بسم الله الرحمن الرحيم

Thursday, 30 August 2012

ALLAH KA ILM-E-MUHEET

کوئی تم میں سے چپکے سے بات کہے یا پکار کر۔ یا رات کو کہیں چھپ جائے یا دن کی روشنی میں کھلم کھلا چلے پھرے اللہ کے نزدیک برابر ہے۔ اسکے آگے اور پیچھے اللہ کے چوکیدار ہیں جو اللہ کے حکم سے اسکی نگرانی کرتے ہیں۔


Alike (for Him) is he, from among you, who speaks quietly and he who speaks aloud, and he who hides in the night and he who walks out in the day. For every one (from among you) there are angels replacing one another, in front of him and behind him, who guard him under the command of Allah.

[Mafhom-e-Quran: Koi tum main say chupkay say baat kahe ya pukar kar. ya raat ko kahin chup jae ya din ki roshni main khulam khula chaly phiray Allah kay nazdeek barabar hai. Uskay aagay aur peechay Allah kay chokidar (farishtay) hain jo Allah kay hukum say uski nigrani kartay hain.]

(Surah # 13, Ar-Rad, Ayah 10-11)

Tuesday, 28 August 2012

Qomon Kay Urooj-o-Zawal Ka Qanoon

اللہ اس نعمت کو جو کسی قوم کو حاصل ہے نہیں بدلتا جب تک کہ وہ اپنی حالت کو نہ بدلے۔ اور جب اللہ کسی قوم کے ساتھ برائی کا ارادہ کرتا ہے تو وہ پھر نہیں سکتی۔ اور اللہ کے سوا ان کا کوئی مددگار نہیں ہوتا۔

Allah does not change the condition of a people unless they change themselves. When Allah intends evil for a people, there is no way to turn it back, and for them there is no patron other than Him.

[Mafhom-e-Quran: Allah is naimat ko jo kisi qaum ko hasil hai nahi badalta jab tak kay wo apni halat ko na badlay. aur jab Allah kisi qaum kay sath burai ka irada karta hai to wo phir (tal) nahi sakti. aur Allah kay siwa un ka koi madadgar nahi hota.]

(Surah # 13, Ar-Rad, Ayah # 11)

Sunday, 26 August 2012

Aurton Say Husn-e-Salook

مومنو! تم کو جائز نہیں کہ زبردستی عورتوں کے وارث بن جاؤ۔ اور دیکھنا اس نیت سے کہ جو کچھ تم نے ان کو دیا ہے اس میں سے کچھ لے لو انہیں گھروں میں مت روک رکھنا ہاں اگر وہ کھلے طور پر بدکاری کی مرتکب ہوں تو اور بات ہے اور ان کے ساتھ اچھی طرح سے رہو سہو۔ پھر اگر وہ تم کو ناپسند ہوں تو عجب نہیں کہ تم کسی چیز کو ناپسند کرو اور اللہ اس میں بہت سی بھلائی پیدا کر دے۔

O you who believe, it is not lawful for you that you should forcibly take women as inheritance. Do not hold on to them so that you may take away some of what you have given them, unless they commit a clearly shameful act. Live with them in the recognized manner. If you dislike them, then it is quite likely that you dislike something and Allah has placed a lot of good in it.

[Mafhom-e-Quran: Momino! tum ko jaiz nahi kay zabardasti aurton kay waris ban jao. aur dekhna is niat say kay jo kuch tum nay un ko diya hai us main say kuch lay lo unhain gharon main mat rok rakhna han agar wo khulay tor par badkari ki murtakib hon to aur baat hai aur un kay sath achi tarhan say raho saho. phir agar wo tum ko napasand hon to ajab nahi kay tum kisi chiz ko napasand karo aur Allah us main bohat si bhalai paida kar day.]

