بسم الله الرحمن الرحيم

Sunday, 30 September 2012

Allah Hi Musalmano Ka Haqiqi Dost Hai

اور اللہ کی راہ میں جہاد کرو۔ جیسا جہاد کرنے کا حق ہے۔ اس نے تمکو منتخب کیا ہے اور تم پر دین کی کسی بات میں تنگی نہیں کی۔ اور تمہارے لئے تمہارے باپ ابراہیم کا دین پسند کیا اسی اللہ نے پہلے یعنی پہلی کتابوں میں تمہارا نام مسلم رکھا تھا اور اس کتاب میں بھی وہی نام رکھا ہے تو جہاد کرو تاکہ پیغمبر تمہارے بارے میں گواہ ہوں۔ اور تم لوگوں کے مقابلے میں گواہ ہو سو مسلمانو نماز قائم کرواور زکوٰۃ دو اور اللہ کے دین کی رسی کو پکڑے رہو وہی تمہارا دوست ہے سو وہ کیا خوب دوست ہے اور کیا خوب مددگار ہے۔

Struggle for (seeking the pleasure of) Allah, a struggle that is owed to Him. He has chosen you and did not impose any hardship on you in the religion, the faith of your father Ibrāhīm. He (Allah) named you as Muslims earlier and also in this (Qur’ān), so that the Messenger becomes a witness to you, and you become witnesses to (other) people. So establish Salāh, pay Zakāh and hold fast to Allah. He is your patron. So, how excellent He is as a patron, and how excellent as a supporter!

[Momineen Ko Mujahidah Ka Hukum: Mafhom-e-Quran: ]

(Surah # 22, Al-Hajj, Ayah #78)

Friday, 28 September 2012

Momin Aur Kaafir Barabar Nahi

اور اندھا اور آنکھ والا برابر نہیں۔ اور نہ اندھیرے اور نہ روشنی۔ اور نہ سایہ اور نہ دھوپ۔ اور نہ زندہ اور نہ مردہ لوگ برابر ہو سکتے ہیں۔ اللہ جسکو چاہتا ہے سنا دیتا ہے۔ اور تم انکو جو قبروں میں ہیں سنا نہیں سکتے۔

The blind and the sighted are not equal, nor are darkness and light, nor shade and heat of the sun. And the living and the dead are not alike. Allah makes to hear whomsoever He wills. And you cannot make to hear those who are in the graves.

[Mafhom-e-Quran: Aur andha aur aankhwala barabar nahi. Aur na andheray aur na roshni. Aur na saaya aur na dhoop. Aur na zinda aur na murda log barabar ho sakte hain. Allah jisko chahta hai suna deta hai. aur tum unko jo qabron main hain suna nahi sakte.]

(Surah # 35, Fatir, Ayah # 19-22)

Ulta Letnay ki Mumaniat

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam aik (1) shakhs kay paas se guzray jo Masjid main ulta leta hua tha, Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam ne usay apne paon se hilaya aur farmaya: Uttho yeh jahanamion kay letnay ka andaz hai (Ibne Maja, Darja: Hasan, Hadees # 3725, Kitab uL Adab, Baab: Ulta Letnay ki Mumana'at, Ravi: Abo Umama Razi Allah Anho)

Thursday, 27 September 2012

Tamam Insan Allah Kay Mohtaaj Hain

لوگو! تم سب اللہ کے محتاج ہو اور اللہ ہی تو بے نیاز ہے لائق حمد و ثنا ہے۔ اگر وہ چاہے تو تم کو نابود کر دے اور نئی مخلوق لے آئے۔ اور یہ اللہ کو کچھ مشکل نہیں۔

O men, you are the ones who need Allah, and Allah is Free-of-All-Needs, the Ever-Praised. If He so wills, He can do away with you and bring a new creation. For Allah, that is not something difficult.

[Mafhom-e-Quran: Logo! tum sab Allah kay mohtaaj ho aur Allah hi to be-niyaz hai laaiq hamd-o-sana hai. Agar wo chahe to tum ko nabood kar de aur nai makhlooq le aay. Aur ye Allah ko kuch mushkil nahi.]

