بسم الله الرحمن الرحيم

Sunday, 13 January 2013

Hazrat Suleman Alayhi s-Salam Ki Dua

اے پروردگار مجھے توفیق عنایت کر کہ جو احسان تو نے مجھ پر اور میرے ماں باپ پر کئے ہیں ان کا شکر کروں اور ایسے نیک کام کروں کہ تو ان سے خوش ہو جائے اور مجھے اپنی رحمت سے اپنے نیک بندوں میں داخل فرما۔

“My Lord, enable me to become grateful to Your favor that you have bestowed on me and on my parents, and to do good deeds that You like, and admit me, with Your mercy, among Your righteous servants.”

[Mafhom-e-Quran: Aay meray malik! mujhay taufeeq ata farma kay main shukar ada karta rahun teray un ahsaanat ka jo tu nay kiye hain mujh par aur meray waldain par aur yeh kay main karta rahun aesay naik amal jo tujhay pasand hon aur dakhil farma tu mujhay apni rehmat say apnay saleh bandon main <>]

(Surah # 27, An-Naml (The Ant), Ayah # 19)

Friday, 11 January 2013

Apnay Haath Say Kamanay Ka Bayan

Mafhoome Hadees: Apnay haath ki kamai say behtar khana kisi nay nahi kamaya aur Allah kay Nabi Dawood Alaihe Salaam apnay haath ki kamai say khaatay thy. (Maktaba: Shamla, Sahi Bukhari, Kitab: Al Buyoon, Baab: Apnay Haath say Kamaenay Ka Bayan, Ravi: Miqdam Razia allaho ta'ala anho, Page#235, Juz#7)

Thursday, 10 January 2013

Aurton Kay Parday Ka Hukum

اے پیغمبر اپنی بیویوں اور بیٹیوں اور مسلمانوں کی عورتوں سے کہدو کہ باہر نکلا کریں تو اپنے چہروں پر چادر لٹکا کر گھونگھٹ نکال لیا کریں۔ یہ چیز انکے لئے موجب شناخت و امتیاز ہو گی تو کوئی انکو ایذا نہ دے گا۔ اور اللہ بخشنے والا ہے مہربان ہے۔

O prophet, tell your wives and your daughters and the women of the believers that they should draw down their shawls over them. That will make it more likely that they are recognized, hence not teased. And Allah is Most-Forgiving, Very-Merciful.

[Mafhom-e-Quran: Aay Nabi kaho! apni biwion say aur apni baytion say aur ahl-e-emaan ki aurton say kay wo latka lia karain apnay ooper apni chadar kay pallu - yeh ziyada munasib tareeqa hai taakay wo pehchan li jain aur na satai jaen aur hai Allah muaaf karnay wala aur reham farmanay wala <>]

(Surah # 33, Al-Ahzab (The Coalition), Ayah # 59)

Wednesday, 9 January 2013

Ahle Bidat Ko Touba Naseeb Nahi Hoti

Mafhome Hadees: Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Har Bidati shakhs say Allah nay touba ko rok liya hai (Hadees ki Kitab: Shoub uL Eeman, Hadees 9456, Eeman ka 66wan Shouba, Ravi: Hazrat Anas Razi Allah Unho)

Monday, 7 January 2013

Nazool-e-Quran Allah Ki Bari Nemat Hai

یہ کتاب رحمٰن و رحیم کی طرف سے اتری ہے۔ ایسی کتاب جسکی آیتیں جدا جدا بیان کی گئ ہیں یعنی قرآن عربی ان لوگوں کے لئے جو سمجھ رکھتے ہیں۔ جو بشارت بھی سناتا ہے اور خوف بھی دلاتا ہے لیکن ان میں سے اکثر نے منہ پھیر لیا اور وہ سنتے ہی نہیں۔

This is a revelation from the All-Merciful, the Very-Merciful- a book whose verses are elaborated in the form of an Arabic Qur’ān for a people who understand, as a bearer of good news and warning. Yet most of them turned away, so they do not listen.

[Mafhom-e-Quran: Nazil ki ja rahi hai Rehman o Raheem ki taraf say <> Aik aesi kitab, khol khol kar bayan kiye gaye hain jis main ehkaam - Quran-e-Arbi - un logon kay liye jo ilm rakhtay hain <>  (yeh) Basharat denay wala aur mutnabba karnay wala hai. phir bhi munh morh lia un main say aksar logon nay aur wo sun kar nahi detay <>]

(Surah # 41, Fussilat / Hā Mīm As-Sajda, Ayah # 2-4)

Thursday, 3 January 2013

Hazrat Zakariya Alaihe Salam Ki Dua

اور کہا کہ اے میرے پروردگار میری ہڈیاں بڑھاپے کے سبب کمزور ہو گئ ہیں اور سر سفید بالوں کیوجہ سے چمکنے لگا ہے اور اے میرے پروردگار میں تجھ سے مانگ کر کبھی محروم نہیں رہا۔ اور میں اپنے بعد اپنے بھائی بندوں سے ڈرتا ہوں اور میری بیوی بانجھ ہے پھر بھی مجھے اپنے پاس سے ایک وارث عطا فرما۔ جو میری اور اولاد یعقوب کی میراث کا مالک ہو۔ اور اے میرے پروردگار اسکو خوش اخلاق بنائیو۔

He said, “My Lord, I am in a state that bones in my body have turned feeble, and the head has flared up grey with old age, and I never remained, My Lord, unanswered in my prayer to You. I fear (my) kinsmen after me, and my wife is barren, so bless me with an heir, from Your own side, who inherits me and inherits the house of Ya‘qūb. And make him, My Lord, a favourite one.”

[Mafhom-e-Quran: Ay meray malik! beshak ghul gai hain hadiyan meri aur bhrak utha hai mera sar burhapay ki sufedi say aur nahi raha main tujh say dua mang kar aay meray malik kabhi na-murad <> Aur beshak mujhay sakht dar hai apnay bhai bandon say apnay pechay aur hai meri biwi banjh so ata kar day tu mujhay apnay fazal-e-khas say aik beta <> Jo waris banay mera aur meraas paey aal-e-yaqob say aur bana tu usay ay meray malik! pasandida (insaan) <>]

(Surah # 19, Maryam (Mary), Ayah # 4-6)

Tuesday, 1 January 2013

Kitab-o-Sunnat ko Mazbooti say Pakarnay ka Bayan

Mafhom e Hadees: Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam nay farmaya: Jab koi qoum (deen main) nai (new) baat (yani bidat) nikalti hai tou is kay misel aik (1) sunnat utha li jati hay, lehaza sunnat ko lazim pakarna nai baat (bidat) nikalnay say behtar hai (Mishkaat, Hadees # 177, Kitab ul Eeman, Fasal # 3, Baab: Kitab o Sunnat ko Mazbooti se Pakarnay ka Bayan, Ravi: Ghuzaif Bin Haris Razi Allah Anho)

Most Viewed in 7 Days