بسم الله الرحمن الرحيم

Thursday, 29 March 2012

April Fool ki Haqiqat

<1> Mafhom e Hadees: Jhot se Bachtay Rehna, Beshak Jhot Burrai ki taraf lay jata hay aur Burrai Jahannum ki taraf lay jaye Gi, BeShak Insan Jhot Bolta Rehta hay aur Eska Aadi ho Jata hay to ALLAH kay haan Bohat Jhota Likh Dia Jata hay (Abbo Dawood, Hadees#4989, Darja: Sahi, Kitab uL Addab, Baab: Jhot Bolnay ki Muzammat, Ravi: Abdullah Bin Masood R.A)

<2> April Fool Bohat se Kabira Gunahon ka Majmoa hay, Jhot ko Agar Gunah Samajh kay Bola Jaye to Jhot Bolna Gunah e Kabira hay (Muslim, Hadees #260, Kitab uL Eemaan, Baab: Biyan Nil Kabair wa Akbariha, Ravi: Anas Rz.A)

1st April ko Jaiz Samajh k Jhot bola Jata hay, Agar Jhot ko Halal aur Jaiz Samajh kar Bola Jaye to Andesha e Kufar hay (Sharrah Fiqa e Akbar, Page #186, Published From Dehli)

<3> Jhot Bolnay ki Burrai aur Muzammat kay Liye Yehi Kafi hay kay Quran main hay: Jhot Bolnay Walon par ALLAH ki Lanat. (Surah Aal-e-Imran, Ayat # 61, Para # 3)

Sabit howa kay Jo Log Jhot Bol kar "April Fool" Manatay hain Wo Quran main Maloon Thehraye Gaye hain, Jab April Fool Bahot se Kabira Gunahon ka Majmoa hay to Hamain Es se Khud bhi Bachna Chahiye aur Apne Doston ko bhi Samjhana Chahiye.

<4> Mafhom e Hadees: Kharabi hay us Shaks kay Liye Jo Es Maqsad kay Liye Jhoti Baat karay kay Es kay Zarriye Logon ko Hansaye, Kharabi hay us kay Liye, Kharabi hay us kay Liye (Tirmazi, Hadees #2405, Darja: Hassan, Kitab uz Zohad, Baab: Jo Shaks Logon ko Hansanay Kay Liye koi Baat Karay, Ravi: Abbo Horaira R.A)

<5> Mafhom e Hadees: Bohat Bari Khayanat Yeh hay kay Tum Apne Bhai se Aik Baat kaho aur Wo Tumhain Es Baat main Sacha Samajh raha ho Halan k Tum Os se Jhot bol rahay ho. (Abbo Dawood, Hadees # 4971, Kitab uL Addab, Baab: Maani Khaiz Baat Karna, Ravi: Hazrat Sufyan Bin Osaid Hazrmi Razi Allah Unho)

<6> Mafhome Hadees: Jis ne Jis Qaum kay sath Mushabehat ikhtiyar ki to Wo (Qayamat kay din) unhi mai se hoga (Abbo Dawood, Hadees #4031, Kitab uL Libas, Baab: Shuhrat kay liye Libas Pehinna, Ravi: ibne Umar R.A)

April Fool Mananay Wala Kafron ki Mushabehat Karta hay, Ayse Logon kay Baray Andesha hay kay Qayamat kay Din Kafron ki Saf mai Uthaye Jain, ALLAH hamain Quran o Sunnat Pe Ammal karnay wala Banaye (Aameen)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

No comments:

Post a Comment

Most Viewed in 7 Days