(Surah # 35, Fatir, Ayah # 15-17)

Wednesday, 26 September 2012

Husn e Akhlaq

Mafhom e Hadees: Main us shakhs ko jannat kay kinaron per aik (1) mahal dilwanay ka zamin hun jo haq per honay kay bawujood jhagra chor day aur us shakhs kay liye jannat kay darmayan main aik mahal ka zamin hun jo mazak main bhi jhoot bolna chor day aur us shakhs kay liye aala jannat main aik mahal ka zamin hun jo apne akhlaq ko umda bana lay (Abo Dawood, Hadees # 4800, Kitab ul Adab, Baab: Husn e Akhlaq, Darja: Hasan, Ravi: Abo Umama Rz.A)

Monday, 24 September 2012

Names of Ashra Mubashra

Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay jin 10 sahaba ko dunya main hi Jannati honay ki basharat di un kay naam yeh hain, 1) Abo Bakar, 2) Umar, 3) Usman, 4) Ali, 5) Zubair, 6) Talha, 7) Abdul Rehman Bin Aouf, 8) Abo Ubaida Bin Jarrah, 9) Saad Bin Abi Waqas, 10) Saeed Bin Zaid, Razi Allah Unhum (Tirmizi, Hadees # 3890, Darja: Sahi, Kitab uL Manaqib, Baab: Manaqib e Abdul Rehman Bin Aouf Rz.A, Ravi: Saeed Bin Zaid Rz.A)

Sunday, 23 September 2012

SHIRK KI MISAAL

لوگو ایک مثال بیان کی جاتی ہے اسے غور سے سنو۔ کہ جن لوگوں کو تم اللہ کے سوا پکارتے ہو وہ ایک مکھی بھی نہیں بنا سکتے۔ اگرچہ اس کے لئے سب اکٹھے ہو جائیں اور اگر ان سے مکھی کوئی چیز چھین لے جائے تو اسے اس سے چھڑا نہیں سکتے۔ طالب اور مطلوب یعنی عابد اور معبود دونوں گئے گذرے ہیں۔

O people, here is a parable set forth to you, so listen to it carefully: All those whom you invoke besides Allah can never create (even) a fly, even though they all join hands together for that. And if a fly snatches something away from them, they cannot release it from its possession. (Equally) feeble are the invoker and the invoked.

[Mafhom-e-Quran: Logon aik misaal byan ki jati hai isay ghor say suno. kay jin logon ko tum Allah kay siwa pukarte ho wo aik makhi (fly) bhi nahi bana sakte. agrcha us kay liye sab akhatay ho jain aur agr in say makhi koi cheez cheen lay jaey to usay is say churra nahi sakte. talib aur matlob yani aabid aur mabood donon gaey guzray hain.]

(Surah # 22, Al-Hajj, Ayah # 73)

Tuesday, 18 September 2012

Gustakh e Rasool ki Saza Kiya?

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam nay faramya: Ka'ab bin Ashraf ko qatal karnay ka zimma kon leta hai? (Kion kay Ka'ab bin Ashraf yahoodi Gustakh e Rasool tha) Mohammad bin Maslama Rz.A nay arz kiya, Aay Allah kay Rasool..! Kiya Aap ijazat dain gay kay main usay qatal kar aaon? Aap nay farmaya: Haan (Bukhari, Hadees #4037, Kitab uL Mughazi, Baab: Ka'ab Bin Ashraf Kay Qatal ka Qissa)

Sunday, 16 September 2012

Jannat Main Lay Janay Walay Aamal


Mafhom-e-Hadees: Nabi Alaih Salam nay farmaya tum mujhe in 6 cheezon ki zamanat do main tumhain jannat ki zamanat deta hun,
 1) Baat karo to Sach bolo,
 2) Wada karo to pora karo,
 3) Tumharay paas amanat rakhi jaey to ada karo,
 4) Apni sharmgahon ki hifazat karo,
 5) Apni ankhon ko neecha rakho,
 6) Apnay hathon ko rokay rakho
(Ibne Khuzaima, Hadees #271, Kitab uL Bir, Baab: Sachai aur Neki Ka Hukum Karna aur Burai say Rokna, Ravi: Ubada R.A)

Azwaj-e-Mutahiraat Par Tuhmat Laganay Walay Islam Say Kharij Hain

جو لوگ پرہیزگار اور برے کاموں سے بےخبر اور ایمان دار عورتوں پر بدکاری کی تہمت لگاتے ہیں ان پر دنیا اور آخرت دونوں میں لعنت ہے اور انکو سخت عذاب ہو گا۔

Surely, those who level a false charge against the chaste, natve and believing women are cursed in this world and the Hereafter, and for them there is a mighty punishment

[Mafhom-e-Quran: Jo log parehzgar aur buray kaamon say bekhabar aur emaandar aurton par badkari ki tuhmat lagatay hain un par dunya aur aakhirat donon (2) main lanat hai aur unko sakht azab hoga.]