(Surah # 4, An-Nisa, Ayah # 19)

Saturday, 25 August 2012

Aurton Kay Liye Namaz Ki Sab Say Behtar Jaga

Mafhom e Hadees: Aurton kay Liye Namaz Parhnay ki Jaghon Main say Sab say Behtar Jaga un kay Gharon kay androni hissay hain (Mustadrak Hakim, Hadees # 865, Darja: Sahi, Imamat aur Namaz e Juma, Baab: Hamsaye kay liye Masjid main Namaz Parhna Lazim hay, Ravi: Umme Salma Rz.A)

Aurton ka Masjid mai Namaz k Liye Jana Makrooh hay, Aurton ka Apne Ghar Namaz Parhna Behtar Hay (Fatawa Shami, Jild # 1, Page # 566, H.M. Saeed Publisher)

Friday, 24 August 2012

Jihad Kay Maqasid

اور ان لوگوں سے لڑتے رہو یہاں تک کہ فتنہ یعنی کفر کا فساد باقی نہ رہے اور دین سب اللہ ہی کا ہو جائے اور اگر وہ باز آ جائیں تو اللہ انکے کاموں کو دیکھ رہا ہے۔

And fight them until there is no Fitnah (mischief), and total obedience becomes for Allah. So, if they desist, then, Allah is indeed watchful over what they do.

[Mafhom-e-Quran: Aur un logon say lartay raho yahan tak kay fitna yani kufr ka fasad baqi na rahe aur deen sab Allah hi ka ho jae aur agar wo baaz aajaen to Allah unkay kaamon ko dekh raha hai.]

(Surah # 8, Al-Anfal, Ayah # 39)

Wednesday, 22 August 2012

Quran e Kareem Kay Aadab

اور جب قرآن پڑھا جائے تو توجہ سے سنا کرو۔ اور خاموش رہا کرو۔ تاکہ تم پر رحم کیا جائے۔

When the Qur’ān is recited, listen to it and be silent, so that you may be blessed.

[Mafhom-e-Quran: Aur jab Quran parha jaye to tawajjo say suna karo. aur khamosh raha karo. takay tum par reham kiya jaye. ]

(Surah # 7, Al-Araf, 204)

Tuesday, 21 August 2012

Allah Napasand Karta Hai Ziadti Karnay Walon Ko

اور جو لوگ تم سے لڑتے ہیں تم بھی اللہ کی راہ میں ان سے لڑو۔ مگر زیادتی نہ کرنا کہ اللہ زیادتی کرنے والوں کو دوست نہیں رکھتا۔

Fight in the way of Allah against those who fight you, and do not transgress. Verily, Allah does not like the transgressors.

[Mafhom-e-Quran: Aur jo log tum say lartay hain tum bhi Allah ki rah main un say laro. magar ziadti na karna kay Allah ziadti karnay walon ko dost nahi rakhta.

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 190)

Sunday, 19 August 2012

Yatimon Kay Maal Main Khyanat ki Saza

جو لوگ یتیموں کا مال ناجائز طور پر کھاتے ہیں وہ اپنے پیٹ میں آگ بھرتے ہیں۔ اور ضرور دوزخ میں ڈالے جائیں گے۔

Surely, those who unjustly devour the property of the orphans do nothing but devour fire into their bellies, and soon they shall enter a blazing Hell.

[Mafhom-e-Quran: Jo log yatimon ka maal najaiz tor par khatay hain wo apnay pait main aag bhartay hain. aur zaror dozakh main daly jain gay.]

(Surah # 4, An-Nisa, Ayah # 10)

Saturday, 18 August 2012

Eid-ul-Fitar main Namaz e Eid say Pehlay Kuch Kha kar Jana Chahiye

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam Eid uL Azha walay din us waqt tak kuch na khatay thay jab tak (Eid uL Azha ki) Namaz na parh letay aur Eid uL Fitar ki Namaz kay liye us waqt tak na jatay thay jab tak kuch kha na Letay thay (Tirmizi, Hadees #527, Kitab uL Eidain, Baab: Eid uL Fitar main Namaz e Eid se pehlay kuch kha kar jana chahiye, Ravi: Bareeda Razi Allah Unho)

