بسم الله الرحمن الرحيم

Tuesday, 31 January 2012

Islam Ki Buniyaad 5 Cheezon Par Rakhi Gai Hai

Mafhom e Hadees: Islam ki buniyad panch (5) cheezon par qaim ki gai hai,
1) Is baat ki Gawahi dena kay ALLAH kay siwa koi Mabood nahi aur beshak Mohammad Alaih Salam, ALLAH kay RASOOL hain.
2) Namaz Qaim karna,
3) Zakaat adda karna, 
4) Hajj karna, 
5) Ramzan kay rozay rakhna, 
(Bukhari, Hadees # 8, Kitab uL Eemaan, Ravi: Abdullah Bin Umar Razi ALLAH unho, Baab: Islam ki Buniyaad 5 Cheezon par Rakhi gai Hai)


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi

Mafhome Hadees: Meri SUNNAT aor Mere Hidayat Yafta Khulfa a Rashideen (Abbo Bakar, Umar, Usman aor Ali R.A) ki SUNNAT ko lazim pakro aor es par qaim raho aor esko dantoun se Mazboot pakray raho, aor tum deen mai nai nai batain paida karne se bacho, es liye k har nai bat biddat hay, aor har biddat gumrahi hay (Ibne Maja, Hadees #42, Kitab uL Sunnat, Baab:Khulfa a Rashideen k Tariqa ki Pairvi, Ravi:Irbaz Bin Sariya R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Hamesha Achi Baat Moun Se Nikalain

Hamesha Boltay waqat Apni Zaban se achay ilfaz nikalain, Gaali, Jhot, Chugli aor Gheebat se parhaiz karain, Gaali dena, Chugli lagana, Gheebat karna aor Jhot bolna kabira Gunah hain, In Gunahon ki Waja se Fasad phailta hay.

Quran: Mere Bandon se keh dain k Wo Bahot he achi baat moun se nikalain, Q k Shaitaan Aapas mai Fasad Dalwata hay, Beshak Shaitaan insan ka Khula Dushman hay (Surah Bani Israil, Ayat #53, Para #15)


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

1 Darood bhejnay par ALLAH ki 10 Rehmatain

Mafhom e Hadees: Jo Mujh par 1 Martaba Darood bhejay ga to ALLAH os par Apni 10 rehmatain Nazil farmaye ga. (Muslim, Hadees # 912, Kitab uL Salaat, Baab: Tashhad k Waqat Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam par Darood Bhejnay k Ehkaam, Ravi: Abbo Horaira Razi Allah Unho)

Agar Aap Zindagi mai Sakoon aor har Pareshani se Nijaat chahtay hain to Kasrat se Pak Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam par Darood Shareef Bejha karain...!

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Takbeer e Oola ki Fazilat

Baab: "Takbeer e Oola ki Fazilat"
Mafhome Hadees: Jis ne 40 Din tak Takbeer e Oola k sath Khalis ALLAH ki Raza k liye Bajamaat Namaz parhi, Oski 2 cheezon se Nijaat likh di jati hay, 1) Jahannum se Nijaat, 2) Nifaq se Nijaat (Tirmazi, Abwab us Salaat, Hadees # 229, Ravi: Anas Rz.A)


WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Sunday, 29 January 2012

Quran main se aik Harf Parhnay ka Sawab

Mafhom e Hadees: Jo shaks Quran ka aik harf parhay, us kay liye aik (1) harf kay badlay aik naiki hai, Aur aik naiki ka Sawab 10 nekion kay barabar milta hai, Main ye nahi kehta kay ALIF LAAM MEEM aik harf hai, balkay ALIF aik harf, LAAM aik harf aur MEEM aik harf hai (yani ye teen haroof howay, is par 30 naikiyan milain gi) (Tirmazi, Hadees#3030, Abwabo Fazail e Quran, Ravi:Abdullah Bin Abbas Razi Allah Unho, Baab: "Quran mai se 1 Harf Parhnay ka sawab")

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Khatim uL Nabiyeen

Hadees: Meri aor Muj se Pehle k Ambia ki Misal Aysi hay jese 1 Shaks ne 1 Ghar banaya aor es mai Har Tarha ki Zinat Peda ki, Lekin 1 Konay mai 1 Eent Reh Gai,Ab Sab Log atay hain aor Makan ko 4aron taraf se dekh k Taajjub mai pr jatay hen, Lekin ye b Kehtay hen Yahan pr 1 Eent Q na rakhi gai? To Mai (Mohammad) he wo Eent hon Aor Mai Saray Ambiya ma Akhri hon (Bukhari, H#3535, Kitab uL Munaqib, Baab:Khatim uL Nabiyeen)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Friday, 27 January 2012

Kisi kay Aeib Talash Na kia Karo

Hamain Kisi kay Aeib ya Gunah Maloom ho jain to hum us kay Gunah ko Chupanay ki bajaye, logon ko bata dete hain, Hamain Logon kay Aeib chupanay chahiye aur apne Gunahon ko dekhna chahiye. 

