بسم الله الرحمن الرحيم

Thursday, 2 October 2014

ARFA - REHMAT O MAGHFIRAT KA THATHAY MARTA SAMANDAR

Mafhom e Hadees: Hazrat Aaisha (Razi Allah Anha) say riwayat hai kay Rasool SalLalLaho Alaihe Wasallam nay irshad farmaya: "Allah subhana wa talla arfa kay din jis qadar logon ko jahanum say azad farmatay hain utnay kisi aur din azad nahi farmatay. Bilashubah Allah subhana wa tala is din apni rehmat o maghfirat kay sath bandon kay intihai qareeb ho jatay hain aur phir farishton kay samnay (hujaj karam) par fakhar kartay hue farmatay hain: mairay yeh banday kiya chahtay hain?" (Muslim, Hadees # 3354, Baab: Hajj, Umrah aur Yom e Arfa ki Fazilat)

WWW.ISLAMICMESSAGES.NET

Wednesday, 1 October 2014

BOHTAN TARASHI KI MUZAMAT

اور جو شخص کوئی قصور یا گناہ تو خود کرے لیکن اس کا الزام کسی بے گناہ پر ڈال دے تو اس نے بہتان اور کھلے گناہ کا بوجھ اپنے سر پر رکھا۔

Whoever commits a vice or a sin, then shifts its blame to an innocent person, he indeed takes the burden of a false imputation and a glaring sin.

[Mafhom-e-Quran: Aur jo shaks koi qusoor yah gunah tou khud karay lekin us ka ilzam kisi baygunah par dal day tou us nay bohtan aur khulay gunah ka bojh apnay sar par rakha.]

(Surh # 4, An-Nisa (The Woman), Ayah # 140)

WWW.ISLAMICMESSAGES.NET

Tuesday, 14 January 2014

ISLAM KA MAZAQ UR'RANY WALON KI MAJALIS MAIN NA BETHO

اور اللہ نے تم مومنوں پر اپنی کتاب میں یہ حکم نازل فرمایا ہے کہ جب تم کہیں سنو کہ اللہ کی آیتوں سے انکار ہو رہا ہے اور انکی ہنسی اڑائی جا رہی ہے تو جب تک وہ لوگ اور باتیں نہ کرنے لگیں انکے پاس مت بیٹھو ورنہ تم بھی انہی جیسے شمار ہو گے۔ کچھ شک نہیں کہ اللہ منافقوں اور کافروں سب کو دوزخ میں اکٹھا کرنے والا ہے۔

and He has revealed to you in the Book that when you hear the verses of Allah being disbelieved and ridiculed, you should not sit with them unless they enter into some other discourse. You, in that case, would be like them. Surely, Allah is to gather all hypocrites and disbelievers in Jahannam.

[Mafhom-e-Quran: Aur Allah nay tum momino per apni kitab main yeh hukum nazil farmaya hai kay jab tum kahin suno kay Allah ki aayaton say inkar ho raha hai aur unki hansi urrai ja rahi hai tou jab tak wo log aur baten na karne lagen unkay pas mat betho warna tum bhi unhi jesay shumar ho gay. kuch shak nahi kay Allah munafiqon aur kafiron sab ko dozakh main ikhata karnay wala hai.]

(Surh # 4, An-Nisa (The Woman), Ayah # 140)

Most Viewed in 7 Days