان سے کہا جاتا ہے کہ جس طرح اور لوگ ایمان لے آئے تم بھی ایمان لے آؤ تو کہتے ہیں بھلا جس طرح بیوقوف ایمان لے آئے ہیں اسی طرح ہم بھی ایمان لے آئیں؟ سن لو کہ یہی بیوقوف ہیں لیکن نہیں جانتے۔

And when it is said to them, “Believe as people have believed,” they say, “Shall we believe as the fools have believed?” Beware, it is, in fact, they who are the fools, but they do not know.

[Mafhom-e-Quran: Aur jab un say kaha jata hai kay jis tarhan aur log eeman lay aay tum bhi eeman lay aao to kehte hain bhala jis tarhan bewaqoof eeman lay aay hain usi tarhan hum bhi eeman lay aaen? sun lo kay yehi bewaqoof hain lekin nahi jante.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 13)

Sunday 4 November 2012

Usman Bin Affan Razi Allah Unho Jannat Main Huzor SalLalLaho Alaihe Wasallam Kay Sathi Hongay

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Jannat main har Nabi ka aik (1) sathi hoga aur Jannat main mera sathi Usman Bin Affan Hoga (Ibne Maja, Hadees # 109, Kitab us Sunnat, Baab: Usman Bin Affan Razi Allah Unho k Fazail, Ravi: Abo Horaira Razi Allah Unho)

Hazrat Usman Razi Allah Unho 35 Hijri main 18 Zilhajja ko Juma kay din shaheed hue (Al Bidaya Wan Nihaya, Jild 7, Page 190, Publisher: Darul Fikar Bairoot)

Most Viewed in 7 Days