بسم الله الرحمن الرحيم

Thursday, 2 October 2014

ARFA - REHMAT O MAGHFIRAT KA THATHAY MARTA SAMANDAR

Mafhom e Hadees: Hazrat Aaisha (Razi Allah Anha) say riwayat hai kay Rasool SalLalLaho Alaihe Wasallam nay irshad farmaya: "Allah subhana wa talla arfa kay din jis qadar logon ko jahanum say azad farmatay hain utnay kisi aur din azad nahi farmatay. Bilashubah Allah subhana wa tala is din apni rehmat o maghfirat kay sath bandon kay intihai qareeb ho jatay hain aur phir farishton kay samnay (hujaj karam) par fakhar kartay hue farmatay hain: mairay yeh banday kiya chahtay hain?" (Muslim, Hadees # 3354, Baab: Hajj, Umrah aur Yom e Arfa ki Fazilat)

WWW.ISLAMICMESSAGES.NET

Wednesday, 1 October 2014

BOHTAN TARASHI KI MUZAMAT

اور جو شخص کوئی قصور یا گناہ تو خود کرے لیکن اس کا الزام کسی بے گناہ پر ڈال دے تو اس نے بہتان اور کھلے گناہ کا بوجھ اپنے سر پر رکھا۔

Whoever commits a vice or a sin, then shifts its blame to an innocent person, he indeed takes the burden of a false imputation and a glaring sin.

[Mafhom-e-Quran: Aur jo shaks koi qusoor yah gunah tou khud karay lekin us ka ilzam kisi baygunah par dal day tou us nay bohtan aur khulay gunah ka bojh apnay sar par rakha.]

(Surh # 4, An-Nisa (The Woman), Ayah # 140)

WWW.ISLAMICMESSAGES.NET

Most Viewed in 7 Days