Friday, 17 August 2012

Allah Apnay Rasoolon Ko Jis Qadar Chahta Hai Ghaib Ka Ilm Deta Hai

لوگو جب تک اللہ ناپاک کو پاک سے الگ نہ کر دے گا مومنوں کو اس حال میں جس میں تم ہو ہرگز نہیں رہنے دے گا۔ اور اللہ تم کو غیب کی باتوں سے بھی مطلع نہیں کرے گا۔ البتہ اللہ اپنے پیغمبروں میں سے جسے چاہتا ہے منتخب کر لیتا ہے سو تم اللہ پر اور اس کے رسولوں پر ایمان رکھو۔ اور اگر ایمان پر قائم رہو گے اور پرہیزگاری کرو گے تو تم کو اجر عظیم ملے گا۔

Allah is not to leave the believers in the state you are in, unless He separates the impure from the pure. Allah is not to inform you of the Unseen. But Allah selects from His messengers whom He wills. So, believe in Allah and His messengers. If you believe, and fear Allah, you will deserve a great reward.

[Mafhom-e-Quran: Logo jab tak Allah napaak ko paak say alag na kar day ga mominon ko is hal main jis main tum ho hargiz nahi rehnay de ga. aur Allah tum ko ghaib ki baaton say bhi mutla nahi kary ga. albata Allah apnay peghambaron main say jisay chahta hai muntakhib kar leta hai so tum Allah par aur us kay rasoolon par emaan rakho. aur agar emaan par qaim raho gay aur parhezgari karo gay to tum ko ajar e azeem milay ga.]

(Surah # 3, Aal-e-Imran, Ayah # 179)

Wednesday, 15 August 2012

Dosri Zindagi Kay Bagair Hayat-e-Dunya Be-Maqsad Hai

کیا تم یہ خیال کرتے ہو کہ ہم نے تمکو بے مقصد پیدا کیا ہے اور یہ کہ تم ہماری طرف لوٹ کر نہیں آؤ گے؟

So did you think that We created you for nothing, and that you will not be brought back to Us?”

[Mafhom-e-Quran: kiya tum ye khyal kartay ho kay hum nay tumko bay maqsad paida kia hai aur ye kay tum hamari taraf laut kar nahi aao gay?]

(Surah # 23, Al-Mumenoon, Ayah # 115)

Tuesday, 14 August 2012

Allah Ki Rah Main Kharch Karnay Ka Sawab 700 Guna (Times) Hai

جو لوگ اپنا مال اللہ کی راہ میں خرچ کرتے ہیں ان کے مال کی مثال اس دانے کی سی ہے جس سے سات بالیں اگیں اور ہر ایک بال میں سو سو دانے ہوں۔ اور اللہ جسکے اجر کو چاہتا ہے اور زیادہ کرتا ہے اور اللہ کشائش والا ہے سب کچھ جاننے والا ہے۔

The example of those who spend in the way of Allah is just like a grain that produced seven ears, each ear having a hundred grains, and Allah multiplies (the reward) for whom He wills. Allah is All-Embracing, All-Knowing.

[Mafhom-e-Quran: Jo log apna maal Allah ki rah main khrach kartay hain un kay maal ki misaal is danay ki si hai jis say saat baalain ugain aur har aik baal main so so (100) danay hon. aur Allah jiskay ajar ko chahta hai aur zyada karta hai aur Allah kashaish wala hai sab kuch jannay wala hai.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 261)

Sunday, 12 August 2012

Zikar e Allah Kay Aadab

اور اپنے پروردگار کو دل ہی دل میں عاجزی اور خوف سے اور پست آواز سے صبح و شام یاد کرتے رہو اور دیکھنا غافل نہ ہونا۔

Remember your Lord in your heart with humility and awe, and without speaking loudly, in mornings and evenings, and do not be among the heedless.

[Mafhom-e-Quran: Aur apnay parwardigar ko dil hi dil main aajzi aur khof say aur past aawaz say subha o sham yaad kartay raho aur dekhna ghafil na hona.]

(Surah # 7, Al-Araf, Ayah # 205)

Shab-e-Qadar Manin Naiki Ka Hazar Guna Say Zaaid Sawab

شب قدر ہزار مہینے سے بہتر ہے۔ اس میں فرشتے اور روح القدس ہر کام کے انتظام کے لئے اپنے پروردگار کے حکم سے اترتے ہیں۔ یہ رات طلوع فجر تک امن و سلامتی ہے۔

The Night of Qadr is much better than one thousand months. The angels and the Spirit descend in it, with the leave of your Lord, along with every command. Peace it is till the debut of dawn.

