بسم الله الرحمن الرحيم

Saturday, 28 April 2012

Zameen Ki Barkatain


اور اسی نے زمین میں اس کے اوپر پہاڑ بنائے اور زمین میں برکت رکھی اور اس میں سامان معیشت مقرر کیا سب چار دن میں۔ اور تمام طلبگاروں کے لئے یکساں۔

He has placed firm mountains in it (the earth) towering above it, and put blessings in it, and proportioned its foods therein, in four days, equal for those who ask.

[Aur usi nay zameen main is kay oper pahar banaye aur zameen main barkat rakhi aur us main saman-e-maeshat muqarar kia sab char din main. aur tamam talabgaron kay liye yaksan.]

(Surah # 41, Fussilat / Hā Mīm As-Sajda, Ayah # 9)

Friday, 27 April 2012

Zameen Ki Takhleeq Do (2) Din Main Hui

کہو کیا تم اس ذات کا انکار کرتے ہو جس نے زمین کو دو دن میں پیدا کیا۔ اور بتوں کو اس کا مدمقابل بناتے ہو۔ وہی تو تمام جہانوں کا مالک ہے۔

Say, “Do you really disbelieve in the One who has created the earth in two days, and ascribe to Him partners? That is the Lord of the worlds.


[Kaho kia tum us zaat ka inkar karte ho jis ne zameen ko do din main paida kia. aur buton ko is ka mad-e-muqabil banate ho. wohi to tamam jahano ka malik hai.]

(Surah # 41, Fussilat / Hā Mīm As-Sajda, Ayah # 9)

Tuesday, 24 April 2012

Makhlooqat aur Parindon ki Tasbih


کیا تم نے نہیں دیکھا کہ جو لوگ آسمانوں اور زمین میں ہیں اللہ کی تسبیح کرتے رہتے ہیں۔ اور پر پھیلائے ہوئے پرندے بھی۔ اور سب اپنی نماز اور تسبیح کے طریقے سے واقف ہیں اور جو کچھ وہ کرتے ہیں سب اللہ کو معلوم ہے۔

Did you not realize that purity of Allah is proclaimed by all those in the heavens and the earth, and by the birds with their wings spread out? Everyone knows one’s own (way of) praying (to Allah) and one’s own (way of) proclaiming Allah’s purity. And Allah knows well what they do.

[Kiya tum ne nahi dekha kay jo log aasmano aur zameen mian hain Allah ki tasbih karte rehte hain aur phelae hue parinde bhi aur sab apni namaz aur tasbih kay tareeke se waqif hain aur jo kuch wo karte hain sab Allah ko malom hai.]
(Surah # 24, An-Noor, Ayah # 41) 

Sunday, 22 April 2012

Main To Sirf Us Hukum Par Chalta Hun Jo Allah Ki Taraf Se Aata Hai

تو کہہ میں نہیں کہتا تم سے کہ میرے پاس ہیں خزانے اللہ کے اور نہ میں جانوں غیب کی بات اور نہ میں کہوں تم سے کہ میں فرشتہ ہوں میں تو اسی پر چلتا ہوں جو میرے پاس اللہ کا حکم آتا ہے تو کہہ دے کب برابر ہو سکتا ہے اندھا اور دیکھنے والا سو کیا تم غور نہیں کرتے

Say, “I do not say to you that I have the treasures of Allah, nor do I have the knowledge of the Unseen, nor do I say to you that I am an angel. I only follow what is revealed to me.” Say, “Are the blind and the seeing alike? Do you, then, not reflect?”

[Tu keh main nahi kehta tum se kay mere paas hain khazane Allah kay aur na main janu ghaib ki baat aur na main kahoon tum se kay main farishta hun main to usi par chalta hun jo mere paas Allah ka hukum aata hai tu keh de kab barabar ho sakta hai andhaa aur dekhne wala so kiya tum ghor nahi karte.]

(Surah # 6, Al-Anaam, Ayah # 50)

Friday, 20 April 2012

Mujhe ALLAH ka Banda aur Uska Rasool kaho

Mafhome Hadees: Rasoolullah SalLalLahu Alaihe Wasallam ne irshad Farmaya: Meri Tareef Had se Barha kay na kerna Jis Tarha Nasara ne Eesa Alaihe Salam ki had se Ziada Tareef ki (kay Unko ALLAH ka Beta bana dia) Main to Sirf ALLAH ka Banda hon, Is liye Mujhe ALLAH ka Banda aur Uska Rasool kaho (Bukhari, H#3445, Kitab uL Ambia, Ravi:Umar R.A

