بسم الله الرحمن الرحيم

Wednesday, 31 October 2012

Rizq ka Ahtraam karna Chahiye

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam ghar tashreef laey to roti ka aik (1) tukra gira hua dekha, Aap SalLalLaho Alaihe Wasallam nay usay uthaya, saaf kar kay kha liya aur farmaya: aay Ayesha..! izzat walay (rizq) ka ahtraam karo, kyun kay ye jis qoum say chala jata hai to dobara un kay pas wapis nahi aata (Sunan ibne Maja, Hadees #3353, Kitab uL At'ema, Baab: Khana Phainknay ki Mumana'at, Ravi: Ayesha Razi Allah Anha)

Tuesday, 30 October 2012

Huzoor Sallallaho Alaihe Wasallam ka Mazaq Uranay par Allah ka Farman

پس جو حکم تم کو اللہ کی طرف سے ملا ہے وہ لوگوں کو بے دھڑک سنا دو اور مشرکوں کا ذرا خیال نہ کرو۔ ہم تمہیں ان لوگوں کے شر سے بچانے کے لئے کافی ہیں جو تم سے ہنسی کرتے ہیں۔

Now, proclaim what you are commanded to, and turn away from those who ascribe partners to Allah. Surely, We are sufficient for you against those who deride,


[Mafhom-e-Quran: Pas jo hukum tum ko Allah ki taraf say mila hai wo logon ko bay dharak suna do aur mushrikon ka zara khyal na karo. Hum tumhen in logon kay shar say bachanay kay liye kafi hain jo tum say hansi kartay hain.]

(Surah # 15, Al-Hijr, Ayah # 94-95)

Thursday, 25 October 2012

Yom-e-Arfa kay Roza ki Fazeelat

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam say Arfa (9 ZiL-Hajja) kay rozay ka pocha gaya to farmaya: Yeh (roza) pichlay aik (1) saal aur aik saal aagay aanay walay gunahon ka kaffara hai (Muslim, Hadees #2747, Kitab us Siyam, Baab: Har Mahinay main 3 Rozon ki, Yom e Arfa, Aashora, Peer aur Jumarat kay Rozon ki Fazilat, Ravi: Abo Qatada Rz.A)

Wednesday, 24 October 2012

Aik (1) say 9 Zil Hajj tak Nafli Rozay Rakhna

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam mah e zil-hajja main (1 se 9 zil-hajja tak) 9 (nafli) rozay rakhtay thay (Nasai, Hadees #2421, Kitab us Siyam, Baab: Har Mah main 3 Rozay kis Tarhan rakhay jain)

Tuesday, 23 October 2012

Sab Ki Rozi Aasmaan Walay Kay Hath Main Hai

اور تمہارا رزق اور جس چیز کا تم سے وعدہ کیا جاتا ہے آسمان میں ہے۔ تو آسمان اور زمین کے مالک کی قسم یہ اسی طرح قابل یقین ہے جس طرح تم بات کرتے ہو۔

And in the heavens, there is your sustenance and all that you have been promised. So, by the Lord of the heavens and the earth, it (the Day of Recompense) is a reality, as sure as the fact that you (can) speak.

[Mafhom-e-Quran: Aur tumhara rizq aur jis chiz ka tum say wada kiya jata hai aasmaan main hai. To aasmaan aur zameen kay malik ki qasam ye isi tarhan qabil-e-yaqin hai jis tarhan tum baat kartay ho.]

(Surah # 51, Adh-Dhariyat, Ayah # 22-23)

Monday, 22 October 2012

Hajjion ko Maidan e Arafat main 9 ZiL-Hajja kay Din Roza nahi Rakhna Chahiye


Mafhom e Hadees: Ibne Umar Rz.A frmatay hain kay mene Nabi Alaihe Salam, Abo Bakar, Umar aur Usman Razi Allah Anhum kay sath Hajj kia, in main say kisi nay bhi is din ka roza nahi rakha (Tirmizi, Hadees #730, Kitab us Soum, Baab: Maidan e Arafat mai Arfa ka Roza Rakhna Makrooh hay)

Sunday, 21 October 2012

ILM KA BAYAN

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: jis shakhs ko is haal main moat aaey kay wo ilm hasil kar raha ho ta kay is kay zariye islam ko zinda karay to us kay aur Ambiya kay darmayan jannat main sirf aik darjah ka farq ho ga (Mishkat, Hadees # 231, Kitab uL Eemaan, Baab: ilm ka bayan, Fasal #3, Ravi: Hasan Basri Rahimahullah)

Most Viewed in 7 Days