Quran: Kisi kay Aeib Talash Na kia Karo (Surah Al-Hujraat, Ayat #12, Para #26) 

Mafhome Hadees: Jo koi Dunia main Kisi Banday kay Aeib Chupaye ga, ALLAH Qayamat kay din us kay Aeib Chupaye ga (Muslim, Hadees#6595, Kitab uL Birr, Ravi: Abbo Horaira R.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Hasad aor Peeth pechay Burai ki Mumaniat

Baab: Hasad aor Peeth pechay Burai ki Mumaniat
Mafhome Hadees: Bad-Gumani se Bachtay raho Q k Bad-gumani ki Batain akasar jothi hoti hain, Logon k Aeib Talash Karnay k pechay na paro, Aapas mai Hasad na karo, Kisi ki Peeth pechay Burai na karo, Bughz na rakho (Bukhari, Hadees #6064, Kitab uL Addub, Ravi: Abbo Horaira Rz.A)


Gheebat Karna, Hasad Karna, Logon k Aeib Dhondna, Bughz Rakhna in Sab Gunahon se Lazmi bachain
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Thursday, 26 January 2012

Juma Kay Din ki Fazilat

Baab: "Juma Kay Din ki Fazilat" 
Mafhome Hadees: Soraj Nikalnay walay dinnon mai Behtareen Din Juma ka Din hay, Esi Din ADAM Alaihe Salam paida hoye, issi Din Aap (ADAM Alaihe Salam) Jannat mai dakhil kiye gaye, Aor Essi Din Aap (ADAM Alaihe Salam) Jannat se Nikalay gaye, Aur Qayamat bhi Juma kay din hi Qaim hogi (Tirmazi, Hadees #472, Darja: Hassan Sahi, Abwab uL Juma, Ravi: Abbo Horaira Razi Allah Unho)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Dunia se Be-Raghbati k baray mai

Mafhom e Hadees: Agar Tum ALLAH par Es Tarha Bharosa karo Jis tarha Bharosa karnay ka Haq hato Wo Tumhain Es tarha Rizq day ga Jis tarha Parindon ko Rizq deta hay k Sobho ko Wo (Parinday) Bhokay nikaltay hain aor Shaam ko Pait Bhar kr Wapis aatay hain. (Tirmazi, Abwab uz Zuhad, Baab: Dunia se Be-Raghbati k baray mai, Darja: Hassan Sahi, Hadees # 2435, Ravi: Umar Bin Khattab Razi Allah Unho)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday, 25 January 2012

Aeib Tetolnay Wala aur Gheebat Karnay Wala

QURAN: Bari Kharabi Hay Her Aisay Shakhs Ki Jo Aeib Tetolnay Wala, Gheebat Karnay Wala Ho. (Para # 30, Surah Humaza, Ayat # 1)

Insan Khata Ka Putla Hay, Gunah Har Kisi Se Ho Sakta Hay, Kisi Ki Gheebat Karnay Or Aeib Dekhnay Se 1 Mint Pehlay Apne Andar jhank K Apne Aeib Dekho, Aaj Gheebat Karnay Or Logon K Aeib Uchalnay Se Taoba Karain, Khamosh Rehna Kisi K Aeib Uchalnay Or Gheebat Karnay Se Behtar Hay..........!!!
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Sotay Waqt Quran Parhna

Baab: Sotay Waqt Quran Parhna
Mafhome Hadees: Nabi (Sal Lal Laho Alaihe Wasallam) Jab Bister Par Tashreef Latay To 2non Hatheliyan Milatay Phir Surah ikhlas, Falaq Or Surah Naas, Ye 3non Suratain Parh Kr in Me Phonktay Or is K Baad 2non Hathon Ko Jahan Tak Ho Sakta, Badan Par Mal Lete, Pehlay Sir Or Chehray Pr Phir Jism K Aglay Hissay Pr Or Ye Amml 3 Martaba Karte ( Tirmazi, H#3537, Abwab-ul-Dawat, Ravi: Ayesha R.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Tuesday, 24 January 2012

Behayai aor Fahashi walay Msgs kisi ko na Bhejain bal k Delete kar dain

Quran: Be shak Wo Log jo MUSALMANO main be-Hayai phelana chahtay hain un k liye dunya aor Akhirat mai dardNak Aazab hay (Surah Noor # 24, Ayat # 19, Para # 18)

Fahashi walay Msgs send krnay se pehlay sochain, Kya hum ALLAH ka Dardnaak Aazab bardasht kar saktay hain?? Plz Apne Doston ko b samjhain, Hum ne ALLAH ko Khush karna hay Naraz nahi karna
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Monday, 23 January 2012