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Sab se Behtareen Tabqa

Mafhome Hadees: Nabi Alaihe Salam ne Farmaya: Meri ummat ka Sab se Behtareen Tabqa Wo hay jo Mere sath hay (Yani Sahaba) Phir wo hay jo un kay sath hoga (Yani Tabaeen) Phir wo hay jo un kay sath hoga (yani Taba Tabaeen) (Muslim, Hadees #6469, Kitab uL Fazail, Baab: Sahaba Rz.A, Tabaieen aur Taba Tabaieen Re.A ki Fazilat, Ravi: ibne Masood R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Thursday, 19 April 2012

Takbeer-e-Ula ki Fazilat


Mafhom e Hadees: Jis Nay 40 Din tak Takbeer-e-Ula kay Sath Khalis ALLAH ki Raza kay liye Bajamaat Namaz parhi, Uski do (2) cheezon Say Nijaat likh di jati hai, (1) Jahannum Say Nijaat, (2) Nifaq Say Nijaat. (Tirmazi, Abwab us Salaat, Hadees#229, Ravi: Anas Rz.A, Baab:Takbeer-e-Ula ki Fazilat)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Tuesday, 17 April 2012

Jihad Kay Do Maqasid Main Se Aik Maqsad Yeh Bhi Hay

اور تم کو کیا ہوا ہے کہ اللہ کی راہ میں اور ان بے بس مردوں اور عورتوں اور بچوں کی خاطر نہیں لڑتے جو دعائیں کیا کرتے ہیں کہ اے پروردگار ہم کو اس شہر سے جسکے رہنے والے ظالم ہیں نکال کر کہیں اور لیجا۔ اور اپنی طرف سے کسی کو ہمارا حامی بنا۔ اور اپنی ہی طرف سے کسی کو ہمارا مددگار مقرر فرما۔


What has happened to you that you do not fight in the way of Allah, and for the oppressed among men, women and children who say, “Our Lord, take us out from this town whose people are cruel, and make for us a supporter from Your own, and make for us a helper from Your own.”


[Aur tum ko kia hua hai kay Allah ki rah main aur un be bas mardon aur aurton aur bachon ki khatir nahi larte jo duain kia karte hain kay ay parwardigar hum ko is shehar se jis kay rehne wale zalim hain nikal kar kahin aur le ja aur apni taraf se kisi ko hamara haami bana aur apni hi taraf se kisi ko hamara madadgar muqarrar farma]
(Surah # 4, An-Nisa, Ayah # 75)

Allah Sab Kuch Jannay Wala Khabardar Hai

بیشک اللہ کے پاس ہے قیامت کی خبر اور اتارتا ہے مینہ اور جانتا ہے جو کچھ ہے ماں کے پیٹ میں اور کسی جی کو معلوم نہیں کہ کل کو کیا کرے گا اور کسی جی کو خبر نہیں کہ کس زمین میں مرے گا تحقیق اللہ سب کچھ جاننے والا خبردار ہے


Surely, it is Allah with whom rests the knowledge of the Hour; and He sends down the rain, and He knows what is in the wombs. No one knows what he will earn tomorrow, and no one knows in which land he will die. Surely, Allah is All Knowing, All Aware.


[Beshak Allah kay pass hai qayamat ki khabar aur utarta hai minah aur janta hai jo kuch hai maan kay pait main aur kisi ji ko malom nahi kay kal ko kiya kare ga aur kisi ji ko khabar nahi kay kis zameen main mare ga tehqeeq Allah sab jannay wala khabardar hai.]

(Surah # 31, Luqman, Ayah # 34)

Jahannum ki AAG 69 Darjay Zada hay

Baab: Jahannum ka Biyan
Mafhome Hadees: Tumhari Yeh AAG Jisay Insan Jalatay hain Jahannum ki AAG kay 70 Hisson main se 1 hissa hay, Phir Farmaya: Dozakh ki AAG Dunia ki AAG kay Muqablay main 69 Darjay Barha di Gai hay (Muslim, Hadees # 7165, Kitab uL Jannat, Ravi: Abbo Horaira Rz.A)

Gunah karnay se Pehlay Sochain kay Hum to Duniya ki AAG ka Aazab bhi Bardasht nahi kar saktay, Jahannum ki AAG ka Aazab kese Bardasht karain gay?


