بسم الله الرحمن الرحيم

Tuesday, 28 February 2012

Kon sa Kaam sab se Afzal hay?

Mafhome Hadees: Abdullah Bin Masood Rz.A Farmatay hain Mene Rasoolullah SalLalLaho Alaihe Wasallam se pocha, Kon sa Kaam sab se Afzal hay, Aap Alaihe Salam ne Farmaya: Namaz ko Waqt par Adda karna, Mene Pocha Phir Kon sa? Aap ne Farmaya: Waldain se Naik Salook karna, Mene pocha Phir kon sa, Aap ne Farmaya: ALLAH kay Rastay main Jihad karna (Muslim, H#252, Kitab ul Eeman, Baab: ALLAH per Eeman lana sab kamon se afzal hay)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Waldain kay Sath Naik Salook karnay ka Bayan

Baab: Waldain kay Sath Naik Salook karnay ka Bayan
Mafhome Hadees: Aik Shaks ne ALLAH kay Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam se pocha kay Aulad par Maan Baap ka kitna Haq hay? Aap ne Farmaya Wo Tumhari Jannat hain ya Dozakh (Ibne Maja, Hadees # 3663, Abwab uL Addab, Ravi: Abbo Amma Rz.A)

Agar Hum Apne waldain ko Razi rakhain gay to Hamara Thikana JANNAT hoga, Aur Agar Waldain Ki Nafarmani ki to Phr hamara Thikana Jahanum hoga.

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Waldain ki Nafarmani Kabira Gunahon main se hay

Baab: Waldain ki Nafarmani Kabira Gunahon main se hay
Mafhom e Hadees: ALLAH ne Tum par Maan ki Nafarmani Haram qarar di hay, Aor (Waldain k Haqooq) na dena aor (Na-haq un se) Mutaalbat karna (b Haram Qarar dia hay) (Bukhari, Hadees # 5975, Kitab uL Addub, Ravi: Hazrat Mugheera Razi Allah Unho)

ALLAH Muje aor Aap ko Apne Waldain ki har wo baat zaror mannay ki Toufeeq day Jo Khilaaf e Shariat na ho.....! Aameen
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday, 22 February 2012

Gheebat aur Bad Kalami ka Biyan

Mafhome Hadees: Gheebat Zina se Badtar hai, Pocha gia kay Gheebat Zina se Badtar kese ho sakti hai? Nabi Alaihe Salam ne Farmaya: Admi Zina karta hay phir Tauba kar leta hai aur ALLAH usko maaf kar deta hay lekin Gheebat karnay walay ko ALLAH maaf nahi karta jab tak Wo Shaks maaf na kar day jis ki is ne Gheebat ki ho (Mishkat, H#4657, Kitab uL Addab, Baab: Zaban ki Hifazat, Gheebat aur Bad Kalami ka Biyan, Ravi: Jabir R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Jin ko ALLAH Ka Khauf ho

Quran: Beshak Jin Logo Nay Kaha K Sirf ALLAH hi Hamara Rab hy aur Esy Pe Sabit Qadam Rahy To Na Un Per Koi Khauf hoga na Wo Ghamzada hon gay. (Surah Ahqaaf # 46 , Ayat #13)

Aaj ALLAH Ka Khauf Hamary dilon Say Nikal gaya hy, Shirk, Bidaat, Moseeqi Aam Ho Chuki hy, Jis Waja Say Jan-o-Maal ka Khauf aur Rizq ki Tangi Hamary Samnay hy.
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Jannat aur Jahanam Ki Sifat

Jab Jannati, Janat Mein Chaly Jayen gay, aur Dozkhi, Dozkh Mein Chaly Jayen gay, To Maut ko Laya Jayega aur Usy Jannat Aur Dozakh K Drmian Rakh Kar Zabah Kar Diya Jayega, Phr 1 Awaz Deny Wala Awaz Dega K Ahle Jannat Tumain Maut Nahi ayegi, Aey Ahle Dozakh Tumain Maut nahi Ayegi, Us Waqt Jannati aur Ziada Khush Ho Jayen gay aur Dozkhi aur Ziada Ghamgeen Ho Jayengay. (Bukhari, Kitab-ul-Riqaq, Baab: Jannat aur Jahanam Ki Sifat).

