بسم الله الرحمن الرحيم

Wednesday, 27 February 2013

Halaal Kamai Ke Saath 2 Cheezon Ki Pabandi Karne Se Jannat Ka Husool

Mafhom e Hadees: Jo shakhs halaal khaey, sunnaton par amal karay aur logon ko aziyat aur takleef na pohnchae tou wo jannat main dakhil hoga. (Tirmizi, Baab:Hoz Kay Bartno Ki Sifaat Ka bayan, Ravi:Abo Saeed Khudri (R.A), P#60. J#9, Az Maktaba Shamila)

Sunday, 24 February 2013

Dunya Ko Tarjeeh Denay Ki Muzammat

بیشک وہ مراد کو پہنچ گیا جو پاک ہوا۔ اور اپنے پروردگار کا نام لیتا رہا اور نماز پڑھتا رہا۔ بات یہ ہے کہ تم لوگ تو دنیا کی زندگی کو ترجیح دیتے ہو۔ حالانکہ آخرت بہت بہتر اور ہمیشہ باقی رہنے والی ہے۔

Success is surely achieved by him who purifies himself, and pronounces the name of his Lord, then offers prayer. But you prefer the worldly life, while the Hereafter is much better and much more durable.

[Mafhom-e-Quran: Yaqeenan falah pa gaya wo jis nay pak kiya khud ko <> Aur lia naam apnay rab ka phir namaz parhi <> Lekin tarjeeh detay ho tum to dunyawi zindagi ko <> Jabkay ukharwi (aakhirat ki) zindagi bohat behtar hai aur hameesha rehnay wali hai <>]

(Surah # 87, Al-Ala (The Most High), Ayah # 14-17)

Friday, 22 February 2013

Naik Kaamon Main Halal Maal Kharch Karna Chahiye

Mafhom e Hadees: Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Koi namaz taharat kay baghair qubool nahi hoti aur koi sadqa maal e khyanat (yani haram maal jese sood, khyanat, chori, rishwat waghaira) say qubool nahi hota (Tirmizi, Hadees 1, Darja: Sahi, Kitab ut Taharat, Baab: Taharat kay Baghair Namaz Qubool Nahi hoti, Ravi: Hazrat ibne Umar Razi Allah Unhoma)

Thursday, 21 February 2013

Mehar Ki Adaigi Ka Hukum

اور عورتوں کو ان کے مہر خوشی سے دے دیا کرو ہاں اگر وہ اپنی خوشی سے اس میں سے کچھ تم کو چھوڑ دیں تو اسے مزے سے کھا لو۔

Give women their dower in good cheer. Then, if they forego some of it, of their own will, you may have it as pleasant and joyful.

[Mafhom-e-Quran: Aur aurton ko unkay mehar khushi say day dia karo haan agar wo apni khushi say us main say kuch tumko chor dain to usay mazay say kha lo.]

(Surah # 4, An-Nisa (The Woman), Ayah # 4)

Monday, 18 February 2013

Halaal Kamai Mustajaabuddawaat Ban Ne Ka Zariya Hai

Mahfhom e Hadees: Hazrat Saad (Rz.A) nay Aap Sallalaho Alaihe Wasallam ki khidmat main arz kia:Ya Rasulallah meray liye dua farmaye kay main mustajaabuddawaat ban jaon kay Allah Ta’ala meri dua ko rad na karain. Aap Sallalaho Alaihe Wasallam nay farmaya halaal khaya karo tumhari dua qubool honay lag jaey gi (Tibrani, Baab:Meem, Muhammad Eisa ki Marviyat, P#261, J#14, Az Maktaba Shamila)

Saturday, 16 February 2013

Koi Zarra Allah Kay Ilm Say Bahir Nahi


اور کافر کہتے ہیں کہ قیامت کی گھڑی ہم پر نہیں آئے گی۔ کہدو کیوں نہیں آئے گی میرے پروردگار کی قسم وہ تم پر ضرور آ کر رہے گی وہ پروردگار غیب کا جاننے والا ہے ذرہ بھر چیز بھی اس سے پوشیدہ نہیں نہ آسمانوں میں اور نہ زمین میں اور کوئی چیز ذرے سے بھی بڑی یا چھوٹی نہیں مگر کتاب روشن میں لکھی ہوئی ہے۔

Said those who disbelieve, “The Hour (i.e. the Day of Judgment) will not come to us.” Say, “Why not? By my Lord, the knower of the Unseen, it will come to you.” Nothing in the heavens and in the earth, even to the measure of a particle, can escape Him, nor is there anything smaller than that or bigger, but it is recorded in a manifest book.

