بسم الله الرحمن الرحيم

Monday, 31 December 2012

Salam Sunnat Kay Mutabiq Karna Chahiye

Mafhom e Hadees: Assalam o Alaikum kehnay say das (10) nekiyan, Assalam o Alaikum Warahmatullah kehnay say bees (20) nekiyan, Assalam o Alaikum Warahmatullah e Wabarakaatu-Hu kehnay say tees (30) nekiyan milti hain (Abo Dawood, Hadees 5100, Kitab uL Adab, Abwab us Salam, Baab: Salam kese karna chahiye, Ravi: imran R.A)

Friday, 28 December 2012

Tamam Insaanon Ko Tuheed Ka Pegham

لوگو! اپنے پروردگار کی عبادت کرو جس نے تم کو اور تم سے پہلے لوگوں کو پیدا کیا تا کہ تم اسکے عذاب سے بچو۔ جس نے تمہارے لئے زمین کو بچھونا اور آسمان کو چھت بنایا اور آسمان سے مینہ برسا کر تمہارے کھانے کے لئے انواع و اقسام کے میوے پیدا کئے۔ پس کسی کو اللہ کا ہمسر نہ بناؤ۔ اور تم جانتے تو ہو۔

O people, worship your Lord who created you and those before you, so that you may become God-fearing. He is the One who made the earth a bed for you, and the sky a roof, and sent down water from the sky, then brought forth with it fruits, as a provision for you. So, do not set up parallels to Allah when you know.

[Mafhom-e-Quran: Logon! apnay parwardigar ki ibadat karo jis nay tum ko aur tum say pehlay logon ko peda kia takay tum uskay azab say bacho. Jis nay tumhary liye zameen ko bachona aur aasman ko chhat banaya aur aasman say meena (barish) barsa kar tumhary khanay kay liye anwa o aqsaam kay mevay peda kiye. pas kisi ko Allah ka hamsar na banao. aur tum jantay to ho.]

(Surah # 2, Al-Baqara (The Cow), Ayah # 21-22)

Thursday, 27 December 2012

Har Nemat Allah Ki Taraf Say Hai

اور جو نعمتیں تم کو میسر ہیں سب اللہ کی طرف سے ہیں۔ پھر جب تم کو کوئی تکلیف پہنچتی ہے تو اسی کے آگے فریاد کرتے ہو۔

Whatever blessing you have is from Allah. Then, once you are touched by distress, to Him alone you cry for help.

[Mafhom-e-Quran: Aur jo nematain tum ko moyasar hain sab Allah ki taraf say hain. phir jab tum ko koi takleef pohanchti hai tou usi kay aagay faryad karte ho.]

(Surah # 16, An-Nahl (The Bee), Ayah # 53)


WWW.ISLAMICMESSAGES.NET

Saturday, 22 December 2012

Dosron kay Gharon main Dakhlay ki Ijazat ka Hukum aur Aadab

مومنو! اپنے گھروں کے سوا دوسرے لوگوں کے گھروں میں گھر والوں سے اجازت لئے اور انکو سلام کئے بغیر داخل نہ ہوا کرو۔ یہ تمہارے حق میں بہتر ہے اور ہم یہ نصیحت اس لئے کرتے ہیں کہ شاید تم یاد رکھو۔ پھر اگر تم گھر میں کسی کو موجود نہ پاؤ تو جب تک تمکو اجازت نہ دی جائے اس میں مت داخل ہو۔ اور اگر یہ کہا جائے کہ اس وقت لوٹ جاؤ تو لوٹ جایا کرو یہ تمہارے لئے بڑی پاکیزگی کی بات ہے اور جو کام تم کرتے ہو اللہ سب جانتا ہے۔

O you who believe, do not enter any houses, other than your own houses unless you seek permission and greet their inmates with Salām . That is good for you, so that you may be heedful. Even if you do not find anyone in them, do not enter therein until permission is given to you. And if it is said to you, ‘Go back’, just go back; it is more decent for you. Allah is All-Aware of what you do.

[Mafhom-e-Quran: Momino! apnay gharon kay siwa dosray logon kay gharon main ghar walon say ijazat liye aur unko salam kiye bager dakhil na hua karo. yeh tumharay haq main behtar hai aur hum yeh naseehat is liye kartay hain kay shayed tum yaad rakho. Phir agar tum ghar main kisi ko mojood na pao to jab tak tumko ijazat na di jaye is main mat dakhil ho. aur agar ye kaha jaey kay is waqt lot jao to lot jaya karo yeh tumhary liye bari pakezgi ki baat hai aur jo kaam tum kartay ho Allah sab janta hai.]