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Monday, 16 April 2012

Momineen Ki Sifat

:مومنین کی صفات
اور ایمان والے مرد اور ایمان والی عورتیں ایک دوسرے کی مددگار ہیں سکھلاتے ہیں نیک بات اور منع کرتے ہیں بری بات سے اور قائم رکھتے ہیں نماز اور دیتے ہیں زکوٰۃ اور حکم پر چلتے ہیں اللہ کے اور اسکے رسول کے وہی لوگ ہیں جن پر رحم کرے گا اللہ بیشک اللہ زبردست ہے حکمت والا

The believers, male and female, are friends to each other. They bid virtue and forbid vice and establish Salāh and pay Zakāh and obey Allah and His Messenger. Those are the ones whom Allah will bless with mercy. Surely, Allah is Powerful, Wise.

[Aur eman walay mard aur eman wali aurtain aik dosray ki madadgar hain sikhlate hain naik baat aur mana karte hain buri baat se aur qaim rakhte hain namaz aur dete hain zakat aur hukum par chalte hain Allah kay aur uskay rasool kay wohi log hain jin par reham kare ga Allah beshak Allah zabardast hai hikmat wala.]

(Surah # 9, At-Taubah, Ayah # 71)

Namaz Kay Liye Masjid Jana

Mafhome Hadees: Jab Tum main se Koi Shakhs Achi Tarhan Wuzu Karay aur Phir Namaz kay Liye Jaye, Tou Jab Bayaan (Left) Paon Uthay Ga tou os se 1 Gunah Muaf kar Diya Jaye Ga, Aur Dayaan (Right) Paon uthanay par os kay Liye 1 Neki Likhi Jaye Gi Aur Yeh Silsila Masjid main Janay tak Jari Rahay ga (Mustadrak Hakim, Hadees #899, Darja: Sahi, Kitab us Salaat, Baab: Imamat aur Namaz e Juma, Ravi: Ibne Umar Razi Allah Anhuma)

Huzoor Sallal Laho Aalaihe Wasallam ki Ummat Sab Se Behtar Ummat Hai

:حضور صلی اللہ علیہ وسلم کی امت سب سے بہتر امت ہے
تم ہو بہتر سب امتوں سے جو بھیجی گئ عالم میں حکم کرتے ہو اچھے کاموں کا اور منع کرتے ہو برے کاموں سے اور ایمان لاتے ہو اللہ پر اور اگر ایمان لاتے اہل کتاب تو ان کے لئے بہتر تھا کچھ تو ان میں سے ہیں ایمان پر اور اکثر ان میں نافرمان ہیں 

You are the best ‘Ummah ever raised for mankind. You bid the Fair and forbid the Unfair, and you believe in Allah. If the people of the Book had believed, it would have been better for them. Among them, there are believers, while most of them are sinners.

[Tum ho behtar sab ummaton se jo bheji gai aalam main hukum karte ho ache kaamon ka aur mana karte ho buray kaamon se aur eman laye ho Allah par aur agar eman laty ahl-e-kitab to un kay liye behtar tha kuch to un main se hain eman par aur aksar un me nafarman hain.]
(Surah # 3, Aal-e-Imran, Ayah # 110)

Friday, 13 April 2012

Nabi Sallal Laho Aalaihe Wasallam ko Ilm-e-Ghaib Hasil Nahi Tha

تو کہہ دے کہ میں مالک نہیں اپنی جان کے بھلے کا اور نہ برے کا مگر جو اللہ چاہے اور اگر میں جان لیا کرتا غیب کی بات تو بہت کچھ بھلائیاں حاصل کر لیتا اور مجھ کو برائی کبھی نہ پہنچتی میں تو بس ڈر اور خوشخبری سنانے والا ہوں ایماندار لوگوں کو

Say, “I have no power to bring a benefit or a harm to myself, except that which Allah wills. If I had the knowledge of the Unseen, I would have accumulated a lot of good things, and no evil would have ever touched me. I am but a warner, and a herald of good news for a people who believe.”

[Tu keh de kay main malik nahi apni jaan kay bhalay ka aur na buray ka magar jo Allah chahe aur agar main jaan liya karta ghaib ki baat to bohat kuch bhalaiyan hasil kar leta aur mujh ko burai kabhi na pohanchti main to bas darr aur khushkhabri sunane wala hun emandar logon ko.]

