بسم الله الرحمن الرحيم

Wednesday, 17 July 2013

Sab Say Afzal Amal Eeman Billah Aur Jihad Hai

کیا تم نے حاجیوں کو پانی پلانا اور مسجد حرام یعنی خانہ کعبہ کو آباد کرنا اس شخص کے اعمال جیسا خیال کیا ہے۔ جو اللہ اور روز آخر پر ایمان رکھتا ہے اور اللہ کی راہ میں جہاد کرتا ہے؟ یہ لوگ اللہ کے نزدیک برابر نہیں ہیں۔ اور اللہ ظالم لوگوں کو ہدایت نہیں دیا کرتا۔

Have you taken the serving of water to the pilgrims and the maintenance of Al-Masjid-ul-Harām as equal to (the acts) of one who believes in Allah and in the Last Day, and carries out Jihād in the way of Allah? They are not equal in the sight of Allah. Allah does not lead the wrongdoing people to the right path.

[Mafhom-e-Quran: Kiya tum nay hajion ko paani pilana aur masjid haram yani khana kaba ko aabad karna is shakhs kay aamal jesa khyal kiya hai. Jo Allah aur roz aakhir par eeman rakhta hai aur Allah ki rah main jihad karta hai? Yeh log Allah kay nazdeek barabar nahi hain. Aur Allah zalim logon ko hidayat nahi diya karta.]

(Surah # 9, At-Taubah (Repentance), Ayah # 19)

Friday, 12 July 2013

Masajid Ko Kon Log Aabad Kartay Hain?

اللہ کی مسجدوں کو تو وہ لوگ آباد کرتے ہیں جو اللہ پر اور روز قیامت پر ایمان لاتے اور نماز پڑھتے اور زکوٰۃ دیتے ہیں اور اللہ کے سوا کسی سے نہیں ڈرتے یہی لوگ امید ہے کہ ہدایت یافتہ لوگوں میں سے ہوں۔

In fact, the mosques of Allah are built-up only by those who believe in Allah and the Last Day and those who establish Salāh and pay Zakāh and who fear none but Allah. So, it is hoped that they are to be among those on the right path.

[Mafhom-e-Quran: Allah ki masjidon ko tou wo log aabad kartay hain jo Allah par aur roz-e-qayamat par eeman latay aur namaz parhtay aur zakat detay hain aur Allah kay siwa kisi say nahi dartay yehi log umeed hai kay hidayat yaftah logon main say hon.]

(Surah # 9, At-Taubah (Repentance), Ayah # 18)

Monday, 24 June 2013

Bandon Kay Aamal Har Roz Allah Ki Bargah Main Paish Kiye Jatay Hain

Mafhom e Hadees: Raat kay aamal din say pehlay aur din kay aamal raat say pehlay Allah ki Bargah main paish kar diye jatay hain. (Muslim, Hadees 447, Kitab uL Eeman, Baab: Nabi Alaihe Salam kay Iss Farman kay Baray main kay ALLAH sota nahi....., Ravi: Hazrat Abo Mosa Al Ash'ari Razi ALLAH Anho)

Bandon Kay Aamal Peer Aur Jumarat Kay Din Bhi Paish Hotay Hain

Mafhome Hadees: Peer (Monday) aur Jumarat (Thursday) ko bandon kay aamal Allah kay huzoor main paish kiye jatay hain. (Tirmizi, Hadees 747, Darja: Sahi, Kitab us Soum, Baab: Peer aur Jumairat ka Roza Rakhna, Ravi: Abo Horaira Razi ALLAH Anho)

(Allah ki Bargah main aamal sirf 15 shaban ko ya aur kisi khas raat main paish nahi hotay bal kay har peer aur jumarat kay din ko bhi pesh hotay hain.)

Sunday, 23 June 2013

Shaban Kay Mahinay Main Aamal Paish Kiye Jatay Hain

Mafhom e Hadees: Yeh shaban ka mahina hai, Log iski fazilat say ghafil hain, is mahinay main Allah kay Darbar main logon kay aamal paish kiye jatay hain.
(Nasai, Hadees 2357, Darja: Hasan, Kitab us Siyam, Baab: Nabi Alaihe Salam ka Roza, Ravi: Osama Bin Zaid Razi Allah Unho)


Read More >> Bandon Kay Aamal Har Roz Allah Ki Bargah Main Paish Kiye Jatay Hain

Read More >> Bandon Kay Aamal Peer Aur Jumarat Kay Din Bhi Paish Hotay Hain


(Har roz aur shaban main ALLAH kay Darbar main logon kay aamal paish hotay hain lekin Nama e Aamal kisi raat tabdeel nahi hota.)

Sunday, 2 June 2013

Moat Yaqeeni Hai

اے جہاد سے ڈرنے والو تم کہیں رہو موت تو تمہیں آ کر رہے گی خواہ مضبوط قلعوں میں رہو۔

Wherever you will be, Death will overtake you, even though you are in fortified castles.” 

[Mafhom-e-Quran: ]

(Surh # 4, An-Nisa (The Woman), Ayah # 78)

Thursday, 30 May 2013

Rozi Kamanay Main Miana Ravi Ikhtiyar Karna Chahiye

Mafhom e Hadees: Aay logo...! Allah say daro aur rozi kamanay main darmiana ravi ikhtiyar karo kyun kay koi insan apna rizq pora kiye baghair nahi maray ga, agarchay us main dair ho jaye, is liye Allah say daro aur achay tariqay say rozi hasil karo, jo halal hai wo lay lou jo haram hai wo chhor dou. (Ibne Maja, Hadees 2144, Abwab ut Tijarat, Baab: Rozi Kamanay main Miana'Ravi ikhtiyar karna, Ravi: Jabir Rz.A)

Most Viewed in 7 Days