(Surah # 24, An-Noor, Ayah # 27-28)

Haram kay Istemal ki Waja say Jannat say Mehromi

Haram kay istemal ki waja say jannat se mehromi: Rasolullah (Sallallaho Alaihe Wasallam) nay farmaya: Wo gosht jo Haram se parwarish paya ho Jannat main dakhil na ho ga (Ahmad)

Thursday, 20 December 2012

Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Allah Kay Banday Aur Rasool Hain

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: Meri tareef had say barha kay na karna jis tarhan Nasara nay Eesa Alaihe Salam ki had say ziada tareef ki (kay unko Allah ka beta bana diya) main tou sirf Allah ka banda hun, is liye mujhe Allah ka banda aur uska Rasool kaho (Bukhari, Hadees 3445, Kitab uL Ambia, Ravi: Umar Rz.A, Baab: ALLAH ka irshad "Aur is kitab main Maryam ka zikar kar" (Surah Maryam, Ayat 16)

Muaamlaat Main Shar’ee Ahkaam Se Aazadi Qurb-e-Qayamat Ki Alamat Hai

Muaamlaat main sharai ahkaam say aazadi qurb-e-qayamat ki alamat hai: Rasoolullah Salallaho Alaihe Wasalm nay farmaya: logo par aisa zamana bhi aega jis main wo maal kay husool main parwa nahi karrengay kay wo Halaal tareeqay se hasil huwa hai ya Haraam tareeqay say. (Bukhari).

Wednesday, 19 December 2012

Islam Main Koi Waqt Aur Mahina Manhoos Nahi

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam nay farmaya: Safar (kay mahina main) koi nahosat nahi hai (Bukhari, Hadees 5707, Kitab uL Tib, Baab: Juzam ka Bayan, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Tuesday, 18 December 2012

Shahadat ki Fazeelat

Mafhom e Hadees: Rasoolullah Sallallahu Alaihe Wasallam nay farmaya: Shaheed ko Allah kay han yeh fazilatain milti hain, eeman ka jora pehnaya jaey ga aur bari ankhon wali hoor say iska nikah kar dia jaey ga, is kay rishtay daron main say sattar (70) aadmion kay haq main (qiyamat kay din) is ki sifarish qubool ki jaye gi (Ibne Maja, Hadees 2799, Kitab uL Jihad, Baab: "ALLAH ki Rah main Shahadat Ki Fazeelat", Ravi: Miqdaam Razi Allah Unho)

Saturday, 15 December 2012

Qayamat Kay Din Sab Say Ziyada Khasaray Main Talib-e-Dunya Hon Gay

کہدو کہ ہم تمہیں ایسے لوگ بتائیں جو اعمال کے لحاظ سے بڑے نقصان میں ہیں۔ یہ وہ لوگ ہیں جنکی دوڑ دھوپ دنیا کی زندگی میں برباد ہو گئ۔ اور وہ یہ سمجھے ہوئے ہیں کہ وہ اچھے کام کر رہے ہیں۔

Say, “Shall We tell you about the greatest losers in respect of (their) deeds? Those are the ones whose effort in the worldly life has gone in vain, while they think they are doing well.

[Mafhom-e-Quran: Kehdo kay hum tumhain aesay log batain jo aamal kay lehaz say bary nuqsan main hain. Yeh wo log hain jinki dorr dhop dunya ki zindagi main barbad ho gai. aur wo yeh samjhay hue hain kay wo achay kaam kar rahe hain.]

(Surah # 18, Al-Kahf, Ayah # 103-104)

Thursday, 13 December 2012

Mushtabah Cheezon say Bachna

Mushtabeh Cheezon se Bachna: Rasool ullah Sallalaho Alaihe Wasalam nay farmaya: Halaal bhi wazeh hai aur Haraam bhi wazeh hai, darmyan main kuch cheezen mushtabeh hen, jin ki taraf buhot se logon ki tawajah nahi hoti, tou jo shakhs Mushtabeh Cheezon say bacha us nay apnay Deen aur Aabro ko bacha liya aur jo moshtabeh cheezon main parr gaya tou wo goya Haraam main parr gaya. (Bukhari, Muslim)

