بسم الله الرحمن الرحيم

Saturday, 26 January 2013

Salam Kay Aadab

اور جب تم کو کوئی دعا دے تو جواب میں تم اس سے بہتر کلمے سے اسے دعا دو یا انہیں لفظوں سے دعا دو۔ بیشک اللہ ہر چیز کا حساب لینے والا ہے۔

When you are greeted with a salutation, greet with one better than it, or return the same. Surely, Allah is the One who takes account of everything.

[Mafhom-e-Quran: Aur jab tum ko koi dua day tou jawab main tum us say behtar kalmay say usay dua do ya unhi lafzon say dua do. beshak Allah har cheez ka hisab lenay wala hai. ]

(Surah # 4, An-Nisa (The Woman), Ayah # 86)

Thursday, 24 January 2013

Dunya Ka Lalach Na Karo

Mafhom e Hadees: Aik (1) admi nay pocha kay mujhe aesa amal batain kay jab main wo karon tou Allah bhi mujh say muhabbat karay aur log bhi mujh say muhabbat karain, Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Dunia ka lalach na kar Allah tujh say muhabbat karay ga aur jo logon kay pas hai uska lalach na kar log bhi tujh say muhabbat karain gay (ibne Maja, Hadees 4102, Kitab uz Zohad, Baab: Dunia se Bay Raghbati, Ravi: Sahal Bin Saad Rz.A)

Wednesday, 23 January 2013

Deen Main Bidat Gumrahi Hai

Mafhom e Hadees: Beshak sab say sachi kitab Allah ki kitab hai, sab say behtareen tariqa Mohammad Sallallahu Alaihe Wasallam ka tariqa hai, sab kaamon say bura wo hai jis ko (Deen main) naya nikala gaya ho, aur har nai cheez bid'at hai, har bidat gumrahi hai aur har gumrahi jahannum main lay jaye gi (Nasai, Hadees 1581, Darja: Sahi, Kitab us Salaat uL Eedain, Baab: Khutba Kese Parha Jaey, Ravi: Jabir Bin Abdullah Rz.A)

Tuesday, 22 January 2013

Allah Kay Siwa Koi Kaam Aanay Wala Nahi


اللہ ہی ہے جسکے لئے آسمانوں اور زمین کی بادشاہت ہے وہی زندگانی بخشتا وہی موت دیتا ہے اور اللہ کے سوا تمہارا کوئی دوست اور مددگار نہیں ہے۔

Surely, to Allah alone belongs the kingdom of the heavens and the earth. He gives life and brings death. And, other than Allah, you have neither a supporter, nor a helper.

[Mafhom-e-Quran: Beshak Allah hi kay liye hai badshahi aasmano ki aur zameen ki - wohi zindagi ata karta hai aur marta hai aur nahi hai tumhara Allah kay siwa koi haami aur na koi madadgar <>]

(Surah # 9, At-Taubah (Repentance), Ayah # 116)

Sunday, 20 January 2013

Tijarat Main Ghalu Mana Hai

Mafhom e Hadees: Jaidad (tijarat khayti wagera) ko itna lazim na jano kay wo dunya ki taraf raghbat ka sabab ban jae. (Tirmazi, Kitab: Parhezgari ka bayan, Baab: Dunya main takaleef aur dunya ki muhabbat, Page: 313, Juz:8, Maktaba: Shamla)

Thursday, 17 January 2013

Sachi Gawahi Ki Takeed

اے ایمان والو! انصاف پر قائم رہو اور اللہ کے لئے سچّی گواہی دو خواہ یہ تمہارے اپنے خلاف یا تمہارے ماں باپ اور رشتہ داروں کے خلاف ہی ہو۔ اگر کوئی امیر ہے یا فقیر تو اللہ ان دونوں کا زیادہ خیرخواہ ہے۔ پس تم خواہش نفس کے پیچھے چل کر عدل کو نہ چھوڑ دینا۔ اگر تم لگی لپٹی بات کہو گے یا سچائی سے پہلوتہی کرو گے تو جان رکھو اللہ تمہارے سب کاموں سے واقف ہے۔

O you who believe, be upholders of justice - witnesses for Allah, even though against (the interest of) your selves or the parents, and the kinsmen. One may be rich or poor, Allah is better caretaker of both. So do not follow desires, lest you should swerve. If you twist or avoid (the evidence), then, Allah is all-aware of what you do.

[Mafhom-e-Quran: Aay Logo jo eeman laey ho, bano alambardar insaaf kay, gawahi denay walay Allah kay liye agarcha ho (yeh gawahi) khilaf tumhari apni zaat kay ya waldain aur rishtadaron kay, khuwah ho koi maaldar ya ghareeb behar hal Allah hai tum say ziyada khair khowah unka - pas mat perwi karo tum khuwahishaat e nafs ki adal na karnay main aur agar ghuma phira kar baat karo gay (gawahi main) ya guraiz karo gay to beshak Allah hai tumhary aamal say pori tarhan bakhabar]

(Surah # 4, An-Nisa (The Woman), Ayah # 135)

Monday, 14 January 2013

Bidaat ka Bayan

Mafhom e Hadees: Hazrat ibne Umar Razi Allah Unhoma kay paas aik (1) admi aaya, us (admi) nay kaha kay "Falan admi aap ko Salam kehta hai", Ibne Umar Razi Allah Unhoma nay kaha "Mujhay yeh khabar pohanchi hai kay us nay Bidat nikali hai, agar waqai us nay Bidat nikali hai to usko mera Salam na kehna (Sunan Darmi, Hadees # 407, Darja: Sahi, Baab: Khwahishaat, Bid'aat aur Jhagra Karnay se Parhaiz Karna, Ravi: Nafay Rematullah Alaih)

Most Viewed in 7 Days