Quran seekhnay aor Sekhanay ki Fazilat


Mafhome Hadees: Tu Sobho ja kar Kitab-ullah ki 1 Ayat seekhay, Ye tere liye 100 Rakat (Nafal) Namaz Parhnay se behtar hay, Aur Tu Sobho ja kar iLm ka 1 Baab seekhay, chahay us par (usi Waqt) Amml karay ya na karay Yeh tere liye 1000 Rakaat Namaz parhnay se behtar hay (Ibne Maja, Hadees #219, Kitab us Sunnat, Ravi: Abbo Zar Razi Allah Unho, Baab: "Quran seekhnay aor Sekhanay ki Fazilat")
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Nabi Alaihe Salam par Joth Bandhnay walay ka Gunah kis Darjay ka hay

Kisi b islami Mahinay Muharram, Safar, Rabi uL Awwal waghera ki Mubarak dene se Jannat Wajib nahi hoti, Jo log b aysi Jhoti ahadees bejhtay hain un ko Ye Hadees bhej kar Samjhain. 

Mafhom e Hadees: Nabi Alaihe Salam ne Farmaya: Jo shaks Mujh par jaan bojh kr Jhot bandhay to wo apna thikana Jahanum mai bana lay (Bukhari, H#108, Kitab uL ilm, Baab: Nabi Alaihe Salam par Joth Bandhnay walay ka Gunah kis Darjay ka hay)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Qabron ko Pakka karnay aor Qabar per Eemarat Tameer karnay ki Mumaniat

Baab: "Qabron ko Pakka karnay aor Qabar per Eemarat Tameer karnay ki Mumaniat"
Mafhome Hadees: ALLAH k Rasool Sallallahu Alaihe Wasallam ne Qabron ko Pakka karnay, in par bethnay se aor in Qabron par Tameerat Karnay se Manah Farmaya (Muslim, Hadees #2245, Kitab uL Janaiz, Ravi: Jabir Razi Allah Unho)

ALLAH hamain Quran o Sunnat pe Ammal karnay aor Haq baat ko Mannay ki Toufeeq day, Aameen.  
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Qayamat kay Din Sab se Pehlay Namaz ka Hisab Hoga


Mafhom e Hadees: Qayamat kay din Banday se Pehlay iski Namaz ka hisab hoga, Jiski Namaz sahi hoi to wo kamyab hoga, Agar Namaz kharab hoi to wo nakam o Na-Murad hoga, Agar banday kay faraiz main kuch kami hoi to ALLAH farmaye ga, Mere banday kay Nama e Aamal me dekho koi nafil ibadat hai? Agar hoi to Nawafil kay sath faraiz ki kami pori ki jaye gi (Tirmazi, Kitab us Salat, H#413, Baab: Qayamat kay Din Sab se Pehlay Namaz ka hisab hoga)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Sunday, 22 January 2012

Bhalai ka Hukam Dena aor Burray Kamon se Rokna

Baab: "Bhalai ka Hukam Dena aor Burray Kamon se Rokna"
Mafhom e Hadees: Os Zaat ki Qasam jis k hath mai Meri Jaan hay, Tum achi Baton ka Hukam kartay raho aor Burray Kamon se roktay raho, Agar tum aysa nahi karo gay to ALLAH tum par Aazab bhej day ga, Phir Tum ALLAH se Duaien mango Gay par wo Qabool nahi karay ga (Tirmazi, Hadees # 2252, Abwab uL Fitan, Darja: Hassan, Ravi: Huzaifa Bin Yamaan Rz.A)
 
WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Thursday, 19 January 2012

Zaban ki Hifazat

Baab: Zaban ki Hifazat
Mafhome Hadees: Jab Sobho hoti hato Insan k Tamaam Aazaa Zaban se ilteja kartay hain k ALLAH se dar, hum b tere sath hain, Agar tou seedhi hogi to hum sab seedhay hon gay aor Agar tou Thehri hoi to hum sab b Thehray ho jain gay (Tirmazi, Abwab uz Zuhad, Hadees # 2503, Ravi: Abbo Saeed Khudri Rz.A)

Apni Zaban ko Jhot, Gheebat, Chugli, Bay-Faida Kalam aor Fehish Goi se hamesha bacha kar rakhain

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Wednesday, 18 January 2012

Jihad kia hay?

Mafhom e Hadees: Kisi ne Nabi SalLalLaho Alaihe Wasallam se pocha kay Jihad kia hay?? Aap SalLalLaho Alaihe Wasallam ne Irshad Farmaya kay Jihad Yeh hay kay Jab Tera Kuffaar se (Maidaan e Jang main) Samna ho to un se Qittaal karay (Musnad e Ahmad, Hadees # 17152, Musnad e Shamieen, Ravi: Hazrat Ammar Bin Absa Razi Allah Unho)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Monday, 16 January 2012

Bajamat Namaz ki Fazilat

Baab: Bajamat Namaz ki Fazilat,
Hadees: Jamat Ki Namaz Akailay Ki Namaz Se 27 Darjay AfzaL Hay (Bukhari, Hadees #649, Kitab uL Aazan, Ravi: Ibne Umar R.A)

WWW.SAHIH-BUKHARI-ENG.TK

Most Viewed in 7 Days