Tuesday, 11 December 2012

Ulema ki Fazeelat

Mafhom e Hadees: Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam nay farmaya: Ulama Ambia kay waris hain, Ambia wirasat main na dunya chortay hain aur na dirham, balkay wo wirasat main ilm chortay hain, jis ne isay (yani ilm ko) hasil kia, us ne bara hissa (Ambia ki wirasat main se) pa liya (Ibne Maja, Hadees # 223, Kitab us Sunnat, Baab: Ulama ki Fazilat aur (Deen ka) ilm hasil karnay ki targheeb dena, Ravi: Abo Darda Razi Allah Unho)

Sunday, 9 December 2012

Torat par Amal na Karne Walay (Yahodi) Gadhe ki Misaal Thay

جن لوگوں کو تورات کا حامل بنایا گیا پھر انہوں نے اسکے حامل ہونے کا حق ادا نہ کیا انکی مثال گدھے کی سی ہے جس پر بڑی بڑی کتابیں لدی ہوں۔ جو لوگ اللہ کی آیتوں کی تکذیب کرتے ہیں انکی مثال بری ہے۔ اور اللہ ظالم لوگوں کو ہدایت نہیں دیتا۔

The example of those who were ordered to bear (the responsibility of acting upon) the Torah, then they did not bear it, is like a donkey that carries a load of books. Evil is the example of those who have rejected Allah’s verses. And Allah does not guide the wrongdoing people.

[Jin logon ko torat ka hamil banaya gaya phir unho nay uskay hamil honay ka haq ada na kiya unki misaal gadhay ki si hai jis par bari bari kitabain ladi hon. jo log Allah ki aayaton ki takzeeb kartay hain unki misaal buri hai. aur Allah zalim logon ko hidayat nai deta.]

(Surah # 62, Al-Jumua, Ayah # 5)

Friday, 7 December 2012

Huzoor Sallallaho Alaihe Wasallam Ko Haq Ki Tasali

 اے پیغمبر اگر یہ اس کلام پر ایمان نہ لائیں تو شاید تم انکے پیچھے رنج کر کر کے اپنے تئیں ہلاک کر دو گے۔

So, (O Prophet) perhaps you are going to kill yourself after them, out of grief, if they do not believe in this discourse.

[Mafhom-e-Quran: Aay peghambar agar yeh is kalam per eeman na laaen tou shayed tum unkay pechay ranj kar kar kay apnay taen halak kar do gay.]

(Surah # 18, Al-Kahf, Ayah # 6)

Wednesday, 5 December 2012

Har Kaam Kay Liye Sirf Allah Ko Pukarna Chahiye

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: Tumhara Rab bohat Haya wala aur Kareem hai, Allah ko is baat say haya aati hai kay iska banda is kay samnay apne donon (2) hath phailaye, phir wo isko khali laota day. (Ibne Maja, Abwab ud Dua, Hadees # 3866, Baab: Dua main Hath Uthana, Ravi: Salman Razi Allah Unho)

Monday, 3 December 2012

Jihad Chor Denay Say Kia Hoga ?

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: Jab tum kaasht kari main masroof ho jao gay aur jihad ko chor do gay to Allah zillat o ruswai ko tum per musallat kar day ga, jo kisi tarhan bhi mit na sakay gi yahan tak kay tum apnay deen ki taraf loat aao (Abo Dawood, Hadees # 3462, Kitab uL Boyou, Baab: Bai e Aina ki Mumana'at. Ravi: Hazrat Ibne Umar Razi Allah Unhuma)

Sunday, 2 December 2012

Huzoor Sallallaho Alaihe Wasallam Shayar Nahi Thay

اور ہم نے ان کو یعنی اپنے پیغمبر ﷺ کو شعرگوئی نہیں سکھائی اور نہ وہ انکو شایاں ہی ہے۔ یہ تو محض نصیحت ہے اور صاف صاف قرآن ہے۔

We did not teach him (the Holy Prophet) poetry, and it is not proper for him. It is nothing (of that sort,) but (it is) an advice and a readable book that explains (the Truth),

[Mafhom-e-Quran: Aur hum nay in ko yani apnay pheghambar (Sallallaho Alaihe Wasallam) ko shair goi nahi sikhai aur na wo inko shayan (laaiq) hi hai. yeh to mehaz naseehat hai aur saaf saaf Quran Hai.]

(Surah # 36, Ya Seen, Ayah # 69)

Most Viewed in 7 Days