[Mafhom-e-Quran: Shab-e-qadar hazar mahinay say behtar hai. Is main farishtay aur roh ul qudoos har kaam kay intezam kay liye apnay parwardigar kay hukum say utartay hain. Yeh raat tulo-e-fajar tak aman o salamti hai. ]

(Surah # 97, Al-Qadr, Ayah # 3-5)

Saturday, 11 August 2012

Ramzan Kay Akhri Ashra Main Itikaf Karna

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam Ramazan kay akhri das (10) dinon main itikaf farmaya kartay thay (Muslim, Hadees #2780, Kitab uL itikaf, Ravi: ibne Umar Razi Allah Anho, Baab: Ramazan kay Akhri Ashra main aitekaf karna)

Shab-e-Qadar Say Pichlay Tamam Gunah Maaf Ho Jate Hain

Mafhom-e-Hadees: Jo Shab e Qadar main emaan aur Sawab ki Niyyat say ibadat karta hai us kay pichlay tamam Gunah Maaf ho jain gay (Bukhari, Hadees #2014, Kitab us Soum, Ravi: Abo Horaira R.A, Baab: Shab e Qadar ki Fazilat)

Friday, 10 August 2012

Musalman Jhoota Nahi Hosakta

Mafhom e Hadees: Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam say kisi nay pocha: Momin Buzdil ho sakta hai? Aap SalLalLaho Alaihe Wasallam nay Farmaya: Haan, Phir Pocha Kia Momin Bakheel ho Sakta hai? Aap Alaihe Salam nay Farmaya: Haan, Phir Pocha: Kia Momin Jhoota Ho Sakta hai? Aap Alaihe Salam nay Farmaya: Nahi (Muotta Imaam Malik, Hadees # 2371, Kitab uL Jamay, Baab: Sach aur Jhoot ka Bayan, Ravi: Safwan Bin Sulaym Rz.A)

Thursday, 9 August 2012

Baghair Roza Rakhay Itikaf Nahi Hota

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Roza Rakhay Baghair itikaf nahi hota (Mustadrak Hakim, Hadees # 1639, Kitab us Soum, Ravi: Ayesha Rz.A)

Masla: itikaf kay liye Roza Rakhna Shart hay Lehaza Jis Din Roza na rakha Us din se aitekaf toot gaya, Bimari ki waja se itikaf torna jaiz hay, Lekin aik din kay itikaf ki Qaza Wajib hogi (Radd ul Muhtar, Jild # 2, Page # 442, 447, Publisher: H.M. Saeed)

Wednesday, 8 August 2012

Jo Shakhs Ramazan Main Jhot Bolna Aur Dhoka Dena Na Choray

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam nay Farmaya: Agar koi Shakhs Jhot Bolna aur Dhoka Dena na Choray to ALLAH ko uski koi Zarorat nahi kay wo apna Khana Peena chor day (Bukhari, Hadees # 1903, Kitab us Soum, Ravi: Abo Horaira Razi Allah Anho, Baab: Jo Shakhs Ramazan main Jhot Bolna aur Dhoka dena na choray)

Tuesday, 7 August 2012

Allah Kay Nazdeeq Badtareen Jaanwar

اور ان لوگوں جیسے نہ ہونا جو کہتے ہیں ہم نے سن لیا مگر حقیقت میں نہیں سنتے۔ کچھ شک نہیں کہ اللہ کے نزدیک تمام جانداروں میں بدترین وہ بہرے گونگے لوگ ہیں جو عقل سے کام نہیں لیتے۔

And do not be like those who say, “We have listened” while they do not listen. Surely, the worst of all animals in the sight of Allah are the deaf and the dumb who do not understand.

[Mafhom-e-Quran: Aur un logon jese na hona jo kehtay hain hum nay sun liya magar haqeqat main nahi suntay. Kuch shak nahi kay Allah kay nazdeeq tamam jandaroon main badtareen wo behray gongay log hain jo aqal say kaam nahi letay.]