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Kina rakhnay ki Mamaniyat

Mafhome Hadees: Peer aor Jumirat k din JANNAT k darwazay kholay jatay hain, (In 2non dinon mai Har) os banday ki jo ALLAH k sath kisi qisam ka shareeq nahi karta, Magfirat kar di jati hay, masewaye os admi k keh os k aor os k bhai k darmiaan bugz aor kina mojod ho. (ALLAH ki taraf se) kaha jata ha in 2non ko chor do hatta k sulha kar lain (Muslim, H#6544, Kitab uL Addub, Baab: Kina rakhnay ki Mamaniyat, Ravi:Abbo Horaira R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Tuesday, 21 February 2012

Gheebat ka Biyan

Mafhome Hadees: Nabi Alaihe Salam Ne Farmaya: Jab Muje Mairaj Karai gai to Main Ayse Logon k pas se Guzra Jin k Nakhun Tanbay k thay Jin se Wo Apne Chehron aor Seenon ko Noch rahay thay, Pochnay par Jibrail ne Bataya k Yeh Wo hain Jo Logon ka Gosht khaya kartay thay (Yani Logon ki Gheebat kia kartay thay) aor unki Izzaton se Khailtay thay (Abbo Dawood, H #4878, Kitab uL Addab, Baab: Gheebat ka Biyan, Ravi: Anas Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Jiski Hifazat ALLAH karay osay koi nahi mita sakta.


Quran: Hum ne es Zikar (Quran) ko Nazil kia aur Hum he eski hifazat karne walay hain (Surah Al-Hijer # 15, Ayat # 9, Para # 14) 

Qayamat Ki Nishani Lafz Mitna Nahi Bal k Ilm ka Uthna Hay, Aap Quran ki Aayat ka tarjuma Aur Ahadees parhnay kay baad delete kar sakte hain, Qurani Aayat ka Tarjuma aur Sahi Ahadees ko Phelaen aur ISLAM Se Rokney Walon Ki Sazish Ko Nakam Bana dain
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Jihad Par Imaan Lana Farz Hai

Mafhome Hadees: Jo Shaks es Haal main Mar gia kay Na to us ne Kabi JIHAD kia aur Na us kay Dil main JIHAD karnay ka Shaoq paida howa to Wo Nifaq kay aik Darjay par Mara (Muslim, Hadees#4931, Kitab uL Imarat, Ravi: Abbo Horaira Rz.A, Baab: Jo Shaks Baghair Jihad kay Mar jaye aur us kay dil main Jihad ka Shaoq bhi na ho, uski Muzammat o Burrai)

ALLAH Hamain Jihad krnay ki b Toufeeq day aur Jihad ki Tamanna bhi karnay ki toufeeq day. Aameen

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Tuesday, 14 February 2012

Aay Musalman Tere Liye Kuffar k Tariqay main Kamyabi Nahi


Quran: Beshak Tumharay Liye ALLAH kay Rasool Sallallahu Alaihe Wasallam ki Zindagi aik (1) Behtareen Namona hay (Surah Al-Ahzab, Ayat # 21, Para #21)

Mafhom e Hadees: Jis ne jis Qoum kay sath Mushabehat ikhtiyar ki to wo (Qayamat kay din) unhi main se hoga (Abbu-Dawood, Hadees # 4031, Kitab uL Libas, Baab: Shuhrat k liye Libas Pehinna, Ravi: ibne Umar Rz.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Sunday, 12 February 2012

Maa Baap Say Acha Salook Karny Ka Hukum

Dars e Quran: Hum ne insan ko yeh Hukum diya hay k wo Apnay Maan Baap se acha Salook karay. (Surah Ankaboot #29, Ayat # 8, Para # 20) 