(Surah # 24, An-Noor, Ayah # 23)

Wednesday, 12 September 2012

Huzor SalLalLaho Alaihe Wasallam Chand Say Bhi Ziyada Haseen Thay

Mafhom e Hadees: Jabir bin Samora Razi Allah Anho farmatay hain kay main nay aik martaba chandni raat main Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam ko laal jora pehnay hue dekha, main kabhi chand ko dekhta, kabhi Aap SalLalLaho Alaihe Wasallam kay khubsorat Chehray ko dekhta, to main nay Aap SalLalLaho Alaihe Wasallam ka hi chehra chand say bhi bohat ziyada Haseen paya (Mustadrak Hakim, Kitab uL Libas, Darja: Sahi, Hadees # 7461)

Tuesday, 11 September 2012

Zakat Ada Na Karnay Per Azab

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay farmaya: jo shakhs maldar ho aur apne maal ki Zakat ada na karay to (qayamat kay din) uska maal ganjay sanp ki shakal main aaey ga aur uski gardan say lipat kar galay ka touq ban jaey ga, wo shakhs is say bhagay ga aur yeh (sanp) us kay sath sath ho ga (Nasai, Kitab uz Zakat, Hadees # 2445, Baab: Zakat ada na karnay per azab, Ravi: Abdullah Bin Masood Razi Allah Anho)

Sunday, 9 September 2012

Sari Makhloqaat Ka Allah Ko Sajda

اور جتنی مخلوقات آسمانوں اور زمین میں ہے خوشی سے یا ناخوشی سے اللہ کے آگے سجدہ کرتی ہے اور انکے سائے بھی صبح و شام سجدے کرتے ہیں۔

To Allah bow in prostration all who are in the heavens and the earth, willingly or unwillingly, and their shadows as well in morns and eves.

[Mafhom-e-Quran: Aur jitni makhloqaat aasmano aur zameeen main hain khushi say ya nakhushi say Allah kay aagay sajda karti hain aur unkay saaey bhi subh o sham sajday kartay hain.]

(Surah # 13, Ar-Rad, Ayah 15)

Wednesday, 5 September 2012

Ramazan kay baad Shawwal kay Chay (6) Rozon ki Fazilat

Mafhome Hadees: Jis nay ramazan kay rozay rakhay aur phir is kay baad shawwal kay 6 rozay rakhay to goya us nay poray saal kay rozay rakhay (Muslim, Hadees #2758, Kitab us Siyam, Baab: Ramazan kay baad shawwal kay 6 Rozon ki Fazilat, Ravi: Abo Ayub Rz.A)

Mah e Shawwal kay Chay (6) Rozay

Mafhom e Hadees: Jo Eid ul Fitar kay baad (shawwal main) 6 (nafli) rozay rakhay ga, usko poray saal kay rozon ka sawab milay ga, jo aik neki laey ga usko das (10) guna ajar milay ga (Ibne Maja, Hadees # 1715, Kitab us Siyam, Darja: Sahi, Baab: Mah e Shawwal kay 6 Rozay, Ravi: Sobaan Rz.A)

Shawwal kay poray mahinay main Jab bhi 6 rozay rakhna chahain rakh saktay hain, Eid kay dosray (2) din say yeh rozay rakhna ya lagatar rakhna zarori nahi.

Sunday, 2 September 2012

Sharab, Juwa, But, Aur Qismat Maloom Karna Sab Shaitani Kaam Hain

اے ایمان والو! شراب اور جوا اور بت اور پانسے یہ سب ناپاک کام اعمال شیطان سے ہیں سو ان سے بچتے رہنا تاکہ تم کامیاب ہو جاؤ۔ شیطان تو یہ چاہتا ہے کہ شراب اور جوئے کے سبب تمہارے آپس میں دشمنی اور رنجش ڈلوا دے اور تمہیں اللہ کی یاد سے اور نماز سے روک دے تو کیا تم لوگ ان کاموں سے باز آؤ گے۔

O you who believe! Wine, gambling, altars and divining arrows are filth, made up by Satan. Therefore, refrain from it, so that you may be successful. Satan wishes only to plant enmity and malice between you through wine and gambling, and to prevent you from the remembrance of Allah and from Salāh. Would you, then, abstain?

[Mafhom-e-Quran: Aay emaan walon! sharab aur juwa aur but aur paansay (faal kay teer) yeh sab napaak kaam aamal e shaitan say hain so in say bachtay rehna ta kay tum kamiyaab ho jao. Shaitan to ye chahta hai kay sharab aur juway kay sabab tumharay aapas main dushmani aur ranjish dalwa day aur tumhain Allah ki yaad say aur namaz say rok day to kiya tum log in kaamon say baaz aao gay?]

(Surah # 5, Al=Meada, Ayah # 90-91)

Most Viewed in 7 Days