(Surah # 8, Al-Anfal, Ayah # 21-22)

Monday, 6 August 2012

Musalmano Ko Allah Aur Rasool Ki Itaat Ka Hukum

اے ایمان والو اللہ اور اسکے رسول کے حکم پر چلو اور اس سے روگردانی نہ کرو جبکہ تم سنتے بھی ہو۔

O you who believe, obey Allah and His Messenger, and do not turn away from Him when you listen (to him).

[Mafhom-e-Quran: Aay eeman walo Allah aur uskay rasool kay hukum par chalo aur us say rogardaani na karo jabkay tum suntay bhi ho]

(Surah # 8, Al-Anfal, Ayah # 20)

Ramzan Main Jannat Kay Darwazay Khol Diye Jatay Hain

Mafhom e Hadees: Jab Ramzan aata hai to Jannat kay Darwazay khul jatay hain, Dozakh kay Band Kar Diye Jatay Hain, Aur Shaitan Zanjiron main Kas Dia Jata hai. (Muslim, Jild3, Hadees # 2495)

Sunday, 5 August 2012

Sehri Khana Barkat Ka Baais Hai

Mafhom e Hadees: Nabi Kareem (S.A.W) nay farmaya: "Sehri Khao, Sehri Mein Barkat Hai. (Muslim, Jild#3, H#2549,Ravi: Anas Rz.A)

Friday, 3 August 2012

Taraweeh Ki Namaz Parhna Sunnat Hai

Mafhom e Hadees: ALLAH nay Ramazan kay Rozay Farz kiye hain aur is kay Qiyam (Taraweeh) ko Maine Tumharay Liye Sunnat Qarar diya hai (ibne Maja, Hadees #1328, Abwab o iqamat es Salat, Baab: Mah e Ramazan ka Qiyam, Ravi: Abdul Rehman Rz.A)

Thursday, 2 August 2012

Khairaat o Sadqaat Kay Faiday

جو لوگ اپنا مال رات اور دن اور پوشیدہ اور ظاہر اللہ کی راہ میں خرچ کرتے رہتے ہیں ان کا صلہ انکے پروردگار کے پاس ہے۔ اور ان کو قیامت کے دن نہ کسی طرح کا خوف ہو گا اور نہ غم۔

Those who spend their wealth night and day, secretly and openly,- they have their reward with their Lord, and there is no fear for them, nor shall they grieve.

[Mafhom-e-Quran: Jo log apna maal raat aur din aur poshida aur zahir Allah ki raah main kharch kartay rehtay hain un ka sila unkay parwardigar kay paas hai. aur un ko qayamat kay din na kisi tarhan ka khof hoga aur na gham.]

(Surah # 2, Al-Baqara, Ayah # 274)

Wednesday, 1 August 2012

Quran Hi Sab Say Seedha Rasta Hai

یہ قرآن وہ رستہ دکھاتا ہے جو سب سے سیدھا ہے اور مومنوں کو جو نیک عمل کرتے ہیں بشارت دیتا ہے کہ ان کے لئے اجر عظیم ہے۔ اور یہ بھی بتاتا ہے کہ جو آخرت پر ایمان نہیں رکھتے ان کے لئے ہم نے دکھ دینے والا عذاب تیار کر رکھا ہے۔

Surely, this Qur’ān guides to something that is most straightforward, and gives glad tidings to the believers who do good deeds that ready for them there is a great reward, and that We have prepared a painful punishment for those who do not believe in the Hereafter

[Mafhome-e-Quran: Yeh Quran wo rasta dikhata hai jo sab say seedha hai aur momino ko jo naik amal kartay hain basharat deta hai kay un kay liye ajar e azeem hai. Aur yeh bhi batata hai kay jo aakhirat par eeman nahi rakhtay un kay liye hum nay dukh denay wala azab tyar kar rakha hai.]

(Surah # 17, Bani Israil, Ayah # 9-10)

Bhool Kar Khanay Peenay Say Roza Nahi Tootta

Mafhom e Hadees: Jab koi Bhool gaya aur Kuch Kha lia to usay Chahiye kay Apna Roza Pora Karay, Kion kay usko ALLAH nay khilaya aur Pilaya (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1933, Baab: Agar Roza Dar Bhol kar Kha pee lay, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

Most Viewed in 7 Days