Mai Apko ALLAH ka wasta deta hon k Plz Apne Waldain ki har wo baat zaror manain Jo Khilaaf e Shariat na ho, Aor agar Ap Dunia aor Akhrat 2non mai Kamyab hona chahtay hain to Apne Waldain se Pyar o Muhabbat se baat karain, Kabhi b unka Dil na torain, unki Khidmat kar k un se Duaien lain


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Maa Baap Kay Sath Ehsaan Karna

Quran: MAAN BAAP k sath Ehsan karna, Agar Teri mojudgi mai in mai se 1 ya 2non Burhapey ko pounch Jain To in k aagey Uff Tak na kehna, Na inhein Daant dappt karna, BaL k in k sath adab-o-Ehtaram se baat cheet karna, Aor Aajzi k sath in k aagay jhukay rahna, Aor Dua kartay rehna k Aay mere Rab! In par wesa hi Reham kar Jesay unhon ne mere Bachpan mai meri Parwarish ki hay (Surah Bani IsraiL #17, Ayat #23-24, Para #15)


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Sotay Waqt ki Kuch Sunnatain

Sotay Waqt ki Kuch Sunnatain: 
1) Dahni Karwat (Right Side Pe) lait k
2) Sonay ki Dua Parh k
3) Wuzu kar k Sona SUNNAT hay (Bukhari, Hadees # 6882, Kitab uz Zikar, Baab: Sotay Waqt ki Dua, Ravi: Barra Bin Aazib Rz.A)
4) SoNay se Pehlay 33 Martaba SubhanAllah, 33 Martaba Alhumdulillah, 34 Martaba ALLAH o Akbar Parhna (Bukhari, Hadees #5362, Kitab un Nufqa, Baab: Aurat k Liye Khadim ka Hona, Ravi: Ali Rz.A)


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Thursday, 9 February 2012

Salam kese karna chahiye

Sirf Salam ka lafz na kaha karain bal k Jo Alfaaz SUNNAT se sabit hain wo kaha karain

Mafhome Hadees: Assalam o Alaikum kehnay se 10 Naikiyan, Assalam o Alaikum WaRahmatULLAH kehnay se 20 naikiyan, Assalam o Alaikum WaRahmatULLAH e Wa Barakaatu-Hu kehnay se 30 Naikiyan milti hain (Abbo Dawood, Hadees # 5100, Kitab uL Addab, Abwab us Salam, Baab: Salam kese karna chahiye, Ravi: Imran Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Maiyat k sath sirf uska Ammel rehta hay

Mafhome Hadees: Maiyat K sath 3 cheezain jati hain, in mai se 2 wapis aa jati hain aor 1 Sath reh jati hay, Es (Maiyat) k sath Uska Maal, Aulaad aor Ammel jatay hain, Aulaad aor Maal wapis aa jatay hain aor Ammel us (Maiyat k sath) rehta hay (Tirmazi, Abwab uz Zuhad, Darja:Hassan Sahi, Hadees #2471, Ravi:Anas Bin Malik Rz.A)

Sab kuch Yahan Reh jaye ga, Sirf Aamaal sath jain gay, Es liye Jawani mai ziada ibadat karain

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday, 8 February 2012

Mout ki Tamanna Karna Manah Hay

Mafhoom e Hadees: Tum main se Koi bhi Shaks Mout ki Aarzo na karay, agar Tum Naik ho to Mumkin hay ziada Naiki kar sako aur agar badkar ho to Mumkin hay Es se Tauba kar lou..! (Bukhari, Hadees # 7235, Kitab uL Tamanna, Baab: Jis ki Tamanna Karna Manah Hay)


Sabit howa kay Mout ki Aarzo karna Kisi Musalman kay liye Jaiz nahi, Aur Hamain Apne Gunahon se Har waqt Toba karni chahiye.
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Hafiz e Quran ka Muqam

