بسم الله الرحمن الرحيم

Monday, 6 August 2012

Musalmano Ko Allah Aur Rasool Ki Itaat Ka Hukum

اے ایمان والو اللہ اور اسکے رسول کے حکم پر چلو اور اس سے روگردانی نہ کرو جبکہ تم سنتے بھی ہو۔

O you who believe, obey Allah and His Messenger, and do not turn away from Him when you listen (to him).

[Mafhom-e-Quran: Aay eeman walo Allah aur uskay rasool kay hukum par chalo aur us say rogardaani na karo jabkay tum suntay bhi ho]

(Surah # 8, Al-Anfal, Ayah # 20)

Ramzan Main Jannat Kay Darwazay Khol Diye Jatay Hain

Mafhom e Hadees: Jab Ramzan aata hai to Jannat kay Darwazay khul jatay hain, Dozakh kay Band Kar Diye Jatay Hain, Aur Shaitan Zanjiron main Kas Dia Jata hai. (Muslim, Jild3, Hadees # 2495)

Sunday, 5 August 2012

Sehri Khana Barkat Ka Baais Hai

Mafhom e Hadees: Nabi Kareem (S.A.W) nay farmaya: "Sehri Khao, Sehri Mein Barkat Hai. (Muslim, Jild#3, H#2549,Ravi: Anas Rz.A)

Friday, 3 August 2012

Taraweeh Ki Namaz Parhna Sunnat Hai

Mafhom e Hadees: ALLAH nay Ramazan kay Rozay Farz kiye hain aur is kay Qiyam (Taraweeh) ko Maine Tumharay Liye Sunnat Qarar diya hai (ibne Maja, Hadees #1328, Abwab o iqamat es Salat, Baab: Mah e Ramazan ka Qiyam, Ravi: Abdul Rehman Rz.A)

Thursday, 2 August 2012

Khairaat o Sadqaat Kay Faiday

جو لوگ اپنا مال رات اور دن اور پوشیدہ اور ظاہر اللہ کی راہ میں خرچ کرتے رہتے ہیں ان کا صلہ انکے پروردگار کے پاس ہے۔ اور ان کو قیامت کے دن نہ کسی طرح کا خوف ہو گا اور نہ غم۔

Those who spend their wealth night and day, secretly and openly,- they have their reward with their Lord, and there is no fear for them, nor shall they grieve.

[Mafhom-e-Quran: Jo log apna maal raat aur din aur poshida aur zahir Allah ki raah main kharch kartay rehtay hain un ka sila unkay parwardigar kay paas hai. aur un ko qayamat kay din na kisi tarhan ka khof hoga aur na gham.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 274)

Wednesday, 1 August 2012

Quran Hi Sab Say Seedha Rasta Hai

یہ قرآن وہ رستہ دکھاتا ہے جو سب سے سیدھا ہے اور مومنوں کو جو نیک عمل کرتے ہیں بشارت دیتا ہے کہ ان کے لئے اجر عظیم ہے۔ اور یہ بھی بتاتا ہے کہ جو آخرت پر ایمان نہیں رکھتے ان کے لئے ہم نے دکھ دینے والا عذاب تیار کر رکھا ہے۔

Surely, this Qur’ān guides to something that is most straightforward, and gives glad tidings to the believers who do good deeds that ready for them there is a great reward, and that We have prepared a painful punishment for those who do not believe in the Hereafter

[Mafhome-e-Quran: Yeh Quran wo rasta dikhata hai jo sab say seedha hai aur momino ko jo naik amal kartay hain basharat deta hai kay un kay liye ajar e azeem hai. Aur yeh bhi batata hai kay jo aakhirat par eeman nahi rakhtay un kay liye hum nay dukh denay wala azab tyar kar rakha hai.]

(Surah # 17, Bani Israil, Ayah # 9-10)

Bhool Kar Khanay Peenay Say Roza Nahi Tootta

Mafhom e Hadees: Jab koi Bhool gaya aur Kuch Kha lia to usay Chahiye kay Apna Roza Pora Karay, Kion kay usko ALLAH nay khilaya aur Pilaya (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1933, Baab: Agar Roza Dar Bhol kar Kha pee lay, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Most Viewed in 7 Days