بسم الله الرحمن الرحيم

Monday, 24 June 2013

Bandon Kay Aamal Har Roz Allah Ki Bargah Main Paish Kiye Jatay Hain

Mafhom e Hadees: Raat kay aamal din say pehlay aur din kay aamal raat say pehlay Allah ki Bargah main paish kar diye jatay hain. (Muslim, Hadees 447, Kitab uL Eeman, Baab: Nabi Alaihe Salam kay Iss Farman kay Baray main kay ALLAH sota nahi....., Ravi: Hazrat Abo Mosa Al Ash'ari Razi ALLAH Anho)

Bandon Kay Aamal Peer Aur Jumarat Kay Din Bhi Paish Hotay Hain

Mafhome Hadees: Peer (Monday) aur Jumarat (Thursday) ko bandon kay aamal Allah kay huzoor main paish kiye jatay hain. (Tirmizi, Hadees 747, Darja: Sahi, Kitab us Soum, Baab: Peer aur Jumairat ka Roza Rakhna, Ravi: Abo Horaira Razi ALLAH Anho)

(Allah ki Bargah main aamal sirf 15 shaban ko ya aur kisi khas raat main paish nahi hotay bal kay har peer aur jumarat kay din ko bhi pesh hotay hain.)

Sunday, 23 June 2013

Shaban Kay Mahinay Main Aamal Paish Kiye Jatay Hain

Mafhom e Hadees: Yeh shaban ka mahina hai, Log iski fazilat say ghafil hain, is mahinay main Allah kay Darbar main logon kay aamal paish kiye jatay hain.
(Nasai, Hadees 2357, Darja: Hasan, Kitab us Siyam, Baab: Nabi Alaihe Salam ka Roza, Ravi: Osama Bin Zaid Razi Allah Unho)


Read More >> Bandon Kay Aamal Har Roz Allah Ki Bargah Main Paish Kiye Jatay Hain

Read More >> Bandon Kay Aamal Peer Aur Jumarat Kay Din Bhi Paish Hotay Hain


(Har roz aur shaban main ALLAH kay Darbar main logon kay aamal paish hotay hain lekin Nama e Aamal kisi raat tabdeel nahi hota.)

Sunday, 2 June 2013

Moat Yaqeeni Hai

اے جہاد سے ڈرنے والو تم کہیں رہو موت تو تمہیں آ کر رہے گی خواہ مضبوط قلعوں میں رہو۔

Wherever you will be, Death will overtake you, even though you are in fortified castles.” 

[Mafhom-e-Quran: ]

(Surh # 4, An-Nisa (The Woman), Ayah # 78)

Thursday, 30 May 2013

Rozi Kamanay Main Miana Ravi Ikhtiyar Karna Chahiye

Mafhom e Hadees: Aay logo...! Allah say daro aur rozi kamanay main darmiana ravi ikhtiyar karo kyun kay koi insan apna rizq pora kiye baghair nahi maray ga, agarchay us main dair ho jaye, is liye Allah say daro aur achay tariqay say rozi hasil karo, jo halal hai wo lay lou jo haram hai wo chhor dou. (Ibne Maja, Hadees 2144, Abwab ut Tijarat, Baab: Rozi Kamanay main Miana'Ravi ikhtiyar karna, Ravi: Jabir Rz.A)

Tuesday, 21 May 2013

Taanay, Bura Bhala, Chugal Khori aur Gali Denay Walon Par Lanat Ki Gai Hai

Mafhom e Hadees: Taanay denay walon, bura bhala kehnay (gali denay) walon, logon kay aeb nikalnay walon, chughal khori karnay aur pakbaz auraton kay sath zina karnay walon per lanat ki gai hai, Allah inhain (qiyamat kay din) kuttay ki shakal main jama karay ga. (Attargheeb Wattarheeb, Jild 3, Page 325, Kitab uL Adab, Hadees 4277, Unwan: Chugal Khori se Darana, Ravi: Ala Bin Haris Rz.A, Nashir: Darul Kutub Al ilmia, Bairoot)

Thursday, 2 May 2013

Quran Kareem Shifa Aur Rehmat Hai

اور ہم قرآن میں وہ چیز نازل کرتے ہیں جو مومنوں کے لئے شفا اور رحمت ہے اور ظالموں کے حق میں تو اس سے نقصان ہی بڑھتا ہے۔

We reveal the Qur’ān, which is cure and mercy for the believers; and it adds nothing to the unjust but loss.

[Mafhom-e-Quraan: Aur hum Quran main wo cheez nazil kartay hain jo mominon kay liye shifa aur rehmat hai aur zalimon kay haq main tou is say nuqsan hi barrhta hai.]

(Surah # 17, Al-Isra (The Night Journey), Ayah # 82)

Most Viewed in 7 Days