(Surah # 7, Al-Araf, Ayah # 188)

Bhalai ka Hukam Dena aur Khud Bhalai Na Karna


Mafhom-e-Hadees: Aik (1) Admi Ko Qayamat Kay Din Sakht Azab Diya Jaey Ga To Log Us Say Pochain Gay Kay Kya Tu Hamain Bhalai Ka Hukam Nahi Daita Tha Aur Burai Say Nahi Rokta tha? To Wo Kahay Ga Main Bhalai Ka Hukam Daita Tha Khud Bhalai Karta Nahi Tha Burai Say Logo Ko Rokta tha Khud Nahi Rukta Tha. (Mishkaat, bab-Ul-Amar, Jild#2)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Hazrat Hassan aur Hussain Razi Allah Unhum kay Fazail

Baab: Hazrat Hassan aur Hussain Razi Allah Unhum kay Fazail
Mafhom e Hadees: ALLAH kay Rasool Sallallaho Alaihe Wasallam ne Farmaya: Jis ne Hazrat Hassan aur Hussain Razi Allah Unhum se Muhabbat ki us Ne Mujh se Muhabbat ki aur Jis ne In se Bughz rakha us ne Mujh se Bughz rakha (Ibne Maja, Hadees#143, Kitab us Sunnat, Abwabo Fazail e Ashaab e Rasool Sallallaho Alaihe Wasallam, Ravi: Abbo Horaira Razi Allah Unho, Darja: Sahi)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Thursday, 12 April 2012

Qayamat kay Din in Sawalon ka Jawab Lazmi Dena Hoga


Mafhom e Hadees: Qayamat kay Din Admi kay dono (2) Qadam us waqt tak (Hisab ki Jaga se) nahi hat sakte jab tak us se in cheezon kay baray main pooch na liya jaye: 
1) Apni Umar kis kaam main kharch ki? 
2) Apne ilm par kia amml kia? 
3) Maal kahan se kamaya aur kahan kharch kia? 
4) Apni Jismani Taqat kis kaam main Lagai? 
(Tirmazi, Darja: Hassan Sahi, Hadees#2516, Abwabo Siffatil Qayamat, Ravi:Abbo Barza Aslami R.A, Baab: Hisab o Qisas kay Baray)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday, 11 April 2012

Sahaba Razi Allah Unhum ko Bura Kehna Haram hay

Mafhom e Hadees: Mat bura kaho meray Ashaab (Razi Allah Unhum) ko, Mat bura kaho Mere Ashaab (Razi Allah Unhum) ko, Qasam uski jis kay hath main Meri jaan hai, agar koi tum main se Uhad pahar kay barabar sona kharch karay, tou bhi in (SAHABA Razi Allah Unhum) kay sair ya adhay sair kay barabar nahi ho sakta (Muslim, Hadees #6487, Kitab uL Fazail, Baab: Sahaba Razi Allah Unhum ko Bura Kehna Haram hay, Ravi: Abbo Horaira Razi Allah Unho)

ALLAH kay Rastay main Maal Kharch karnay ki Fazilat


Mafhom e Hadees: Jo Shaks ALLAH ki Rah main kuch Kharch karta hay to us kay liye 700 Gunna Sawab likha jata hay (Tirmazi, Darja: Hassan, Hadees #1678, Abwabo Fazail e Jihad, Ravi: Khurraim Bin Fatik Rz.A, Baab: ALLAH kay Rastay main Maal Kharch karnay ki Fazilat)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Tuesday, 10 April 2012

ALLAH ki Rah main Sobho aur Sham laga dene ki fazilat

Mafhom e Hadees: ALLAH kay Rastay main aik Sobho ya aik sham ka laga dena, Duniya aur jo kuch is main hay se behtar hay (Tirmazi, Darja: Sahi, Hadees #1702, Kitab o Fazail e Jihad, Baab: ALLAH ki Rah main Sobho aur Sham laga dene ki fazilat, Ravi: Anas Razi Allah Unho)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Monday, 9 April 2012

Islam ki Chotti

Mafhome Hadees: Islam kay Kohan ki Bulandi (Islam ki Chotti) ALLAH kay Rastay main Jihad karna hay (Ahmed, Hadees #22366, Musnad uL Ansaar, Ravi: Maaz Bin Jabal Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Aurat kay Sath Narmi say Paish Aao

Mafhom e Hadees: Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Farmaya: Aurat Pasli Ki Haddi say Paida ki gai hay, Agar Esay Seedha karna Chaho Gay to Toot Jaye Gi, Lehaza Es say Narmi kay Sath Paish aao. (Sunan Darmi, Hadees # 2267, Darja: Sahi, Kitab un Nikah, Baab: Biwi ki Khidmat karnay ka Biyan, Ravi: Hazrat Abbo Zar Razi Allah Unho)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Durood na Bhejnay wala bhi Bakheel Hay

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam ne Farmaya: Wo Bakheel Hay Jis kay Samnay Mera Zikar ho aur Wo Mujh Par Durood na Bhejay (Tirmazi, Hadees # 3680, Kitab ud Dawaat, Baab: Tauba Aur Astaghfar ki Fazilat aur ALLAH ki Apne Bandon par Rehmat, Ravi: Hazrat Ali Razi Allah Unho)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Friday, 6 April 2012