[Mafhom-e-Quran: Aur kafir kehte hain kay qayamat ki gharri hum par nahi aaey gi. kehdo kyun nahi aaey gi meray parwardigar ki qasam wo tum par zaror aa kar rahe gi wo parwardigar ghaib ka jannay wala hai zarra bhar cheez bhi us say poshida nahi na aasmanon main aur na zameen main aur koi cheez zarray say bhi barri ya chotti nahi magar kitab roshan main likhi hui hai.]

(Surah # 34, Saba, Ayah # 3)

Thursday, 14 February 2013

Karobar Main Qasam Khanay Ki Muma’aniat

Mafhom e Hadees: Tijarat karne waly (aksar o baishtar) gunah gaar tajir hotay hain. Is par aik shakhs nay kaha aey Allah kay Rasool! Kiya Allah pak nay kharid-o-farokht ko halaal nahi kia? Tou aap nay farmaya: Han kia tou hai lekin wo qasam khatay hain aur gunah gaar ho jatay hain. (Assunanul Kubra, Kitab: Albuyoon, Baab: Tijarat Karne Ka Bayan, P#266, J#5 Az Maktaba Sahmila)

Monday, 11 February 2013

Allah Ta’ala Ki Nazar Main Dunya Ki Qeemat

Mafhom e Hadees: Agar dunya Allah ki nazar main machar kay par kay barabar bhi wuqat rakti to is main kafir ko aik ghoont paani bhi na peelata. (Ibne Maja. Kitab:Parhaizgari Ka Bayan, Baab:Dunya Ki Misal, P#134, J#12, Az Maktaba Shamila)

Wednesday, 6 February 2013

Jihad Kay Hukum Par Munafiqeen Ki Dehshat

اور مومن لوگ کہتے ہیں کہ جہاد سے متعلق کوئی سورت کیوں نازل نہیں ہوتی؟ لیکن جب کوئی واضح احکام والی سورت نازل ہو اور اس میں جنگ کا بیان ہو۔ تو جن لوگوں کے دلوں میں نفاق کا مرض ہے تم انکو دیکھو کہ تمہاری طرف اس طرح دیکھنے لگیں جس طرح کسی پر موت کی بیہوشی طاری ہو رہی ہو سو انکے لئے خرابی ہے۔

And the believers say, “Why has a (new) Sūrah not been revealed?” Then, once an operative Sūrah is sent down, and fighting (in Allah’s way) is mentioned in it, you notice those who have disease in their hearts, looking to you like one who is faint because of death. So, destruction is very close to them.

[Mafhom-e-Quran: Aur kehtay thay wo log jo eeman laaey kyun nahi nazil ki jati koi surat (jis main jang ka hukum ho) magar jab nazil ki gai aik surat, wazeh ahkaam wali aur zikar kia gaya us main jang ka to dekha tum nay un logon ko jin kay dilon main bemari thi kay wo dekhtay hain tumhari taraf aesay jesay dekhta hai wo shakhs jis par behoshi tari ho gai ho moat ki. so afsoos hai un kay haal par <>]

(Surah # 47, Muhammad, Ayah # 20)

Monday, 4 February 2013

Maal Main Fitna Hai

Mafhom e Hadees: Har qoum kay liye aik fitna hai aur mairi ummat ka fitna maal hai. (Kitab: Parhaizgari Ka Bayan, Baab:Es Ummat Ka Fitna Maal Main Hay.P#327, J#8, Az Maktaba Shamila)

Saturday, 2 February 2013

Bhalai Aur Burai Sab Allah Ki Taraf Say Hai

اور ان لوگوں کو اگر کوئی فائدہ پہنچتا ہے تو کہتے ہیں یہ اللہ کی طرف سے ہے اور اگر کوئی مصیبت پہنچتی ہے تو اے پیغمبر تم سے کہتے ہیں کہ یہ آپ کی وجہ سے ہمیں پہنچی ہے۔ کہہ دو کہ رنج و راحت سب اللہ ہی کی طرف سے ہے۔ ان لوگوں کو کیا ہو گیا ہے کہ بات بھی نہیں سمجھ سکتے۔

If some good comes to them, they say, “This is from Allah.” But if some evil visits them, they say, “This is from you.” Say, “All is from Allah.” So, what is wrong with these people, they do not seem to understand anything?

[Mafhom-e-Quran: Aur in logon ko agar koi faida pohanchta hai tou kehtay hain yeh Allah ki taraf say hai aur agar koi musibat pohanchti hai tou aay Peghambar tum say kehtay hain kay yeh aap ki waja say humain pohnchi hai. kehdo kay ranj o rahat sab Allah hi ki taraf say hai. in logon ko kia ho gaya hai kay baat bhi nahi samajh saktay.]

(Surh # 4, An-Nisa (The Woman), Ayah # 78)

Most Viewed in 7 Days