Mafhome Hadees: (Qayamat kay din) Sahib e Quran (Hafiz) se kaha Jaye ga, Quran parhta ja aur (Jannat kay darjon par) charhta ja aur thehir thehir kar parh, jesa kay to dunya main thehir thehir kar parha karta tha, Bas tera Muqam wohi hoga jahan teri Akhri Ayat ki Tilawat Khatam hogi (Tirmazi, Darja: Hassan Sahi, Hadees #3035, Kitabo Fazail e Quran, Baab:Quran se Khali Seena, Ravi:Abdullah Bin Ammar R.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Kon Log Jannat Main Ziada Jain Gay

Mafhome Hadees: Rasoolullah Sallallaho Alaihe Wasallam se Pocha Giya kay Kis amml ki waja se Log jannat main ziada Jain gay? Irshad Farmaya: ALLAH say darr aur achay Ikhlak ki Waja se, Aap Sallallaho Alaihe Wasallum say pocha giya kay kis amml ki waja say Log Jahannum main ziada jain gay? Irshad farmaya: Moun (yani Zaban) aur sharam gah ki waja say (Tirmazi, Hadees #2072, Kitab uL Birr, Baab: Achay Akhlaq, Ravi: Abbo Horaira R.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Gheebat Kisay Kehtay Hain ?

Mafhom e Hadees: Nabi Sallallahu Alaihe Salam Nay irshad farmaya: Agar wo burrai Jo tum biyan kar rahay ho, us (Admi jis ki tum Gheebat kar rahay ho) main moujood hay to tum ne uski Gheebat ki, aur agar wo burrai (jo tum biyan kar rahay ho) us main moujood he na hoto phir tum ne us par BOHTAAN bandha (MUSLIM, Hadees # 6593, Kitab uL Birr, Baab: Gheebat Haram hai, Ravi: Abbo Horaira Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Monday, 6 February 2012

Biddat Karne wale ka Naik Amal Qabool Nahi

Baab: "Biddat aor Jhagray se Bachnay ka Biyan"
Mafhom e Hadees: ALLAH Kisi Biddati ka Roza, Namaz, Sadqa, Hajj, Umra, Jihad, Farz, Nafal, (Gharz koi bhi Naik Amml) Qabool nahi farmata, Wo (Biddati Shaks) Islam se is Tarhan nikal jata hay, Jis tarhan Baal aattay se Nikaal liya jata hay (Ibne Maja, Hadees # 49, Kitab us Sunnat, Ravi: Huzaifa Razi Allah Unho)

ALLAH mujhe aur aapko Biddaat se bachaye. (Aameen)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Hoz e Kausar se Mehroomi

Mafhome Hadees: (Qayamat kay Din) Hoz e Kausar pe Mere Baaz Ummation ko Laya Jaye Ga Jinhain Mai Pehchan Lon Ga Lekin Mere Paas aanay se Unko Rok Dia Jaye Ga, Pochnay Par Bataya Jaye Ga kay Ye Wo Log hain Jinhon ne Aap kay Baad Mukhtalif Biddaat Eejaad Kar Lin Thin, Main Kahon ga Door ho Jaye Wo Jis ne Mere Baad Deen ko Badal Dala (Bukhari, Hadees #6583 aor 6584, Kitab ur Riqaq, Baab: FiL Houz, Ravi: Abbo Saeed Khudri Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

DEEN Main koi Naya Tariqa Nikalnay Wala

Mafhom e Hadees: Jis Shaks nay hamaray is DEEN main koi Naya Tariqa Nikala jo is DEEN main Nahi hai to wo Mardood hai (Muslim, H#4492, Kitab uL Aqzia, Ravi: Ayesha R.A)

Har Wo Naya Aqeeda Ya Ammal Jo Nabi Alaihe Salam, Sahaba Rz.A, Tabaieen aur Taba-Tabaieen Re.A se Sabit na ho, Aur Asbaab paye janay kay Bawajood Unhon Ne na kiya ho, Ab us Ko Deen ka Hissa Aur Sawab Samaj kay Karna Biddat hai, Chahay Wo Aqeeda ya Ammal Zahiran Kitna He Acha ho

 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days