Kisi Kay Bhi Poshida Aiebon Kay Peechay Nahi Parna Chahiye

Mafhome Hadees: Tum Musalmanon ki Gheebat na kia karo aur un kay Poshida Aiebon kay peechay na para karo (Yani Unki Chopi hui Kamzorion ki Tasheer aur Toh na lagaya karo) Kyun kay Jo kisi ki izzat kay pechay parta hay to ALLAH uski izzat kay pechay par jata hay aur ALLAH jis ki izzat kay pechay par jaye to usko Ghar main Zaleel kar dega (Abbo Dawood, Hadees #4880, Kitab uL Addab, Baab: Gheebat ka Biyan, Ravi: Abbo Barza Aslami R.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Khanay ki Sunnatain

1) Bismillah Parh kay Khana,
2) Daien Hath (Right Hand) Say Khana,
3) Khana Agar aik Qisam ka Hoto Apne Samnay say Khana. (Bukhari, Hadees # 5376, Kitab uL Ateima, Baab: Khanay k Start main Bismillah Parhna aor Daien Hath se Khana, Ravi: Umar Bin Abi Salma Rz.A)
4) Taik Laga kar na Khana (Bukhari, Hadeed # 5398, Kitab uL Ateima, Baab: Takia Laga kar Khana Kesa hay, Ravi: Abbo Juhaifa Rz.A)
5) Khanay main say Koi Aieb Nahi Nikalna Chahiye, Pasand Hoto Kha Lena Chahiye aur Agar Na Pasand hoto Chor Dena Chahiye (Muslim, Hadees #5380, Kitab uL Ashriba, Baab: Khanay main Aieb Nahi Nikalna Chahiye)
6) Khanay kay Baad Ungliyan Chatna,
7) Agar Nawala Hath Say Gir Jaye to Utha kar Saaf kar kay Kha Lena (Muslim, Hadees #5301, Kitab uL Ashriba, Baab: Khanay kay Baad Ungliyan Chatna Mustahab hay)
8) Khanay se Pehlay aur Khana Kha kay donon Hath dhonay say Ghar Main Khair o Barkat aaye Gi (Ibne Maja, Hadees #3260, Kitab uL Ateima, Baab: Khanay se Pehlay Hath Dhona, Ravi: Anas Rz.A)
9) Jis Bartan main Khaya Jaye usko Saaf Karna (Ibne Maja, Hadees #3271, Kitab uL Ateima, Baab: Piyala Saaf Karna, Ravi: Umme Asim Rz.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Thursday, 5 April 2012

Juma Kay din Kasrat say Durood Bhejna

Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam ne Farmaya: Juma Kay din Tum Mujh Par Kasrat say Durood Bheja Karo, Kion kay Tumhara Darood Mujh par Paish kia jata hay (Mustadrak Hakim, Hadees # 8859, Kitab uL Ahwaal)
1) Imam Hakim Re.A aor 2) Imam Zahbi Re.A Farmatay Hain kay Yeh Hadees Sahi Bukhari aur Sahi Muslim ki Sharait kay Mutabiq Sahi hay (Mustadrak Hakim, Jild # 5, Page # 457, Maktaba: Qadeemi Kutab Khana, Karachi)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Zaqqum Ka Darakht

Mafhome Hadees: (Jahannum main Peda honay Wala aik Darakht) Zaqqum ka aik Qatra bhi Duniya main Tapka Dia jaye to Duniya Walon kay Liye inki Zindagi Barbad kar day, to In Logon ka Kia Haal hoga Jin ka Khana He Yehi (Zaqqum) hoga (Tirmazi, Hadees # 2688, Darja: Hassan Sahi, Abwabo Siffat e Jahannum, Ravi: Ibne Abbas Rz.A, Baab: Dozakhion kay Mashrobat)


Gunah Karnay say Pehlay Sochain kay Kia Main ALLAH ka Aazab Bardasht Kar Sakon Ga

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Zaqqum ka Darakht Gunah-Garon ka Khana hay

Mafhome Quran: Beshak (Dozakh main) Zaqqum ka Darakht Gunah-Garon ka Khana hay, Jo Pighlay hoye Tanbay ki tarha hay, Jo Pait main Ayse Josh Maray ga Jese Kholta howa Pani Marta hay, (Hukum hoga kay) Esko Pakar lou Aor Ghaseettay hoye Dozakh kay Darmian tak lay jao, Aor Es kay Sar par Kholta howa Garam Pani Dalo, Lay Maza Chakh, Tou Bara Izzat wala aor Baray Ikram wala Samjha jata tha (Surah Dukhan, Aayat #43 se 49, Para #25)

Most Viewed in 7 Days