بسم الله الرحمن الرحيم

Tuesday, 31 January 2012

Islam Ki Buniyaad 5 Cheezon Par Rakhi Gai Hai

Mafhom e Hadees: Islam ki buniyad panch (5) cheezon par qaim ki gai hai,
1) Is baat ki Gawahi dena kay ALLAH kay siwa koi Mabood nahi aur beshak Mohammad Alaih Salam, ALLAH kay RASOOL hain.
2) Namaz Qaim karna,
3) Zakaat adda karna, 
4) Hajj karna, 
5) Ramzan kay rozay rakhna, 
(Bukhari, Hadees # 8, Kitab uL Eemaan, Ravi: Abdullah Bin Umar Razi ALLAH unho, Baab: Islam ki Buniyaad 5 Cheezon par Rakhi gai Hai)


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi

Mafhome Hadees: Meri SUNNAT aor Mere Hidayat Yafta Khulfa a Rashideen (Abbo Bakar, Umar, Usman aor Ali R.A) ki SUNNAT ko lazim pakro aor es par qaim raho aor esko dantoun se Mazboot pakray raho, aor tum deen mai nai nai batain paida karne se bacho, es liye k har nai bat biddat hay, aor har biddat gumrahi hay (Ibne Maja, Hadees #42, Kitab uL Sunnat, Baab:Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi, Ravi:Irbaz Bin Sariya R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Hamesha Achi Baat Moun Se Nikalain

Hamesha Boltay waqat Apni Zaban se achay ilfaz nikalain, Gaali, Jhot, Chugli aor Gheebat se parhaiz karain, Gaali dena, Chugli lagana, Gheebat karna aor Jhot bolna kabira Gunah hain, In Gunahon ki Waja se Fasad phailta hay.

Quran: Mere Bandon se keh dain k Wo Bahot he achi baat moun se nikalain, Q k Shaitaan Aapas mai Fasad Dalwata hay, Beshak Shaitaan insan ka Khula Dushman hay (Surah Bani Israil, Ayat #53, Para #15)


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

1 Darood bhejnay par ALLAH ki 10 Rehmatain

Mafhom e Hadees: Jo Mujh par 1 Martaba Darood bhejay ga to ALLAH os par Apni 10 rehmatain Nazil farmaye ga. (Muslim, Hadees # 912, Kitab uL Salaat, Baab: Tashhad k Waqat Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam par Darood Bhejnay k Ehkaam, Ravi: Abbo Horaira Razi Allah Unho)

Agar Aap Zindagi mai Sakoon aor har Pareshani se Nijaat chahtay hain to Kasrat se Pak Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam par Darood Shareef Bejha karain...!

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Takbeer e Oola ki Fazilat

Baab: "Takbeer e Oola ki Fazilat"
Mafhome Hadees: Jis ne 40 Din tak Takbeer e Oola k sath Khalis ALLAH ki Raza k liye Bajamaat Namaz parhi, Oski 2 cheezon se Nijaat likh di jati hay, 1) Jahannum se Nijaat, 2) Nifaq se Nijaat (Tirmazi, Abwab us Salaat, Hadees # 229, Ravi: Anas Rz.A)


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Sunday, 29 January 2012

Quran main se aik Harf Parhnay ka Sawab

Mafhom e Hadees: Jo shaks Quran ka aik harf parhay, us kay liye aik (1) harf kay badlay aik naiki hai, Aur aik naiki ka Sawab 10 nekion kay barabar milta hai, Main ye nahi kehta kay ALIF LAAM MEEM aik harf hai, balkay ALIF aik harf, LAAM aik harf aur MEEM aik harf hai (yani ye teen haroof howay, is par 30 naikiyan milain gi) (Tirmazi, Hadees#3030, Abwabo Fazail e Quran, Ravi:Abdullah Bin Abbas Razi Allah Unho, Baab: "Quran mai se 1 Harf Parhnay ka sawab")

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Khatim uL Nabiyeen

Hadees: Meri aor Muj se Pehle k Ambia ki Misal Aysi hay jese 1 Shaks ne 1 Ghar banaya aor es mai Har Tarha ki Zinat Peda ki, Lekin 1 Konay mai 1 Eent Reh Gai,Ab Sab Log atay hain aor Makan ko 4aron taraf se dekh k Taajjub mai pr jatay hen, Lekin ye b Kehtay hen Yahan pr 1 Eent Q na rakhi gai? To Mai (Mohammad) he wo Eent hon Aor Mai Saray Ambiya ma Akhri hon (Bukhari, H#3535, Kitab uL Munaqib, Baab:Khatim uL Nabiyeen)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days